Thursday 11 November 2021

Ajeeb Log Thay woh Tittliyaan banate thay, Samandaron ke liye Machhliyaan Banate thay, Urdu poetry by Liaqat Jafri, best urdu ghazal, old age poetry, guzra hua zamana

 


Ajeeb Log Thay woh Tittliyaan banate thay
Samandaron ke liye Machhliyaan Banate thay


Mere Qabeelay mein Taleem ka rewaaj na tha
Mere Buzurg magar Takhhtiyaan banate thay


Wohi banate thay lohay ko torr kar Taala
Phir uske baad wohi Chaabiyaan banate thay



Fazool waqt mein wo saray sheesha gar mil kar
Suhaganon ke liye chooriyaan banate thay



Hamare Gaaon mein do chaar Hindu Darzi thay
Nemaaziyon ke liye Topiyaan banaya karte thay



Saturday 6 November 2021

is tarah bhi koi sar gashta o barbaad na ho ek fasana hun jo kuch yad ho kuch yad na ho, best urdu ghazal, urdu poetry, urdu shairy

 


is tarah bhi koi sar gashta o barbaad na ho
ek fasana hun jo kuch yad ho kuch yad na ho


Dard wo hai keh jahaan ko teh o bala kardun
is pe ye lutf keh nala na ho faryad na ho

aik muddat se teri bazam se mehroom hun mein
Kaash wo chasham enayat bhi teri yad na ho

Maar dalegi mujhe aafiyat kuj chaman
Josh parwaaz kahan jab koi sayyad na ho

Hoslay ishq ke pamaal hue jate hain
Abb ye bedaad kahin hussan pe bedaad na ho

Monday 11 October 2021

Kuch apni fikr na apna ḳhayal karta huun, To kya ye kam hai tiri dekh-bhaal karta huun, Urdu Ghazal, best urdu poetry


 

Kuch apni fikr na apna ḳhayal karta huun 
To kya ye kam hai tiri dekh-bhaal karta huun


Miri jagah pe koi aur ho to cheeḳh utthe 

Main apne aap se itne savaal karta huun


Agar malal kisi ko nahi mira na sahi

Main ḳhud bhi kaun sa apna malal karta huun 


Ye chand aur sitare rafiq hain mere 

Main roz in se bayan apna haal karta huun 


Tumhari yaad bhi aati hai ab mujhe kam kam 

Tumhara zikar bhi ab ḳhaal-ḳhaal karta huun


Sunday 5 September 2021

Log Pagal kese ho jate hain, Dekho..!!! Aise ho jate hain, Log Pagal kaise ho jate hain Dekho..!!! Kaise ho jate hain, best urdu poetry, heart touching poetry,

 


Log Pagal kese ho jate hain
Dekho..!!!
Aise ho jate hain

Khwabon ka dhanda karti ho

Kitne Paise ho jate hain

Dunya se hona bohat Mushkil hai

Tere jaise ho jate hain

Wo mere sab kaam Khuda karta hai

Tere wese ho jate hain

Ye phool dekh rahe hoYe uska lehja tha

Wo jheel dekh rahe ho Yaha wo aati thi

Munafiqon ko mera naam zeher lagta tha

Wo jaan boojh kar gussa unhe dilati thi

Usay kisi se Mohabat thi 

Aur wo mai nahi tha
Ye baat..!!!

Mujhse zyada usay rolati thi

Lag raha tha wo kahin dekha hua tha Kya mujhe pahchaan ka dhoka hua tha, best urdu ghazal, urdu poetry, heart touching shayri,

 


Lag raha tha wo kahin dekha hua tha
Kya mujhe pahchaan ka dhoka hua tha


Az sar -e- nau zindagi tarteeb pati

Us se pahle dil mera murdaa hua tha


Jaan lewaa  thi  hamari  pahredaari

Muhtasib kuchh roz ka jaagaa hua tha


Aaj – un peron ke saaye yaad aaye!!

Jin ko eendhan k liye kaataa hua tha


Aaj kaise tere lab pe geet aaye??

Kal to chhup k roraha tha kya hua tha

Saturday 7 August 2021

Hamesha sath rehne ki adat kuch nahi hoti, Jo lamhe milgai jee lo, riyazat kuch nahi hoti, best urdu ghazal, urdu poetry, Urdu Poetry Deep inspiration, Sad Poetry, Shayari and Urdu Ghazals, Urdu poetry

 


Hamesha sath rehne ki adat kuch nahi hoti
Jo lamhe milgai jee lo, riyazat kuch nahi hoti


Jise mehroomiyan mili hon wohi jaan sakta hai

Zubani hosla, jhooti marwat kuch nahi hoti


Kai rishton ko jab parkha, nateeja aik he nikla

Zaroorat hee sab kuch hai, Mohabbat kuch nahi hoti


Kisi ne chor ke jana ho to phir chor he jata hai

Bicharna ho to phir saddiyun ki rafaqat kuch nahi hoti


Taaluq toot jai tu safeenay doob jate hain

Ye sab kehne ki batain hain, Haqeeqat kuch nahi hoti

Tuesday 3 August 2021

Udas dil ki udas batain samjhne wala koi to hota, Keh jiski baton se dil sambhalta, Keh jiski sangat mein dil behelta, Best urdu ghazal, Urdu Poetry Deep inspiration, Sad Poetry, Shayari and Urdu Ghazals, Urdu poetry

 


Udas dil ki udas batain
samjhne wala koi to hota


Khe jiski baton se dil sambhalta
Keh jiski sangat mein dil behelta

Keh jiski halki c aik jhalak bhi
Hamare dukh ko samet leti

Falak se khushiyaan undel deti
Ya uski nazuk c muskurahat

Hamare din ki sabhee thakawatt ko door kardeti
Ya phir chamakti wo ankhein uski

Hamari hasti ka raaz hoti
Hamare dukh ki kitaab hota

Jo hum ko chahta, Hum ko parhta
Guzarte lamhon ki sakhtiyun mein

Koi to nazuk mezaaj hota
Koi to hota, koi to hota


Tum mohabbat karte ho, Ishq karte ho, Kabhi socha mein kya karti hun?, best urdu poetry, urdu shayri, best urdu ghazal,

 


Tum mohabbat karte ho... Ishq karte ho...
Kabhi socha mein kya karti hun...?


Mein tumhara sab kuch hun... Dunya Hun...
Kabhi socha mein tumhe kya samjhti hun...?

Pyar... Mohabbat... Ishq.... Dunya..
Ye sab bohat chote lafz hain

In sab se barh kar ho tum mere liye
Ishq se opar koi cheez hoti hai...?

Mein wo karti hun tumse
Ab mujhpe kisi ka haq hai tu wo sirf tumhara...

Aur tumpe kisi ka haq hai
tu wo sirf mera...

Sunday 1 August 2021

Jo Bojh hai dil pe wo hata kyu nahi dete? Kis baat pe roothay ho, bata kyu nahi dete? by Muhammad Hussain Kavish, best urdu ghazal, heart touching poetry, urdu shayari


 

Jo Bojh hai dil pe wo hata kyu nahi dete?
Kis baat pe roothay ho, bata kyu nahi dete?


Kya baykhuddi mein koi khata hogai mujhse

Mujrim hun agar mein tu saza kyu nahi dete?


Bechain udhar tum ho idhar mein bhi beykhudd

Tu beech ki deewaar gira kyu nahi dete?


Ye teri khamoshi jaan hee lelay na hamari

Chehre se niqaab apne hata kyu nahi dete?


Kavish jis hadsay ne badal di teri dunya

us hadsay ko dil se bhila kyu nahi dete?


(Muhammad Hussain Kavish)

Mere sath rehta hai aik shakhs, Mai nahi hun apne wajood mein, Mujhe jane kisne chura liya, Urdu Poetry Deep inspiration, Sad Poetry, Shayari and Urdu Ghazals, Urdu poetry


 

Mere sath rehta hai aik shakhs


Mai nahi hun apne wajood mein

Mujhe jane kisne chura liya


Mere sath rehta hai ek shakhs

Koi Jadu usne chala diya

Meri rooh mein wo sama gaya

Mujhe ishq karna sikha diya

Meri zindagi wo ban gaya


Mere sath rehta hai ek shakhs

Mujhe jeena usne sikha diya

Mai to khud se bhi tha naa aashna

Mujhe mujhse usne mila diya

Meri zindagi ko badal gaya


Mere sath rehta hai ek shakhs

mainne roya tujhe dhoondh-dhoondh ke roya tha main, too na mila, urdu/hindi song lyrics by piran khan and tanveer veran

 


mainne roya tujhe dhoondh-dhoondh ke
roya tha main, too na mila

gahree see in raaton mein soya na tha main

rota tha teree yaad mein vo hee raat

mainne kabhee na socha tujhe

bas roya yoon hee khud se

yoon dil ko...

yoon dil ko sanbhaalata raha

mainne roya tujhe dhoondh-dhoondh ke

roya tha main, too na mila


raat kee gaharee neendon mein main so na paee

dard mein yoon khud ko hee kyoon tadapa yoon tadapaee

raat kee gaharee neendon mein main so na paee

dard mein yoon khud ko hee kyoon tadapa yoon tadapaee

mainne kabhee na socha tujhe

bas roya yoon hee khud se

yoon dil ko...

yoon dil ko sanbhaalata raha

mainne roya tujhe dhoondh-dhoondh ke

roya tha main, too na mila


khvaahishen jo theen meree bas tujhako paane kee

khvaahishen vo heen meree bas khvaahish hee rah gaee

khvaahishen jo theen meree bas tujhako paane kee

khvaahishen vo heen meree bas khvaahish hee rah gaee

mainne kabhee na chhoda tujhe

bas roya yoon hee khud se

yoon dil ko...

yoon dil ko sanbhaalata raha

mainne roya tujhe dhoondh-dhoondh ke

roya tha main, too na mila

gaharee see in raaton mein soya na tha main

rota tha teree yaad mein vo hee raat

mainne kabhee na socha tujhe

bas roya yoon hee khud se

yoon dil ko...

yoon dil ko sanbhaalata raha

mainne roya tujhe dhoondh-dhoondh ke

roya tha main, too na mila

Wednesday 14 July 2021

Wo sunta tu mai kehta, Mujhe kuch aur kena tha Wo pal bhar ko ruk jata, Mujhe kuch aur kehna tha, best urdu ghazal, urdu heart touching poetry

 

Wo sunta tu mai kehta mujhe kuch aur kehna tha


Wo sunta tu mai kehta, Mujhe kuch aur kena tha

Wo pal bhar ko ruk jata, Mujhe kuch aur kehna tha


Kamai zindagi bhar ki, Usi ke naam to kardi

Mujhe kuch aur karna, Mujhe Kuch aur kehna tha


Kahaan usne suni meri, Suni bhi ansuni kardi

Use maloom tha itna, mujhe kuch aur kehna tha


Mere dil mai jo dar aya, koi mujh mai bhi dar ayaa

Wahin ek rabta tuta, mujhe kuch aur kehna tha


Ghalat Fehmi ne baton ko barha dalaa unhee warna

Kaha kuch tha, Wo kuch samjha, Mujhe kuch aur kehna tha 

Thursday 10 June 2021

Kabhi Khud pe Kabhi halaat pe rona aya Baat nikli to har ek baat pe rona aya, urdu ghazal by sahir ludhyanvee, best urdu ghazal, heart touching poetry, sad urdu ghazal

 


Kabhi Khud pe Kabhi halaat pe rona aya
Baat nikli to har ek baat pe rona aya


Hum to samjhe thay keh hum bhool gai  hain unko
Kya hua aaj ye kis baat pe rona aya
kis liye jeetay hain hum kis ke liye jeetay hain
Baar ha aisay sawalaat pe rona aya
Kon rota hai ksi or ki khatir aey dost
Sab ko apni he ksi baat pe rona aya
(Sahir Ludhyanvee)



Saturday 1 May 2021

Labour Day / Mazdoor ka din Haat paon ye batate hain keh mazdoor hon mein Aur malbus bhi kehta hai keh majboor hon mein, Labor day poetry, urdu ghazal for mazdoor, labor poetry,

 


Labour Day / Mazdoor ka din
Haat paon ye batate hain keh mazdoor hon mein
Aur malbus bhi kehta hai keh majboor hon mein


Fakhar karta hon keh khata hon rizq-e-halaal
Apne is wasf e qalandar pe tu maghroor hon mein

Saal to sara he gumnaami mai kat jata hai
Bas "1st May" ko ye lagta hai keh mashoor hon mein

Baat sunta nahi meri koi aeywano mein
Sab ke manshoor mai go "Sahb e manshoor" hon mein

Apne bachon ko bacha sakta nahi faqon se
Unki Taleem dilanay se bhi mazoor hon mein

Pait bhar deta hai hakim mera taqreeron se
uski is tafal tasalli pe to ranjoor hon mein

Yom e Mazdoor hai, chutti hai, mera faqa hai
Phir bhi ye din to manaaon ga keh Mazdoor hon mein 

Saturday 3 April 2021

Zindagi se lamhe chura kar batway mai rakhta raha, Fursat se kharchoonga, bas yehi sochta raha, SAD URDU GHAZAL, HEART TOUCHING POETRY, BEST URDU POETRY,

Zindagi se lamhe chura kar batway mai rakhta raha
Fursat se kharchoonga, bas yehi sochta raha


udharti rahi jaib, karta raha turpai,

Phisalti rahi khushiyaan, karta raha kamai


aik din fursat jo paai, tu socha khud ko Aaj rijhaaon main

barson se jo joray thay, wo lamhe kharch kar aaon main


khola jo batwa, tu lamhenaa thay

jane kahan beet gai,


Main ne to kharchay naa thay

jane kese beet gai


Fursat mili tu socha, khud se he mill aaon main

Aainay mai dekha jo pehchan he na paon


dehan se dekha tu, balon main chandni ka rang charha tha

tha tu mujh jesa, jane kon khara tha

Saturday 13 March 2021

Maghroor he sahi, mujhe acha bohat laga, Wo ajnabi to tha magar apna bohat laga, urdu ghazal by mohsin naqvi, best urdu ghazal, urdu heart touching poetry


 

Maghroor he sahi, Mujhe acha bohat laga


Maghroor he sahi, mujhe acha bohat laga

Wo ajnabi to tha magar apna bohat laga


rootha hua tha, hans to para mujh ko dekh kar

Mujh ko to is qadar bhi dilasa bohat laga


Sehra mai jee raha tha jo darya dili ke sath

Dekha jo ghor se to wo piyasa bohat laga


Wo jis ke dam qadam se thi basti ki ronaqein

Basti ujar gai to akela bohat laga


Lipta hua ho kohar mai jese khizaan ka chaand

Mailay libas mai bhi wo pyara bohat laga


Resham pehen ke bhi meri qeemat na barh saki

Khadar bhi uske jism pe mehenga bohat laga


Mohsin jab aainay pe meri saans jam gai

Mujh ko khud apna aks bhi dhundla bohat laga

Saturday 20 February 2021

Kuj shoq c yaar faqeeri da Kuj Ishq ne dar dar rol ditta, Punjabi poetry, best punjabi poetry, heart touching punjabi ghazal, punjabi shayri

 


Kuj shoq c yaar faqeeri da
Kuj Ishq ne dar dar rol ditta

Kuj sajan kasar na chori c
Kuj zeher raqeeban ghol ditta

Kuj hijar firaaq da rang charhiya
Kuj dard maahi anmol ditta

Kuj sarrgai qismat bad qismat di
Kuj piyar wich judai rol ditta

Kuj aunj v rahwaan aukhiya san
Kuj gal wich ghama da toq vee c

Kuj shehar de log vee zaalim san
Kuj saanon maran da shoq vee c


Thursday 18 February 2021

Aik saal ki ehmiat janna chahte ho to usse poucho "Jo emtehaan mein nakaam hua ho", urdu hikayat, best urdu line, waqt ki ahmiyat, waqt

 


Aik saal ki ehmiat janna chahte ho to usse poucho
"Jo emtehaan mein nakaam hua ho"


Aik maheenay ki ehmiat janna chahte ho to usse poucho
"Jisse Tankhwa nahi mili"

Aik hafte ki ehmiat janna chahte ho to usse poucho
"Jo Haspatal mein dakhil ho"

Aik Din ki ehmiat janna chahte ho to usse poucho
"Jis ne Roza rakha ho"

Aik ghante ki ehmiat janna chahte ho to usse poucho
"Jo ksi ka intezaar kar raha ho"

Aik minute ki ehmiat janna chahte ho to usse poucho
"Jiski Train choot gai ho"

Aik second ki ehmiat janna chahte ho to usse poucho
"Jo ksi haadse se bach gaya ho"

Har waqt ki ehmiat hai
Qeemti hai

Zindagi ka behtareen tohfa "WAQT" hai
Apne pyaron ke liye zindagi ki masroofiat mai waqt nikaliye

Monday 1 February 2021

Ek latafat c meri bayaan mai hai, Jab se tu meri dastaan mai hai, urdu best ghazal by ghalib ayaz, urdu best poetry, heart touching poetry, urdu shairi


 

Ek latafat c meri bayaan mai hai
Jab se tu meri dastaan mai hai


Tum ko dekha to s tarah socha..!!

ek sitara, jo asmaan mai hai


Muskarata phira hai mehfil mai

Ghum mera kitni Aan baan mai hai


Koi rota hai dil mai pichlay peher

Kon mehboos s makaan mai hai


Meri beti ki kaanch ki gurya

patharon se bani dukan mai hai


Jism to thak thaka ke beth gaya

Mann ka panchhi magar uraan mai hai


By Ghalib Ayaz

Friday 29 January 2021

If I die in a war zone, Box me up and send me home, Because I'm a Soldier Born to Die, Heart touching poem by soldier, best poem of soldier, the voice of soldier

 


If I die in a war zone, Box me up
and send me home.

Put my medals on my chest,

Tell my MOM I did my best

Tell my DAD not to bow,

He won't get tension from me now.

Tell my bro to study perfectly,

Key of my bike will be his permanently.

Tell my sister not to be upset,

Her bro will take a long sleep after sunset.

Tell my nation not to cry,

"Because I'm a Soldier Born to Die"

Thursday 28 January 2021

Yaad Aaon to bas itni c inayat karna, Apne badle hue lehjay ki wazahat karna, herat toucing urdu ghazal, poetry, best urdu poetry, sad urdu poetry, urdu shayri

 


Yaad Aaon to bas itni c inayat karna
Apne badle hue lehjay ki wazahat karna


Tum to chahat ka shahkaar hua karte thay
Kis se seekha hai ulfhat mai milawat karna

Hum sazaaon ke haq daar bane hain kab se
Tum he keh do keh jurm hai kya Mohabbat karna?

Teri furqat mai ye aankhein abhi tak num hain
kabhi aana meri ankhon ki ziyarat karna

Saturday 16 January 2021

Dil hijr ke dard se bojhal hai, ab aaan milo to behtar ho Is baat se humko Kya matlab, yeh kaise ho yeh kyu kar ho, by ibn-e-insha,ghazal in urdu, ghazal poetry in urdu, pakistani urdu ghazal, urdu ghazal shayari, ghazal in urdu romantic, ghazal in urdu love, heart touching urdu ghazals, ghazal in urdu sad

 


Dil hijr ke dard se bojhal hai, ab aaan milo to behtar ho
Is baat se humko Kya matlab, yeh kaise ho yeh kyu kar ho


Ik bheek ke dono kaasay hain, ik pyaas ke dono pyase hain

Hum khaitee hain, tum badal ho,hum nadiya hain,tum saagar ho


Hum sanjh samay ki chhaya hain, tum charhti raat ke chandarmaan

Hum aate hain, tum jate ho, phir mel ki soorat kyu kar ho


Ab husn ka rutbaa aali hai, ab husn se sehra khali hai

Chal basti mein banjara ban, chal nagri me saudaagar ho


Jis cheez se tujhko nisbat hai,jis cheez se tujh ko chahat hai

Wo sona hai,wo heera hai, wo maati ho ya kunkar ho


Wo raatein chand ke saath gain, wo baatein chand ke sath gain

Us sukh k sapne dekhein kyun, jab dukh ka sooraj sar par ho


Ab ‘Insha Ji’ ko bulana kya, ab pyaar ke deep jalana kya??

Jab dhoop aur chhaaya aik se hon, jab din or raat barabar ho!

Sunday 3 January 2021