Saturday 7 April 2018

Peet karna to hum se nibhaana sajan, hum ne pehlay hi din tha kahaa na sajan, by ibn.e.insha, insha poetry, urdu poetry, urdu shairy, best sajan poetry,


Peet karna to hum se nibhaana sajan,
hum ne pehlay hi din tha kahaa na sajan


Tum hi majboor ho, hum hi mukhtaar hain, 
khair maana sajan, yeh bhi maana sajan

Ab jo hone ke Qissay sabhi ho chuke, 
hum tumhein kho chuke, tum humein kho chuke

Aagay dil ki naa baaton mein aanaa sajan, 
K yeh dil hai sadaa ka diwaana sajan

Yeh bhi sach hai na kuchh baat ji ki bani, 
sooni raaton mein dekha kiye chaandni

Per yeh sauda hai hum ko puraanaa sajan, 
aur jeene ka apnay bahaana sajan

Shehr ke log achhe hain hum-dard hain, 
per hamaari suno hum jahaan-gard hain

Daagh-e-dil na kisi ko dikhaana sajan, 
yeh zamaana nahi woh zamaana sajan

Us ko muddat hui sabr kartay hue, 
aaj koo-e-wafaa se guzartay hue

Poochhh kar is gadaa ka thikaana sajan, 
apne ‘Insha’ ko bhi dekh aana sajan

                                             (Ibn-E-Insha from CHAAND NAGAR)