Sunday 6 December 2020

Matt Tor Wo Talluk Jo, Teri Zat Se Hai, Tu Bata Khafa Meri Kis, Bat Se Hai, best Urdu ghazal, best poetry, urdu heart touching poetry

Matt Tor Wo Talluk Jo
                              Teri Zat Se Hai,
Tu Bata Khafa Meri Kis
                       Bat Se Hai,


Tu Bhi Na Uljha Kr Mujh

                       Se is Terah,

Tu Achi Tarah Wakif Mere

                          Jazbat Se Hai,


Main kesy Ji Lun Tum Se

                 Ruth Kr,

Meri Her Sans Wabasta

                             Teri Yad Se Hai,


Mera Talluk Jura Hai Kuch

                                Es Tarah Tum Se,

Jese Insaan Ka Rishta Khud

                             Apne Ap Se Hai.

Wednesday 2 December 2020

Biwi: Mere Shrafat Dekho, Main ny Tumhein Begair Dekhy Shaadi Kr li, Urdu lateefay, husband wife comedy

 


Biwi: Mere Shrafat Dekho,
Main ny Tumhein Begair Dekhy Shaadi Kr li.


Shohar: Or Meri Shrafat Dekho,

Main ny Dekh Kr Bhi Inkar Nahi Keya.

Aik Aadmi Ka Hont Jala Howa Tha, Kisi ny Phocha Keyu Bhae Ya Hont Kese Jal Gaya, urdu lateefay, funny urdu latefay



Aik Aadmi Ka Hont Jala Howa Tha

Kisi ny Phocha Keyu Bhae Ya Hont Kese Jal Gaya.

Aadmi ny Kaha Bus Keya Batao

Tere Bhabhi Maiky Jarahi Thi,

Us Ko Chorny Station Gaya Tha,

Bus Jese Hi Train ny Horn Bajaya

Main Ny Khushi Mein Train Ka Engine Choom Lea

Libas Tan Se Utaar Dena, Kisi Ko Bahon K Haar Dena, Phir Us K Jazbon Ko Maar Dena, Agar yehi mohabbat hai jana, tu Mujhe mavf karna, Urdu youtube ghazal, best ghazal, heart touching poetry, top most ghazal


 

Libas Tan Se Utaar Dena,

Kisi Ko Bahon K Haar Dena,

Phir Us K Jazbon Ko Maar Dena,


AGAR YEHI MUHABBAT HAI JANA ?

TO MUAF KARNA MUJHE NAHI HAI…..


Gunah Karne Ka Soch Lena,

Haseen Pariyan Daboch Lena,

Phir Uski Ankhen Hi Noch Lena,


AGAR YEHI MUHABBAT HAI JANA ?

TO MUAF KARNA MUJHE NAHI HAI…..


Kisi Ko Lafzon K Jaal Dena,

Kisi Ko Jazbon Ki Dhaal Dena,

Phir Uski IZZAT Uchhal Dena,


AGAR YEHI MUHABBAT HAI JANA ?

TO MUAF KARNA MUJHE NAHI HAI…..


Andaer Nagri Main Chalty Jana,

Haseen Kaliyan Masalty Jana,

Aur Apni Fitrat Pe Muskrana,


AGAR YEHI MUHABBAT HAI JANA ?

TO MUAF KARNA MUJHE NAHI HAI…..


Sajja Raha Hai Har EK Diwana,

Khyal-e-husan-o -Jamal Jana,

Khyal Kia Hain Hawas Ka Tana,


AGAR YEHI MUHABBAT HAI JANA ?

TO MUAF KARNA MUJHE NAHI HAi…

Tuesday 1 December 2020

Piyaas lagi thi ghazab ki, Magar pani nahi zeher tha Peetay tu marr jate, aur naa peetaytu bhi marr jate, sad poetry, udas shayri

 


Piyaas lagi thi ghazab ki, Magar pani nahi zeher tha
Peetay tu marr jate, aur naa peetaytu bhi marr jate


Bus yehi do maslayzindagi bhar hal na hoe
Naa neend pori hoi, naa khwaab mukamal hoe

Waqt ne kaha, Kaash thora aur sabar hota
Sabar ne kaha, kaash thora aur waqt hota

Subha subha uthna parta hai kamanay ke liye sahab
Araam kamanay nikalta hon araam chor kar

Hunar sarko par tamasha karta hai
aur qismat mohallon per raaj karti hai

Shikayat to bohat hai tujh se Aey zindagi, par chup isliye hn
keh jo diya tu ne wo bhi bohaton ko naseeb nahi hota

Dolat ki bhook aise lagi keh kamanay nikal gai
Jab dolat mili to haat se rishte nikal gai

Bachon ke sath rehne ki fursat na mil saki
fursat mili to bache khud kamay nikal gai

Sunday 22 November 2020

Khushnuma phool khelaanay se bhala kya hoga, Gohar e Kafz lutanay se bhala kya hoga, By Amir Khan USA, Urdu poetry, heart touching poetry

 


Khushnuma phool khelaanay se
bhala kya hoga


Gohar e Kafz lutanay se
bhala kya hoga

Ghar mai jab sunnat e sarkar
salamat he nahi

Jhandiyaan chatt pe laganay se
bhala kya hoga

               (By Amir Khan USA)

Woh raste tark karta hon wo manzil chor deta hon, Jahan izzat nahi milti wo mehfil chor deta hon, urdu bets poetry, urdu ghazal, urdu shairy, sad urdu poetry

 


Woh raste tark karta hon wo manzil chor deta hon
Jahan izzat nahi milti wo mehfil chor deta hon


Kinaray se agar meri khuddi ko thais pohanche to
bhanwar mein doob jata hon wo saahil chor deta hon

Mujhe mangay hoe saai hamesha dhoop lagte hain
Mein sooraj ke galay parrta hon badal chor deta hon

Taaluq youn nahi rakhta kabhi rakha kabhi chora
jisay mai chorta hon phir musalsal chor deta hon

Utha raha hai jo fitnay meri zameeno mein, Woh saanp hum ne he paala hai Aasteeno mein by habib jalib, urdu siyasi poetry, siyasi shairy, jamhoriat poetry

 


Utha raha hai jo fitnay meri zameeno mein,
Woh saanp hum ne he paala hai Aasteeno mein


Kisi ko fikar nahi qaom ke maasail ki
Riya ki jang hai bas haashiya nasheeno mein

Yeh log usko he jamhooriyat samjhte hain
Keh Iqtedaar rahe unke jaan nasheeno mein

Monday 2 November 2020

agar apna kaha tumne to ap he samjhe by hakeem agha jaan, na sataish ki tamanna na silay ki parwa, by mirza ghalib,


 

Once, Hakeem Agha Jaan Aish, a poet of Ghalib's era, read a couplet in Mushaira for Ghalib:


اگر اپنا کہا تم آپ ہی سمجھے تو کیا سمجھے

مزا کہنے کا جب ہے اک کہے اور دوسرا سمجھے


It is not praised if you are the only one to understand what you speak

Interesting is the situation when you speak and the others understand


Ghalib felt bad for this and wrote:


نہ ستائش کی تمنّا نہ صلے کی پروا

گر نہیں ہیں مرے اشعار میں معنی نہ سہی


I don't need appreciation neither do I need any return

Let not be if there is no meaning in my couplets


This style was the definition of his uniqueness

ugg raha hai dar o deewar se sabza ghalib, by mirza ghalib, urdu best poetry by mirza ghalib

 


اگ رہا ہے در و دیوار سے سبزہ غاؔلب

ہم بیاباں میں ہیں اور گھر میں بہار آئی ہے


Greenery is growing from walls and doors Ghalib

I am in a desert and my house blooms as its spring


bazeecha atfaal hai dunya mere agay, by mirza ghalib, best urdu poetry by mirza ghalib,

 


Mirza Ghalib's view of world as he sees world is like a playground where everyone is busy in some mundane activity and merrymaking rather than something of greater value as he wrote:


بازیچہ اطفال ہے دنیا میرے آگے

ہوتا ہے شب و روز تماشا میرے آگے


This world is a child's playground for me

A spectacle unfolds day and night before me


Qaid hayaat-o-band gham, asal mai dono aik hain, by mirza ghalib, best urdu poetry by ghalib,

 



قید حیات و بند غم ، اصل میں دونوں ایک ہیں

موت سے پہلے آدمی غم سے نجات پائے کیوں؟


The prison of life and the bondage of sorrow are one and the same

Why should man be free of sorrow before dying?

Monday 12 October 2020

Yaad Aaon to bas itni c enayat karna Apne badlay hoe lehjay ki wazahat karna, urdu ghazal, top urdu poetry, best urdu ghazal

 


Yaad Aaon to bas itni c enayat karna
Apne badlay hoe lehjay ki wazahat karna


Tum to chahat ka shahkaar hua karte thay
Kis se seekha hai ulfat mai milawat karna

Hum sazaaon ke haq daar bane hain kabse
Tum he keh do keh jurm hai kya Mohabbat karna

Teri furqat mai ye aankhein abhi tak nam hain
Kabhi aana meri aankhon ki ziyarat karna

Thursday 24 September 2020

Har ek baat pe kehte ho tum K ‘tou kya hai’ ? Tumhee kaho K yeh andaaz-e-guftgoo kya hai ? by mirza ghalib, urdu best ghazal, top most urdu ghazal

 



Har ek baat pe kehte ho tum K ‘tou kya hai’ ?

Tumhee kaho K yeh andaaz-e-guftgoo kya hai ?


Na sho’le mein yeh karishma na barq mein ye ada

koi bataao K woh shoKH-e-tund_Khou kya hai ?


Yeh rashk hai ki wo hota hai ham_sukhan tumse

Wagarna Khauf-e-bad_aamozi-e-adou kya hai ?


Chipak raha hai badan par lahou se pairaahan

Hamaari jeb ko ab haajat-e-rafou kya hai ?


Jalaa hai jism jahan dil bhi jal gaya hoga

kuredate ho jo ab raakh, justjou kya hai ?


Ragon mein daurte phirne ke ham nahe qaayal

Jab aankh hi se na Tapka to phir lahou kya hai ?


Woh cheez jiske liye hamko ho bahisht azeez

Siwaay baada-e-gul_faam-e-mushkabou kya hai ?


Piyoon sharaab agar Khum bhi dekh loon do chaar

Yeh sheesha-o-qadah-o-kooza-o-suboo kya hai ?


Rahee na taaqat-e-guftaar, aur agar ho bhee

To kis ummeed pe kahiye ke aarzoo kya hai ?


Bana hai shaah ka musaahib, phire hai itraata

Wagarna shahar mein ‘Ghalib’ keh aabrou kya hai ?


(By: Mirza Ghalib)

Monday 10 August 2020

Jab tera hukm mila tark-e-mohabbat kardi, Tujhse kis tarah main izhar-e-tamanna karta, Lafz sujha to muani ne baghavat kardi, By Ahmed Nadeem Qasmi, urdu famous poetry, best urdu poetry, urdu ghazal

 

Jab tera hukm mila tark-e-mohabbat kardi 
Dil magar is pe vo dharka ki qayamat kardi 


Tujhse kis tarah main izhar-e-tamanna karta 
Lafz sujha to muani ne baghavat kardi 

Main to samjha tha keh Laut aate hain jaane vaale
Tu ne jakar to judaai meri qismat kardi 

                                                 Tujh ko puuja hai, kii asnam-parasti ki hai 
Main ne vahdat ke mafahim ki kasrat kardi 

                                            Mujh ko dushman ke iradon pe bhi pyaar aata hai 
Teri ulfat ne mohabbat meri aadat kardi 
            
                                        Pouchh baitha huun main tujh se tere kooche ka pata 
Tere halat ne kaisi teri surat kardi 

                                                Kya tera jism tere husn ki hiddat mein jala 
                                                    Raakh kis ne tere sone ki si rangat kardi 

Monday 13 July 2020

Hai vitamin ki kami Ashiq mein tere is qadar, urdu funny poetry, mazahiya shairi, best poetry, विटामिन-डी की कमी, लक्षण और उपाय


Hai vitamin ki kami Ashiq mein tere is qadar
Us ko kuchh dikhta nahi tere nazar aane ke baad 


khaata hai do capsule aur vo bhi is tarteeb se 
Ek tere aane se pehle aur ek tere jaane ke baad 

Dil ki baat kya kahiye dil ajeeb basti hai Roz ye ujadti hai aur roz basti hai, urdu best ghazal, heart touching poetry, urdu shairy,


Dil ki baat kya kahiye dil ajeeb basti hai
Roz ye ujadti hai aur roz basti hai 


Pehle apni halat pe hans le khud hi jee bhar ke
Dekh kar mujhe duniya tanz se jo hansti hai 

Aaj ka zamana bhi vaah kya zamana hai
Zindagi bohut mahngi aur maut kitni sasti hai 

Us se door kya hogi tirgi zamane ki
Shama raushni ko khud aaj jab tarasti hai 

Sunday 5 July 2020

Aandhiyan gham ki chalein aur karb-baadal chha gae, Tujh se kaise ho milan sab raste dhundla gae, Ghazal by aabida uroj, rdu ghazal, best urdu poetry, heart touching shayri, sad urdu ghazal,


Aandhiyan gham ki chalein aur karb-baadal chha gae
Tujh se kaise ho milan sab raste dhundla gae 


Kirchi kirchi Khvahishein ankhon mein chubh kar reh gaein 
Zard mausam aas ki haryaliyon ko kha gae 

Main ki jisne har saubat muskura kar jhel li 
Manzilein aaiin to kyun ankhon mein aansu aa gae 

Tere naa aane ke dukh mein shiddatein phulon ne kiin
Waqt se pehle he sab gajre mire murjha gae 

Qaht jazbon ka para, veeraan se hain dil ke nagar 
Shahr par aaseib shayad hijr ke mandla gae 

Daava chahat ka nahi par jab use socha 'uruj
Phuul khushbu rang taare aankh mein lehra gae

Thursday 4 June 2020

Tum nahi aae thay jab tab bhi to maujood thay tum, Aankh mein nuur ki aur dil mein lahu ki surat, urdu poetry, by Ali Sardar Jafri, best urdu ghazal,


Tum nahi aae thay jab tab bhi to maujood thay tum
Aankh mein nuur ki aur dil mein lahu ki surat 

Dard ki lau ki tarah pyaar ki khushbu ki tarah
Bevafa vadon ki dildari ka andaaz liye 

Tum nahi aae thay jab tab bhi to tum aae thay 
Raat ke seenay mein mahtab ke khanjar ki tarah 

Subh ke haath mein khursheed ke saghar ki tarah 
Shakh-e-Khun-rang-e-tamanna mein gul-e-tar ki tarah 

Tum nahi aaoge jab tab bhi to tum aaoge
Yaad ki tarah dharakte hue dil ki surat 

Ghum ke paimana-e-sar-shar ko chhalkate hue 
Barg-ha-lab-o-rukhsar ko mahkate hue 

Dil ke bujhte hue angare ko dahkate hue 
Zulf-dar-zulf bikhar jaega phir raat ka rang 

Shab-e-tanhai mein bhi lutf-e-mulaqat ka rang 
Roz laegi saba ku-e-sabahat se payam 

Roz gaegi sahar tahniyat-e-jashn-e-firaq 
Aao aane ki karein batein ki tum aae ho 

Saturday 23 May 2020

Aey dil pehle bhi tanha thay, Aey dil ham tanha aaj bhi hain, Aur un zakhmon aur daghon se ab apni batein hoti hain, Urdu Ghazal, best poetry by faruqi, sad urdu ghazal


Aey dil pehle bhi tanha thay, Aey dil ham tanha aaj bhi hain
Aur un zakhmon aur daghon se ab apni batein hoti hain 


Jo zakhm ke surkh gulab hue, jo daagh ke badar-e-munir hue 
Is tarha se kab tak jiina hai, main haar gaya is jeene se 

Koi abr Ude kisi qulzum se ras barse mire virane par 
koi jagta ho koi kudhta ho mire der se vapas aane par 

Koi saans bhare mire pahlu mein koi haath dhare mire shane par 
Aur dabe dabe lehje mein kahe tum ne ab tak bade dard sahe 

Tum tanha tanha jalte rahe tum tanha tanha chalte rahe 
Suno tanha chalna khel nahin, chalo aao mire ham-rah chalo

Sunday 10 May 2020

Che da cha yaad ki me aksar khpala naama hera she, Owaya sa rangi zama na ba agha hera she, Israr Atal Poetry, Israr Atal, Pashto Poetry By Israr Atal, Heart Touching Poetry by Israr Atal,


Che da cha yaad ki me aksar khpala naama hera sheOwaya sa rangi zama na ba agha hera she,


Zu khu har wakht yadawum da kaleemy pa shaanti
Marra nu sang ba musalman na kaleema hera she,

Stargi mi otarrai pa shart ba de kuse ta raazam
Yaqin mi na di ka pa marg mi sta kusa hera she,

La daghe yari pa spin makho aitbaar na kawum
Sa muda pas tri na aksar karri wada hera she,

Koshish kawoma che sta stargi aw labaan her krrama
Grana da grana ka mekhwar na mekhada hera she,

ATALA'' za che ye pa khob ke hum tawaf kawuma
Pa wikha sanga ba la maa agha ka'aba hera she.

Sunday 3 May 2020

Ye na thi hamari qismat keh visal-e-yar hota agar aur jeetay rahte yahi intizar hota, urdu poetry, mirza ghalib shairi, urdu best ghazal


Ye na thi hamari qismat keh visal-e-yar hota
agar aur jeetay rahte yahi intizar hota

Tere va.ade par jiye ham to ye jaan jhut jaana
ki Khushi se mar na jaate agar e'tibar hota

Koi mere dil se puchhe tere tir-e-nim-kash ko
Ye khalish kahan se hoti jo jigar ke paar hota

Ye kahan ki dosti hai keh bane hain dost naseh
koi charasaz hota koi ġham-gusar hota

Tuesday 28 April 2020

Chupke chupke raat din aansu bahana yaad hai, Hum ko ab tak ashiqi ka vo zamana yaad hai, by hasrat mohani, urdu ghazal, best urdu poetry


Chupke chupke raat din aansu bahana yaad hai
Hum ko ab tak ashiqi ka vo zamana yaad hai 


Baar baar uThna usi janib nigah-e-shauq ka 
Aur tera ghurfe se vo ankhen larana yaad hai 

Tujh se kuchh milte he vo bebak ho jaana mira 
Aur tera danton mein vo ungli dabana yaad hai 

Jaan kar sota tujhe vo qasd-e-pa-bosi mira 
Aur tera Thukra ke sar vo muskurana yaad hai 

Dekhna mujh ko jo bargashta to sau sau naaz se 
Jab mana lena to phir khud routh jaana yaad hai 

ChorI chori hum se tum aa kar mile the jis jagah 
Muddaten guzrein par ab tak vo thikana yaad hai 

Tuesday 7 April 2020

Abh Ho Kay Udaas Kiya Karna Dekh Liya Bohat Jeena Marna, URDU POETRY, best urdu poetry, urdu shairi


Abh Ho Kay Udaas Kiya Karna
Dekh Liya Bohat Jeena Marna

Tasulsal Hay Zindagi Mout Ki
Abh Kun Baar Baar Hay Marna

Din Raat Hein Lagaataar
Kiya Chand Ka Nikalan Sorajh Ka Doobna

Roshan Ho Hee Jata Hay Jahaan
Abh Bhala Kun Roshni Ko Hay Tarasnaa


Teri Adaon Pay Hum Qasam Say Mar Jaya Karty Thay Teri Yadon Mein Din Ko Rat Kar Kay Soo Jaya Karty Thay, urdu poetry, sad poetry, urdu shayari, two lines poetry of mohsin naqvi, chorna shayari in urdu


Teri Adaon Pay Hum Qasam Say Mar Jaya Karty Thay
Teri Yadon Mein Din Ko Rat Kar Kay Soo Jaya Karty Thay


Aj Bhi Hamain Yad Hein Woh Haseen Pal Keh Jin Mein
Apni Unglion Say Hum Tery Balon Ko Sehlaya Karty Thay

Wednesday 18 March 2020

Muddat ke baad lot ke aya hun gaon mai Maazi simat ke aa gaya bargad ki chaaon mai, Hassan Fatehpuri ghazal, Best Urdu Ghazal, Urdu poetry, Roman poetry,


Muddat ke baad lot ke aya hun gaon mai
Maazi simat ke aa gaya bargad ki chaaon mai,


Insaaniyat ka saans bhi lena muhaal hai
Ye kisne Zehe ghol diya hai hawaoon mai,

Hum log nasl-e-Aadam o Hawwa hain sliye
Aata hai lutf aaj bhi humko khataaon mai,

Shayad kisi ne yaad kiya hai abhi mujhe
Paheli hui hai Ishq ki khushbu fazaon mai

Barsaat ho rahi hai magar tu nahi mila
Tasveer teri dhoond raha hun ghataon mai

Duniya ki mushkilat ki kyu fikar ho Hassan
Hamne sukoon paya hai Maa ki duaaon mai

Tuesday 3 March 2020

Nafraton Ke Teer Khaa Kar, Dosto’n Ke Sheher Mein, Hum Ne Kis Kis Ko Pukaara, Yeh Kahani Phir Sahii


Nafraton Ke Teer Khaa Kar, Dosto’n Ke Sheher Mein,
Hum Ne Kis Kis Ko Pukaara, Yeh Kahani Phir Sahii

Tuesday 4 February 2020

Tumhe jab mile kabhi fursatein mere dil se bojh utar do Mai bohat dino se udas hoon mujhe koi sham udhar do, urdu romantic ghazal, urdu best poetry, 14 february ghazal, valentines day potery in urdu,


Tumhe jab mile kabhi fursatein mere dil se bojh utar do
Mai bohat dino se udas hoon mujhe koi sham udhar do


Mujhe apne roop ki dhoop do keh chamak sakein mere khado khaal
Mujhe apne rung mai rung do, mere sare rung utar do

Wednesday 1 January 2020

Naya saal aaya naya saal aaya, Umidon ka dil men diya jagmagaya, Happy New year 2020, Wish you a happy new year, naya saal mubarak ho

Naya saal aaya naya saal aaya
Umidon ka dil men diya jagmagaya 


nae saal ka ham ko paigham kya hai 
nae saal men ab naya kaam kya hai 

purana tarīqa badalnā hai ham ko 
taraqqi ki rahon pe chalna hai ham ko 


andhere ke daman ko ham chaak kar den 
vatan ki fazaon ko nur-e-sahar den 

sunen dard-mandon kī fariyad kya hai 
ġharibon pe dar-asl uftad kya hai 

uthen aur dukhiyon ka dukh duur kar deñ 
masarrat se har dil ko ma.amur kar den 

nai raushni se faza jagmagaen 
nae saaz par ab nae geet gaaen