Monday, 27 January 2014

Koi Phool Dhoop Ki Pattiyon Mein Harray Ribin Se Bandha Huwa, Urdu Poetry, Urdu Image Poetry, Urdu Ghazal


Koi Phool Dhoop Ki Pattiyon Mein Harray Ribin Se Bandha Huwa
Wo Ghazal Ka Lehjaa Naya Naya Na Kaha Huwa Na Suna Huwa,

Jissay Le Gayi Hai Abhi Hawaa Wo Waraq Tha Dil Ki Kitaab Ka
Kaheen Aansoun Se Mita Huwa Kaheen Aansuwoun Se Likha Huwa, 

Kai Meel Rait Ko Kaat Kar Koi Moaj Phool Khila Gai 
Koi Pairr Piyaas Se Mar Raha Hai Naddi K Pass Khara Huwa,

Wohi Khait K Jis Pe Jagah Jagah Do Mehaktay Honton K Chaand Thay 
Kisi Bhoolay Bisray Se Taaq Par Tahey-Gard Hoga Parha Huwa,

Mujhe Haadson Ne Saja Saja K Bahut Haseen Banna Diya 
Mera Dil Bhi Jaisey Dulhan Ka Haath Ho Mehandiyon Se Racha Huwa, 

Wohi Shehar Hai, Wohi Raastay, Wohi Ghar Hai, Wohi Laan Hai
Magar Ess Dareechay Se Poochna Wo Darakht Annar ka Kiya Huwa,

Mere Saath Jugnoo Hai Humsafar Magar Is Sharar Ki Basaat Kiya 
Ye Charaagh Koi Charaagh Hai Na Jala Huwa Na Bhuja Huwa..!!

No comments: