Sunday 9 April 2017

Bohat arsa hua ik din mujhe us ne bataya tha, Subah jab so ke uthta hoon to main bas chaye peeta hoon, Mujhe chaye pilao gi ? best urdu ghzal, emotional poetry


Bohat arsa hua ik din mujhe us ne bataya tha,
Subah jab so ke uthta hoon to main bas chaye peeta hoon,
Mujhe chaye pilao gi ?


To kitni chah se maine yeh baiRRa khud uthaya tha,
Usay chaye pilaon gi,

So jab woh roz uthta tha mujhe message main yeh likhta tha,
Fatta-fatt chhat pe ajao,
Meri jaan chaye le ao,

Main us pal mar hi jati thi ,
Woh us lamhe ko jeeta tha,

Bana kar chaye ka ik cup usay jab main thamaati thi,
Utha kar dilnasheen nazren mujhe phir dekhta tha woh,

Mohabbat ke khayalon se phir apne khelta tha woh,
Laga kar hont cup se main usay jhoota pilati thi,

Aur ab bairay ke anay pr mujhe woh dekhta hai phir,
Adaa se us ko kehti hoon chalo do cup mangana phir..

Beqarari si beqarari hai, Vasl hai aur firaq taari hai, Jo guzari na ja saki hum se, Hum ne woh zindagi guzari hai, urdu dhayari, best urdu ghazal, heart touching poetry, romantic poetry

Beqarari si beqarari hai,
Vasl hai aur firaq taari hai,


Jo guzari na ja saki hum se,
Hum ne woh zindagi guzari hai,

Nighare kya huye ke logon pr,
Apna saaya bhi ab to bhari hai,

Bin tumhare kabhi nahin ayi,
Kya meri neend bhi tumhari hai,

Aap mai kaise aaon main tujh bin,
Saans jo chal rahi hai aari hai,

Us se kahiyo ke dil ki galiyon main,
Raat din teri intezari hai,

Hijr ho ya visaal ho kuch ho,
Hum hain aur us ki yadgari hai,

Ik mehak samt-e-dil se aayi thi,
Main yeh samjha teri sawari hai,

Hadson ka hisab hai apna,
Warna har aan sab ki baari hai,

Khush rahe tu ke zindagi apni,
Umar bhar ki umeed-vaari hai..

Dost ban kar bhi nahi sath nibhane wala Wohi andaz hay zalim ka zamane wala, urdu image poetry, best urdu poetry, friend poetry, dost shayari,


Dost ban kar bhi nahi sath nibhane wala
Wohi andaz hay zalim ka zamane wala


Ab usay log samjhte hain giraftar mera
Sakht naadim hay mujhe daam main lane wala

Subah dam choRR geya nikhat-e-gull ki surat
Raat ko guncha-e-dil may simatt aane wala

Kya kahen kitne marasim they hamare us se
Wo jo ik shakhss hai muh phair kay jaane wala

Tere hote huye aa jati thi sari dunia
Ajj tanha hoon to koi nahi aane wala

Muntazir kiss ka hoon tooti hoi dehleez pe main
Kon aye ga yahan, kon hai aane wala

Kya khabar thi jo meri jaan may ghulla hay itna
Hay wohi mujh ko sar-e-daar bhi laane wala

Main ne dekha hay baharon may chaman ko jalte
Hai koi khawb ki tabeer batane wala

Tum takaluf ko bhi ikhlaas samjhte ho Faraz
Dost hota nahi har hath milane wala