Sunday 31 July 2016

Mere Qaatil Ko Pukaro Kay Main Zinda Hoon Abhi Phir Say Maqtal Ko Sanwaro Kay Main Zinda Hoon Abhi by mohsin


Mere Qaatil Ko Pukaro Kay Main Zinda Hoon Abhi
Phir Say Maqtal Ko Sanwaro Kay Main Zinda Hoon Abhi


Yeh Shab-e-Hijar To Sathi Hai Meri Barson Say
Jao So Jao Sitaro Kay Main Zinda Hoon Abhi

Yeh Pareshaan Say Gaisu Daikhay Nahi Jatay
Apni Zulfun Ko Sanwaro Kay Main Zinda Hoon Abhi

Laakh Moujon Main Ghira Hun, Abi Dooba Tou Nahi
Mujh Ko Sahil Say Pukaro Kay Main Zinda Hoon Abhi

Qabr Say Aaj Bhi “Mohsin” Ki Aati Hai Sadaa
Tum Kahan Ho Meray Yaroo Kay Main Zinda Hoon Abhi

Saturday 30 July 2016

Diya Khud Se Bujha Dena Hawa Ko Aur Kia Dena ? Sitare Nochne Walo Falak Ko Aasra Dena Mujhe Acha Laga “Mohsin” Ose Pa Kar Ganwa Dena


Diya Khud Se Bujha Dena
Hawa Ko Aur Kia Dena ?


Sitare Nochne Walo
Falak Ko Aasra Dena

Kabhi Is Taur Se Hansna
Ke Dunya Ko Rula Dena

Kabhi Is Rang Se Rona
Ke Khud Pe Muskura Dena

Main Teri Dastaras Chahun
Mujhe Aisi Dua Dena

Main Tera Barmla Mujrim
Mujhe Khul Kar Saza Dena

Main Tera Munfarid Sathi
Mujhe Hat Kar Jaza Dena

Mera Sar Sab Se Ooncha Hai
Mujhe Maqtal Naya Dena

Mujhe Acha Laga “Mohsin”
Ose Pa Kar Ganwa Dena

Friday 29 July 2016

Khawb ankhon se gaye, neend raton se gayi, Woh geya to ese laga zindagi hathon se gayi, urdu poetry, alone poetry, bewafa poetry


Khawb ankhon se gaye, neend raton se gayi,
Woh geya to ese laga zindagi hathon se gayi,


Sookhay they phool tere janey ke baad,
Ab to khushbuu bhi kitaabon se gayi,

Tere aney se barhti thi jo raftaar dharkan ki,
Ab to rawaani bhi meri saanson se gayi,

Kis daur mein mohabbat ko ilzaam dete ho,
Jis daur mein hayaa bhi hijaabon se gayi..

Wednesday 27 July 2016

Mujhe ab darr nahin lagta, kisi ke door jane se, Taluq toot jane se Kisi ke maan jaane se, Kisi ke rooth jaane se, Mujhe ab Darr nahin lagta, Sad urdu poetry, udas ghazal,


Mujhe ab darr nahin lagta
kisi ke door jane se


Taluq toot jane se
Kisi ke maan jaane se

Kisi ke rooth jaane se
Mujhe ab Darr nahin lagta

Kisi ko aazmane se
Kisi ke aazmane se

Kisi ko yaad rakhne se
Kisi ko bhool jaane se

Mujhe ab darr nahin lagta
Kisi ko chorr dene se

Kisi ke chorr jaane se
Shamma ko jalaane se

Shamma ko bhujaane se
Mujhe ab darr nahin lagta

Akele muskuraane se
Kabhi ansuu bahaane se

Na iss saare zamaane se
Haqeeqat se fasaane se

Mujhe ab darr nahin lagta
Kisi ki naa-rsaayi se

Kisi ki paa-rsaayi se
Kisi ki bewafaayi se

Kisi dukh intehaayi se
Mujhe ab darr nahin lagta

Na to iss paar rehne se
Na to uss paar rehne se

Na apni zindgaani se
Na ik din maut aane se

Mujhe ab darr nahin lagta..

Saturday 16 July 2016

Ghairon ko bhala samjhe aur mujh ko bura jaana samjhe bhi to kya samjhe jaana bhi to kya jaana by meer mehdi majrooh


Ghairon ko bhala samjhe aur mujh ko bura jaana
samjhe bhi to kya samjhe jaana bhi to kya jaana


ik umer ke dukh paa.e sote hain faraghat se
ai ghalghala-e-mahshar hum ko na jaga jaana

kya yaar ki bad-khuui kya ghair ki bad-khvahi
sarmaya-e-sad-aafat hai dil hi ka aa jaana

kuch arz-e-tamanna men shikva na sitam ka tha
main ne to kaha kya tha aur aap ne kya jaana

chilman ka ulat jaana zahir ka bahana hai
unko to baha-surat ik jalva dikha jaana

hai haq ba-taraf uske chahe sai sitam kar le
usne dil-e-ashiq ko majbur-e-wafa jaana

majruh hue maa.il kis aafat-edauran per
ai hazrat-e-man tum ne dil bhi na laga jaana

                                          -By Meer Mehdi Majrooh