Sunday 29 June 2014

Raat ko naya chand mubarak, Chand ko chandni mubarak, Falak ko sitare mubarak, Sitaroon ko bulandi mubarak, Ramazan Poetry


Raat ko naya chand mubarak, Chand ko chandni mubarak, 
Falak ko sitare mubarak. Sitaroon ko bulandi mubarak. 


Aur aap ko hamari taraf se, RAMADAN MUBARAK. 
Ramadan ka chand daikha, Rozay ki dua mangi, 

Roshan sitara daikha, Aap ki khairiat ki dua mangi, 
May Almight Allah bless you with his blessing
in the holy month of Ramadan The month ...

Ramadhan Ki Amad Hai Rehmatein Barasane Wala Maheena Hai Ao Aaj Sub Khataon Ki Maafi Maang Lein Dar-e-tauba Khula Hai, Ramzan Poetry, Urdu poetry of ramzan


Ramadhan Ki Amad Hai Rehmatein Barasane Wala Maheena Hai 
Ao Aaj Sub Khataon Ki Maafi Maang Lein Dar-e-tauba Khula Hai 


Is Maheene Mein Sada haste raho jaise haste hain phool, 
Duniya ki sare gham tumhe jaye bhool, Charo taraf pehla ho khushion ka geet, 

Eisi ummid ka sath Yaar tumhe. Raat ko naya chand mubarak, 
Chand ko chandni ...

Is Ramadan Mein Mera Aik Kam Karna, Har Sehri Se Pehley Har Namaz Ke Baad, Ramzan Poetry in Urdu


Is Ramadan Mein Mera Aik Kam Karna
Har Sehri Se Pehley Har Namaz Ke Baad 


Har Iftari Se Pehley Har Traveeh Ke Baad 
Har Tilawat Se Pehley Har Dua Ke Baad 

Apni Dua Ke Chand Alfaz 
Mere Naam Karna...

Chand Ki Pehli Dastak Pay Pyare Pyare Roze Daro, Ramzan Poetry,


Chand Ki Pehli Dastak Pay
Pyare Pyare Roze Daro


Ibadat Ki Es Door Main
Aye Chand Unko Mera Paigham Kehna

Ramadan Ka Chand Dekha

Saturday 28 June 2014

Tamam Umer Ki Betabiyon Ka hasil Thi Wo Ek Shab Jo Pehlu-e-Yar Me Guzri,


Tamam Umer Ki Betabiyon Ka hasil Thi
Wo Ek Shab Jo Pehlu-e-Yar Me Guzri

Friday 27 June 2014

Mere Aibon Ko Ginnay Walo Beshak Mujhe Sangsar Kar Do, urdu image poetry, urdu best ghazal


Mere Aibon Ko Ginnay Walo Beshak Mujhe Sangsar Kar Do
Magar Uthaye Wohi Pehla Pathar Jis Me Koi Aib Na Ho...

Thursday 26 June 2014

Khhat Mera Parrhtay Hi Jala Dena Bebasi Tak Meri Bhula Dena urdu image poetry, urdu best ghazal


Khhat Mera Parrhtay Hi Jala Dena 
Bebasi Tak Meri Bhula Dena 


Zard Patto Ko Dey Kay Khoon_e_Jigar 
Surmai Raakh Mein Daba Dena 

Naam Likhay Bina Ager Na Banay 
Naksh Ik Pani Par Bana Dena 

Sari Dunya Ki Khair Ho Yaa Rub 
Ab Mujhe Iss Tarha Dua Dena 

Taaray Ginnay Ka Kaam Mera Hoa 
Tum Mujhe Darkanein Bta Dena 

Eid Ki Raat , Pyar Ki Devi 
Qabar Par Shama Naa Jala Dena 

Tum Bhi Tanha Chand Bhi Tanha 
Asara Lena , Asara Dena 

Bhulnay Wale Fursat Mein 
Bhulnay Ka Hunar Sikha Dena 

Sakht Barish Mein Apni Marzi Karo 
Jaisy Hi Thum Jay Muskura Dena 

QAIS Palko Ko Punchh Kar Likho 
Parrhnay Walo Ko Naa Rula Dena...

Tuesday 24 June 2014

Agar Tum Youn Na Mere Dard-o-Gham Se Be-Khabar Hote, urdu image poetry, urdu best ghazal


Agar Tum Youn Na Mere
Dard-o-Gham Se Be-Khabar Hote,


To Hum Bhi Zindagi Bhar
Yon Na Aise Darbadar Hote.

MusalSal Hai Ye Tanhai
RaVaan Hai Zindagi Phir Bhi,

Agar'Che Sath Tum Mere Nahi Ho Kash Gar Hote.
Koi To Rasta Bante Koi To Wasta Bante,

Nahi Thay Humsafar Phir Bhi Koi To Rahguzar Hote.
Ghalat Fahmi Hi Thi Shayad Agar Wo Door Kar Laite,

To Mumkin Hai MOHABBAT K Kisi Meraaj Par Hote.
Kabhi Mansoob To Hote humari Shayari Se Tum,

Nazam Mein Dhall Gaye Hote
Ya Jeevan Ka Nassar Hote,

Monday 23 June 2014

Puchty ho na mujhy kitna pyar hy tum se, Lo ab gin lo boondain barish ki, Urdu Image Poetry


Puchty ho na mujhy kitna pyar hy tum se.    
Lo ab gin lo boondain barish ki

JaB TeRi JaaN Ho Gayi HoGi, Woh JaaN HeRaan Ho Gayi HoGi, Urdu Poetry, Urdu Heart Touching Poetry, Urdu Ghazals, Sad Urdu Poetry


JaB TeRi JaaN Ho Gayi HoGi..
Woh JaaN HeRaan Ho Gayi HoGi..


ShaB Tha MeRi NiGah Ka BoJh USs PeR..
Woh To HaLkaaN Ho Gayi HoGi..

UsS Ki KhaTir HuWa MaiN KhuWaR BoHt..
Woh MeRi AaaN Ho Gayi HoGi..

Ho K DuShwaaR ZinDaGi ApNi..
KitNi AaSaaN Ho Gayi HoGi..

Be GiLah Ho0N MaiN Ab Bohot DiN Sey..
Woh PaReShaaN Ho Gayi HoGi..

Ek HaWeLi Thi DiL MoHaLLe MeiN..
AB Woh ViRaaN Ho Gayi HoGi..

UsS K K0oChEy MeiN Aayi Thi
UsS'Ki DaRBaaN Ho Gayi HoGi..

KaMSiNi MeiN BoHT ShaReeR Thi Woh..
AB To SheTaaN Ho Gayi HoGi…

Saturday 21 June 2014

Hamain Bilkul Hi Khali Kar Gaya Hai Hamare Ishq Ka Dam Bharne Wala, Urdu Image Poetry


Hamain Bilkul Hi Khali Kar Gaya Hai
Hamare Ishq Ka Dam Bharne Wala

Friday 20 June 2014

Majbooriyon Ke Naam Pe Daaman Bachaa Gaye, Wo Log Jin Ka Ishq Main Daawa Wafa Ka Tha, Urdu Image Poetry


Majbooriyon Ke Naam Pe Daaman Bachaa Gaye,
Wo Log Jin Ka Ishq Main Daawa Wafa Ka Tha..

Wednesday 18 June 2014

Chehra Koi B Aankh Mein Thehra Na Phir Kabhi Dil Ne Kisi B Shakhs Ko Chaha Na Phir Kabhi, Ghazal by Mohsin Naqvi


Chehra Koi B Aankh Mein Thehra Na Phir Kabhi
Dil Ne Kisi B Shakhs Ko Chaha Na Phir Kabhi


Rootha Zara Si Baat Pe Uth kar Chala Gaya
Aysa Gaya K laut K Aaya Na Phir Kabhi

Kuch Youn Mila Tpaak Se Bus Ishq Ho Gaya
Woh Ajnabi Tha Kon Tha' Socha Na Phir Kabhi

Us Ne Btaur Tohfa Diya Tha Libas-e-Hijr 
Pehna Jo 1 Baar' Utaara Na Phir Kabhi

Mohsin !.. Guzar Chuka Tha Had-e-Aitdaal Se
Jany Kahan Gaya' Usay Dekha Na Phir Kabhi

Tuesday 17 June 2014

Ek Wari Chahay Mera Dil Lelay Chahay Meri Jaa'n Lelay Arzoo Ho Jesay Wesay Imteha'n LelayUrdu Poetry, Urdu Heart Touching Poetry, Urdu Ghazals, Sad Urdu Poetry


Ek Wari
Chahay Mera Dil Lelay
Chahay Meri Jaa'n Lelay
Arzoo Ho Jesay
Wesay Imteha'n Lelay


(Fading In)Chahay
Chahay
Chahay
Chahay Mera Dil Lelay
Chahay Meri Jaa'n Lelay
Arzoo Ho Jesay
Wesay Imteha'n Lelay

Chahay Mera Dil Lelay
Chahay Meri Jaa'n Lelay
Arzoo Ho Jesay
Wesay Imteha'n Lelay

Ek Wari Nahin So Wari
Tenun Pyar Karan Main Lakh Wari

Enj Pyar Kise Nain Karna
Enj Hor Kise Nain Marna

Enj Pyar Kise Nain Karna
Enj Hor Kise Nain Marna

Ek Wari Nahin So Wari
Tenun Pyar Karan Main Lakh Wari

Enj Pyar Kise Nain Karna
Enj Hor Kise Nain Marna

Enj Pyar Kise Nain Karna
Enj Hor Kise Nain Marna

Neendain Jo Apni Udaalay
Dil Karday Teray Havaalay

Bay Chein Koi
Mujh Sa Na Hoga

Saanson Main Tujhko Basaalay
Chahat Main Khud Ko Mitaalay

Deewana Aisa
Dekha Na Hoga

Deewangi Meri
Yeh Bekhudi Meri

Kaash Tu Yeh Jaanay
Tu Hai Jindari Meri

Ek Wari Nahin So Wari
Tenun Pyar Karan Main Lakh Wari

Enj Pyar Kise Nain Karna
Enj Hor Kise Nain Marna

Enj Pyar Kise Nain Karna
Enj Hor Kise Nain Marna

Ek Wari Nahin So Wari
Tenun Pyar Karan Main Lakh Wari

Enj Pyar Kise Nain Karna
Enj Hor Kise Nain Marna

Enj Pyar Kise Nain Karna
Enj Hor Kise Nain Marna

Ay Kaash Chup Main Na Rehta
Karna Tha Jo Pehlay Kehta

Doori Ka Esa
Dukh Main Na Sehta

Tujhko Jo Ehsas Hota
Tu Jo Meray Paas Hota

Main YunNa  Ghum Ki
Lehron Main Behta

Teray Nal
Chal Wekhan
Pyar Di Chal Wekhan

Zindagi Main Apni
Tenun Ek Pal Wekhan

Ek Wari Nahin So Wari
Tenun Pyar Karan Main Lakh Wari

Enj Pyar Kise Nain Karna
Enj Hor Kise Nain Marna

Enj Pyar Kise Nain Karna
Enj Hor Kise Nain Marna

Ek Wari Nahin So Wari
Tenun Pyar Karan Main Lakh Wari

Enj Pyar Kise Nain Karna
Enj Hor Kise Nain Marna

Enj Pyar Kise Nain Karna
Enj Hor Kise Nain Marna

Ek Wari Nahin So Wari
Tenun Pyar Karan Main Lakh Wari

Enj Pyar Kise Nain Karna
Enj Hor Kise Nain Marna

Enj Pyar Kise Nain Karna
Enj Hor Kise Nain Marna

Enj Pyar Kise Nain Karna
Enj Hor Kise Nain Marna

Enj Pyar Kise Nain Karna
Enj Hor Kise Nain Marna

Enj Pyar Kise Nain Karna.

Monday 16 June 2014

Elawa Es K Mohabbat Ne Kiya Diya Hai Mujhe, Jala K Taiz Hawa Mein Bujha Diya Hai Mujhe, Urdu Heart Touching Poetry


Elawa Es K Mohabbat Ne Kiya Diya Hai Mujhe
Jala K Taiz Hawa Mein Bujha Diya Hai Mujhe


sitaara Ban K Sulgta Raha Hoon Jis K Liye
Usi Ne Khaak Mein Aa Kar Mila Diya Hai Mujhe

Mein Yaad Rakhta Nahi Hoon Mein Us Ko Yaad Nahi
Mein Bhool Jaata Hoon Es Ne Bhula Diya Hai Mujhe

Sunday 15 June 2014

Mohabbat ki Tamanna hai to phir wo Wasf paida kar, Jahan se Ishq chahta hai wahan tak Naam paida kar, Urdu Poetry


Mohabbat ki Tamanna hai to phir wo Wasf paida kar,
Jahan se Ishq chahta hai wahan tak Naam paida kar,


Agar sachha hai Mere Ishq main Tu Ae Ibn-e-Adam,
Nigah-e-Ishq paida kar,Husn-e-Zarf paida kar,

Main Tujh ko Tujh se zayada aur sab se zayada Chahon ga,
Magar shart ye hai ke Apne andar Meri Justuhu paida kar,

Agar na badlon Teri khatir har cheez to kehna,
Tu Apne Aap main pehle Andaaz-e-Wafa to paida kar

Saturday 14 June 2014

Koi Jiye Ya Koi Mare? Tum Apni Si Kar Guzary, Dil Mein Tairi Yaadon Ne, Kaisy Kaisy Rang Bhary,


Koi Jiye Ya Koi Mare? Tum Apni Si Kar Guzary,
Dil Mein Tairi Yaadon Ne, Kaisy Kaisy Rang Bhary,


Ab Wo Umngein Hain Na Wo Dil,
Kon Ab Tujh Ko Yaad Kary,?

Payar Ki Reet Nirali Hai, 
Koi Kary Aur Koi Bhary,

Phool To Kaya Kanty Bhi Nahein,
Kaisy Ujrry Baagh Hary,

Badal Garja Pawan Chali,
Phalwari Mein Phool Dary,

PATT JHARR Aany Wali Hai,
Ras Pi Kar Urr Ja Bhanwry

Main Dharkanon Ki Kitaab Kholon Wo Baaqi Saare hisaab Rakhe, Urdu Heart Touching Poetry, Urdu Ghazals


Main Dharkanon Ki Kitaab Kholon Wo Baaqi Saare hisaab Rakhe,
Ye Us Ka Qissa Hai Dosto Main Ne Jis Ki Rah Pe Gulaab Rakhe,


Dimaagh Mera Pukaarta Tha Main Dil Ki Dharrkan Ko Sun Raha Tha,
Kisi Se Koi Gilla Nahi Main Ne Apne aage Saraab Rakhe,

Wo Ek Thokar Na Jaane Kitni Hi Kirchiyon Mein Chamak Rahi Hai,
Wo Ek Main Hoon Jis Ne Us K Behakte Qadmon Mein Khuwaab Rakhe,

Na Aise Saudey Karay Ga Koi Hum Aise Taajir Kaheen Mileen Gy,
Har Ek Sukh Us Ko De Diya Aur Khud Apne Ghar Azaab Rakhe,

Main Aur Meri Ajab Udaasi Taveel Muddat Se Is Tarah Hain,
Shareek-e-Gham Ek Doosre K Qareeb Bethey Sharaab Rakhe,

Khuwaab Mein Soya Tha Main Kis Ne Jagaaya Mujh Ko, Urdu Heart Touching Poetry, Urdu Ghazals


Khuwaab Mein Soya Tha Main Kis Ne Jagaaya Mujh Ko
Kis Ki Aawaaz Ne Andar Se Bulaaya Mujh Ko


Kon Hoon Main Ye Kis Ne Bataaya Mujh Ko
AaJ Tak Mujh Se Kisi Ne Na Milaaya Mujh Ko

Man K Kuch Aur Taqaazay Hain Mere Tan K Aur
Mujh Se Milne Nahi Deti Meri Qaaya Mujh Ko


Lafz Har Tol K Bolo Kaha Karty Thay Buzurg
Ye Saleeqa Magar Ab Tak Nahi Aaya Mujh Ko

Ab To Aakaash Hi Aakaash Hai Aur Meri Uraan 'Saqi'
Wehm K Saayo'n Ne Go Laakh Daraaya Mujh Ko

Dharrkanay Muskuraati Hain Ab Bhi Teri Aahat Par, Urdu Heart Touching Poetry, Urdu Ghazals


Dharrkanay Muskuraati Hain Ab Bhi Teri Aahat Par
Dard Bhool Jaate Hain Ab Bhi Teri Aahat Par


Shabnami Sitaaro'n Mein Phool Khilney Lagte Hain
Chaand Muskuraata Hai Ab Bhi Teri Aahat Par

Umar Katt Gayi Hai Magar Bachpana Nahi Jaata
Hum Diye Jalaate Hain Ab Bhi Teri Aahat Par

Ghantiyaa'n Si Bajti Hain Raqss Hone Lagta Hai
Dard Jagmgaatey Hain Ab Bhi Teri Aahat Par

Teri Yaad Aaye To Neend Jaati Rehti Hai
Khuwaab Toot Jaate Hain Ab Bhi Teri Aahat Par

Rang Nikhre Tu Sabhi Gul Bi Thay Kush Posh Rahe, Mehki Fazaon Mai Yun Hawaon Ke Ham Dosh Rahe, Urdu Heart Touching Poetry, Urdu Ghazals


Rang Nikhre Tu Sabhi Gul Bi Thay Kush Posh Rahe
Mehki Fazaon Mai Yun Hawaon Ke Ham Dosh Rahe


Lamhe Thy Qaid Tere Lehje Ki Khanak Ko Sun Kar
Ham Bi Thy Mast Aur Sarapa Hama Tan Gosh Rhe

Kuch Halat Bi Mawafaq Thy K Jazbe Thy Jawan
Ham Bi Azhar Ke In Lamhon Mai Thy Pur Josh Rahe

Alfaz Ruk Jayen Jo Agar Aankhon Ko Sukhun War Dekhin
Soch Par Pehre Lage Aur Ham Bi Thay Khamosh Rahe

Mere Jazbon Ki Sadaqat Pe Na Koi Harf Aye
Dil Ke Jor Raaz The Wo Seene Mai Hi Roposh Rahe

Thursday 12 June 2014

aaj lagda nahi dil mera... ki mein manawan tenu yaar soniya dunya mein ake meina bus yehi kaam kia pehle nazar mein apna dil tere naam kia


aaj lagda nahi dil mera...
ki mein manawan tenu yaar soniya
dunya mein ake meina bus yehi kaam kia 
pehle nazar mein apna dil tere naam kia


sapne mein dekha tujhko our sanaam kia
dila ke badley mein tujh ko yeh dil inaam dia
dil ke badley mein tujh ko yeh dil inaam dia

mera yeah dil na torey 
pyar ton mun na moreen 
tera deewana hoon mein to ooooooo

bari angoore tun en
dil da surur tun en
mahi matana hum mein tooooooo

tujh me yeh dil hara 
kya mein karon yara
koi bata de yeah tujh bin rahoo kaise
kyun mera dil hara

larki ho tere jesi larka ho mere jasa 
payar ho apna esa sassipunnu jesa...

ban ja tu mere sony mein hum mahiwal tera
hir sayal hai tu raja hai naam mera 
hir sayal hai tu raja hai naam mera 

apna banaley menu pyar sikhawana tenu
itna ehsan karde
toooooooo
pehla tu pyar mera
dil beqarar mera pyar se jholy bhar de tuuuuu
tujh pe yeh dil hara
kya mein karro yara
koi bata de yeh tujh bin rahoo kese kyun mera dil haraaa...

dunya mein akey mene 
bus yehi kam kya
pehli nazar mein apne dil tere naam kya....
sapne mein dekha tujh ko our sanaam kya
dil ke badle mein tujh ko yeh dil inaam dia
dil ke badle mein tujh ko yeh dil inaam dia
apna banaley menu
pyar sikhawan tenu itna ehsan karde toooooo

bari ingoor tu en
dil da suroor tu en
mahi mastana hun mein toooo
tujh pe ye dil hara 
kya mein karo yara
koi bata dey ye
tujh bin rahoo kaisa

kyun mera dil haraaaa

Mujh ko de woh Jo tu na de saka Meri rooh ko na yoon sata Meri himmat ko tu barha Meray khoon mein woh rang de


Mujh ko de woh
Jo tu na de saka
Meri rooh ko na yoon sata
Meri himmat ko tu barha
Meray khoon mein woh rang de
Jo rang tu na de saka


Meri aankhon mein dekh zara
Aur phhir mujhe tu yeh bata
Hum dono mein hai woh kiya
Na jhuk sake na ruk sake 
Aisa woh dum tu ne diya

Aa hamein aazma
Aa chhoo ke dikha
Here we go
Aa hamein aazma
Aa chhoo ke dikha

Aah! Is this thing on? 
Check, one, two
I got the gift, I got the game
What? When I grab that microphone
I drive people insane, Left to right from side to side

I?ll take you to a point where I take
Away your pride, Move you groove you and
Every time I use you, When I get done with you
You'll say I abused you, I ain?t bad I'm
Just trying to be cruel, Pure evil, made to rule
Got to open your mind and change Your point of view

Half the time you don't Know what to do
Just standing there and you ain't gotta clue
It's the people like me that's trying to keep it real
Hit ya! How does it feel?
Underground! What you folks have labeled me
I?m the voice of change that's going to set you free.

Tuesday 10 June 2014

Teray bina jiya nahin jaaey, Teray hee main nain, hain sapnain sajaaey, Urdu Songs lyrics, Urdu Heart Touching Poetry, Urdu Ghazals


Teray bina jiya nahin jaaey
Teray bina jiya nahin jaaey
Teray hee main nain, hain sapnain sajaaey
Teray hee main nain, hain sapnain sajaaey


Teray bin aey sanam, kia khushi kaisay gham
Tu chali aaey jooo, jee uthain phir say ham

Teray bin aey sanam, kia khushi kaisay gham
Tu chali aaey jooo, jee uthain phir say ham

Tu jo nahin tu kia hain ham
Tu jo nahin tu kia hain ham

Teray bina jiya nahin jaaey
Teray bina jiya nahin jaaey

Teray hee main nain, hain sapnain sajaaey
Teray hee main nain, hain sapnain sajaaey

Teray bin aey sanam, kia khushi kaisay gham
Tu chali aaey jooo, jee uthain phir say ham

Teray bin aey sanam, kia khushi kaisay gham
Tu chali aaey jooo, jee uthain phir say ham

Tu jo nahin tu kia hain hammmm
Tu jo nahin tu kia hain hamm

Teray bina jiya nahin jaaey
Teray bina jiya nahin jaaey
Teray hee main nain, hain sapnain sajaaey
Teray hee main nain, hain sapnain sajaaey

Tu nahin tu mera dil udaas
Mujhay her gharee hai bus teree aas
Mera dil kahey, tu rahey paas paas
Yay dil kaisa deewana

Tu nahin tu mera dil udaas
Mujhay her gharee hai bus teree aas
Mera dil kahey, tu rahey paas paas
Yay dil kaisa deewana

Tu nahin tu mera dil udaas
Mujhay her gharee hai bus teree aas
Mera dil kahey, tu rahey paas paas
Yay dil kaisa deewana

Tu nahin tu mera dil udaas
Mujhay her gharee hai bus teree aas
Mera dil kahey, tu rahey paas paas
Yay dil kaisa deewana

Teray bina jiya nahin jaaey
Teray bina jiya nahin jaaey
Teray bina
Teray bina
Teray bina
Jiya nahin jaaey
Teray binaTeray bina
Teray bina
Teray bina
Teray bina
Teray bina
Teray bina
Teray bina
Jiya nahin jaaaeey
Teray bina
Teray bina
Teray bina

Teray bina jiya nahin jaaey!!!!

Darya Mein Apni Qabar Banane Chala Gaya Suraj ko Doobne Se Bachanay Chala Gaya, Urdu Heart Touching Poetry, Urdu Ghazals


Darya Mein Apni Qabar Banane Chala Gaya
Suraj ko Doobne Se Bachanay Chala Gaya,


khuwahish To Sab Se Aage Nikalne ki Thi Magar
Jo Gir Gaye The Unko Uthanay Chala Gayaa,

Apno ki Chahaton Mein Milawat Thi Is Qadar
Tang Aa k Dushmano ko Mananay Chala Gaya.

Monday 9 June 2014

Pehli nazar Pehla milan Barhne lagi Dil ki lagan, Bole bina Reh na sakoon Tujhse magar Keh na sakoon, Urdu Heart Touching Poetry, Urdu Ghazals


Pehli nazar Pehla milan
Barhne lagi Dil ki lagan

Bole bina Reh na sakoon
Tujhse magar Keh na sakoon


Meri jaan kabhi tu...
Suney... Aankhein kya kehti hein

Kabhi kabhi...Pyaar main...
ThhoRi khushi...thhora ghum...
Koi, chale sangg, har qadam
Kabhi kabhi...
(Kabhi kabhi)
Pyaar...main...

Maana he jo,
Manzil tujhe...
De hi diya,
Jab dil tujhe...
Yeh to yaqeen...
He bus mujhe...
Paalonga mein...
Aakhir tujhe...

Meri jaan kabhi tu...
Suney... Aankhein kya kehti hein

Kabhi kabhi...Pyaar main...
Thori khushi...thora ghum...
Koi, chale sangg, har qadam
Kabhi kabhi...
(Kabhi kabhi)
Pyaar...main...

Hona thha jo,
Woh hogaya...
Kuch paaliya...
Kuch kho gaya...

Meri jaan kabhi tu...
Suney... Aankhein kya kehti hein...

Kabhi kabhi...Pyaar main...
Thori khushi...thora ghum...
Koi, chale sangg, har qadam
Kabhi kabhi...
Pyaar main...
Thhori khushi... thhora ghum...
Rahein, hamesha... saath hum...

Kabhi kabhi...Pyaar main...
Thhori khushi...thhora ghum...
Koi, chale sangg, har qadam..
Kabhi kabhi...
(Kabhi kabhi)
Pyaar...main...

Kabhi...Kabhi...

hm hm hm hm

Kabh Kabhi...
Pyaar...Main...

Dil dil se keh raha, Mera hi fasana, Jogi hoon tera, Yeh mera dil he deewana, Urdu Heart Touching Poetry, Urdu Ghazals


Dil dil se keh raha,
Mera hi fasana,
Jogi hoon tera...
Yeh mera dil he deewana.


Dil dil se keh raha,
Mera hi fasana,
Kyun baj raha he har soo,
Tera hi tarana..
Jogi hoon tera...
Yeh mera dil he deewana!

Deewana! Ho deewana!
Dil deewana...Tera dewana...
Deewana! Ho deewana!
Dil deewana...Tera deewana...

Meri aankhon main,
Tere sapne hein.
Mere sapnon main,
Teri aankhein hein.
Zikr he tera,
Labon pe mere.
Lab he mera,
Zikr main tere.

Sunja meri jaan, dil-e-zakhmi ka fasana!

Dekho na meri jaana mein kesa deewana
Taane mujhe deta he saara yeh zamana
Jogi hoon tera...yeh mera dil he deewana...

Deewana! Ho deewana!
Dil deewana...Tera deewana...
Deewana! Ho deewana!
Dil deewana...Tera deewana...
Deewana! Haye...

Mere yeh lamhe...
Teri yaadon se...
Meri yeh saansein...
Tere vaadon se...
Jo nibhaye tu
Hayaat aaye
Bhool jaye tu
Zindagi jaaye...

Sunja meri jaan, dil-e-zakhmi ka fasana

Ha pal teri qurbat main jeevan he bitana
Har gham teri raahon main palkein hein bichhana
Jogi hoon tere...Yeh mera dil he deewana...

Deewana! Ho deewana!
Dil deewana...Tera deewana...

Silsile tor ke Chal diye kidhar Aik hee mor pe Bas aik hee nazar


Silsile tor ke
Chal diye kidhar

Aik hee mor pe
Bas aik hee nazar
Beetay dino\'n kee woh baatain
Yaad hain magar
Kuch naheen is jahan mein
Jo tu nahin idhar

Chahay kuch bhee ho ja\'ye
Mein rahoon ga
Chahay waqt thum ja\'ye
Mein rahoon ga
Mein rahoon ga hamesha
Mein rahoon ga
Maut a\'ye tau a\'ye
Mein rahoon ga

Aik mein aik tu
Aik hee basar
Aik hee jaan pe
Marte hain magar
Beetay dino\'n kee woh baatain
Yaad hain magar
Kuch nahin is jahan mein
Jo tu nahin idhar

Close my eyes I picture you inside
Its like a memory, a curse that I cant deny
Days are vague and I can\'t explain 
Tryina hold on to your gift of pain
Its like a déjà vu commin all around
Tryna break me tryna bring me down
See im too string to face any of this
Im walking away from you God forsaken bliss

Saturday 7 June 2014

Gham-naak Samandar Mein Kinare Na Bichartey, Tum Bichrey Thay Yaadon Ke Sahare Na Bichartey, Urdu Heart Touching Poetry, Urdu Ghazals


Gham-naak Samandar Mein Kinare Na Bichartey 
Tum Bichrey Thay Yaadon Ke Sahare Na Bichartey 


Main Teri Judai Ka Sitm Jhail Hi Leta 
Us Raat Agar Chand Sitare Na Bichartey 

Ik Doojey Se Kuch Dard Ki Taqseem To Rehti 
Jeewan Mein Agar Dard Ke Maare Na Bichartey 

Har Rang Mein Hai Illat-o-Maalool Zaroori 
Ankhen Na Bicharteen To Nazare Na Bichartey 

Issi Torr Se Yaadon Ki Bhi Surat Nikal Aati 
Hum Bhool Gaye Hote Jo Pyaare Na Bichartey

Tootay huway un khwabon kai Uss dahektay sooraj tallay Falak say jo tapkay na jo Umeed kay qatray thay woh


Tootay huway un khwabon kai
Uss dahektay sooraj tallay
Falak say jo tapkay na jo
Umeed kay qatray thay woh


Talakh ansuwon kay sailaab say
Bhee jo ho na saki num toh
Rotee thee woh

Yeh zameen
Meri maan thee woh
Khuda ka wajood
Mabood thee woh
Saya thee
Raushni bhee thee woh
Qadam tallay jannat
Meri aghosh thee woh

Jiss aasray keh liye
Rooh tarapti thee jiss kee
Jiss shama ko
Jala na sakee
Woh andhaira tha mein

Yeh gunah-gar haath
bheek kee chah mein
Jo badhain darbadar uss kee soo
Dar rahi thee woh

Yeh zameen
Meri maan thee woh
Khuda ka wajood
Mabood thee woh
Saya thee
Raushni bhee thee woh
Qadam tallay jannat
Meri aghosh thee woh

Aankh say tapka jo ab yeh lahoo
Zakham bharnay lagay
Sar-ba-sajood hoon uss ke hazoor
Gunah dhulnay lagay
Darguzar aaj uss maan nay kiya
Faslay simatnay lagay
Wahdahoo! Uss kee kokh say hoon
Aik hee nabz, Aik wajood

Yeh zameen
Meri maan hai yeh
Khuda ka wajood
Mabood hai yeh
Saya thee, Raushni bhee hai yeh
Qadam tallay jannat
Meri aghosh hai yeh

Ishq ki raah me mar jaane de Kaam aasan hai kar jaane de, Urdu Heart Touching Poetry, Urdu Ghazals


Ishq ki raah me mar jaane de 
Kaam aasan hai kar jaane de 


Ay hawa apni nahi fikar mujhy 
Inn parindon ko to ghar jaane de 

Abar e purnam tujhe jaldi kia hai 
Meri aankhen bhi to bhar jaane de 

Kese sunn paaun ga aawaz teri 
dil ki dharkan to theher jaane de 

Haath matt rok hawa ka Jamshaid 
Zulf chehre pe bikhar jaane de

Friday 6 June 2014

Umer Raaigaan Kardi Tab Ye Baat Maani Hai, Mout Aur Mohabbat Ki Ek He Kahani Hai, Urdu Heart Touching Poetry, Urdu Ghazals


Umer Raaigaan Kardi Tab Ye Baat Maani Hai
Mout Aur Mohabbat Ki Ek He Kahani Hai


Khail Jo B Tha Jaana Ab Hisaab Kya Karna 
Jeet Jis Kisi Ho Ham Ne Haar Maani Hai

Vasl Per B Naadim Thay Hijr Per B Sharminda 
Wo B Raaigaani Thi Ye B Raaigaani Hai

Ye Mera Hunar Teri Khusbuoun Se Waabasta 
Mere Saaray Lafzon Per Teri Hukmarani Hai 

Janay Kon Shehzaada Kab Chura Ke Le Jaaye 
Wo Jo Apne Aangan Me Khushbuoun Ki Rani Hai

Thursday 5 June 2014

Thodi Si Khushi Thoda Thoda Ghum, Aankhon Main Kahin Sapnay Na Hon Kam, Urdu Heart Touching Poetry, Urdu Ghazals, Urdu Songs Lyrics


Thodi Si Khushi Thoda Thoda Ghum
Aankhon Main Kahin Sapnay Na Hon Kam


Lamhon Ki Tarhan Dheeray Dheera Hum
Chaltay Hi Rahain Tootay Na Yeh Dam

Neela Aasma'n Sanwali Zamee'n
Wesi Ki Wesi Nahin Hai

Aray Laut Kay Magar Dekh Na Kabhi
Maazi Main Kuch Bhi Nahin Hai

Neela Aasma'n Sanwali Zamee'n
Wesi Ki Wesi Nahin Hai

Aray Laut Kay Magar Dekh Na Kabhi
Maazi Main Kuch Bhi Nahin Hai

Aray Jaan Lo

Duuri Ho Jahan Jaltay Hain Qadam
Durri Ho Jahan Jaltay Hain Qadam

Aankhon Main Kahin Sapnay Na Hon Kam

Waqt Nay Paaon Main Daali Hain Kai Zanjeerain
Khuwab Hi Khuwab Faqat

Aur Nahin Tabeerain Yeh Hain Chehray
Kay Paani Pay Bani Tasveerain

Jalti Bujhti Hui Dekhi Hain
Sada Taqdeerain Phir Bhi Kaafi Hai

Agar Paa Layn Hum
Thodi Si Khushi Hmm..

Thoda Sa Ghum Arzoo Thi Kya

Arzoo Thi Kya Aur Kis Qadar
Tum Ko Thi Chahat Humari

Aray Jaanay Kis Liye Rooth Si Gai
Ik Pal Main Dunya Woh Saari

Arzoo Thi Kya Aur Kis Qadar
Tum Ko Thi Chahat Humari

Aray Jaanay Kis Liye Rooth Si Gai
Ik Pal Main Dunya Woh Saari

Aankhain Hain Abhi Thodi Thodi Num
Aankhon Main Kahin Sapnay Na Hon Kam

Pyar Ki Hasi'n Dor Say Yahan
Jeevan Ko Baandha Gaya Hai

Aray Jaanain Yeh Sabhi Jesi Ho Khata
Wesi Hi Uski Saza Hai

Pyar Ki Hasi'n Dor Say Yahan
Jeevan Ko Baandha Gaya Hai

Aray Jaanain Yeh Sabhi Jesi Ho Khata
Wesi Hi Uski Saza Hai

Aray Maan Lo

Todo Gay Jo Dil Tootay Ga Sitam
Aankhon Main Kahin Sapnay Na Hon Kam

Lamhon Ki Tarhan Dheeray Dheera Hum

Tuesday 3 June 2014

Chal dar badar ho kitna chalo gai Tum keh paikar-e-zo saya raho gai, Urdu Heart Touching Poetry, Urdu Ghazals, Urdu Songs Lyrics


Chal dar badar ho kitna chalo gai
Tum keh paikar-e-zo saya raho gai 


arsh ko choomtey ho aaj
bhool kai woh zaat

jhoot taley hai dafan
rah badal keh jo chaley

lot aa na pao gai
dhaltey rahein gai qadam

tum rooth kar jao gai kahaan
meray paas tum reh jao yahaan

arsh ko choomtey ho aaj
bhool gaye woh raaz

maut talak hein dafan
rah badal kay jo chaley

ab ruk na pao gai
manzil to hai adam

toro in dar-o-deewar kai is saher ko
chalo soow-e-rahguzar

woh musafir jo azl seh ibnissabeel hai
aur iss guma ka shikar keh manzil door naheen hai

magar iss haqeeqat seh bekhabar
keh uss jaisay hazar ha musafir

guma keh marey bhatak rahey hain
tu bhee naqsh-e-pa ban kar reh jayey ga

apnee hee udayee hui gard mein gum
jao gai kahaan, jao gai kahaan

Mai Yahan Tu Wahan Mai Yahan Tu Kahan, Urdu Heart Touching Poetry, Urdu Ghazals, Urdu Songs Lyrics


Mai Yahan Tu Wahan
Mai Yahan Tu Kahan 


Faaslay Hain Magar? Raasta Kho Geya?
Koi Manzil Nahi Hai Yahan?

Mai Yahan Tu Wahan 
Mai Yahan Tu Kahan 

Faaslay Hain Magar? Raasta Kho Geya?
Koi Manzil Nahi Hai Yahan?

Mai Yahan Tu Wahan 
Mai Yahan Tu Kahan 

Tanha Raat Mein Jaag Ker
Dil Ko Hum Behlaatay Hain?

Teri Yaadon Ko Sanam
Aansuon Se Nehlaatay Hain?

Kaisay Mere Halaat Hain
Bikhray Se Jazbaat Hain
Kaisee Hain Ye Apni Si Majbooriyan?..

Mai Yahan Tu Wahan 
Mai Yahan Tu Kahan

Faaslay Hain Magar? Raasta Kho Geya?
Koi Manzil Nahi Hai Yahan?

Mai Yahan Tu Wahan 
Mai Yahan Tu Kahan

Mai Yahan Tu Wahan 
Mai Yahan Tu Kahan 

Tera Saya Bhi Nahi
Per Tera Ehsaas Hai?

Tere Khwaboun Ki Tarha
Tu Bhi Mere Paas Hai?

Tere Aanchal Ki Dhanak
Chooriyon Ki Wo Chhanak
Abhi Meri Saanson Ki Pehchaan Hai?.

Mai Yahan Tu Wahan 
Mai Yahan Tu Kahan

Faaslay Hain Magar? Raasta Kho Geya?
Koi Manzil Nahi Hai Yahan??

Mai Yahan Tu Wahan
Mai Yahan Tu Kahan 

Monday 2 June 2014

Hum Duur Sahi, Issi Khuahish Meh Phir Dil Milen, Urdu Heart Touching Poetry, Urdu Ghazals, Urdu Songs Lyrics

               

 Hum Duur Sahi 
Issi Khuahish Meh Phir Dil Milen


Kub Manzil Miley
Tum Paas Nahi

Dil Me Merey
Teri Yaad Busi

Khushbu Say Bhuri
Ab Teri Ankhon

Ko Dekhien
Meri Ankhien Bund He Sahi
Hum Duur Sahi... 

Jub Tum Nahi Tu Hur Qadum
Ahsas Hai Keh Kuch Bhi Nahi

Hur Shaam Hai Keh Dhulti Nahi 
Mun Me Merey Ab Aas Nahi

Keh Ab Yeh Meri Zindagi
Aik Safar He Sahi... 

Mil Jaien Gay
Hai Mujhay Yaqeen 

Mil Ke Phir Ghum Nahi 
Chulti Raho Abhi Waqat Nahi 

Manzil Hai Kareeb Duur Nahi 
Keh Ab Yeh Meri Zindagi 
Aik Safar He Sahi...

Main Na Maanun Haar O Sajna Dil Na Maanay Haar, Urdu Heart Touching Poetry, Urdu Ghazals, Urdu Songs Lyrics


Main Na Maanun Haar
O Sajna Dil Na Maanay Haar


Tujh Say Karna Pyar
O Sajna Tujh Say Karna Pyar

Main Na Maanun Haar
O Sajna Dil Na Maanay Haar
Tujh Say Karna Pyar
O Sajna Tujh Say Karna Pyar

Teri Khaatir To Is Dil Nay
Seekha Karna Pyar
Tu Batla Main Is Dunya Say
Kesay Manoon Haar

Bol Zara
Hoye Hoye Shaava
Dunya Say Ghabraana Kya

Pyar Kahay
Hoye Hoye Wah Wah
Dil Main Aakar Jaana Kya

Bol Zara
Hoye Hoye Shaava
Dunya Say Ghabraana Kya

Pyar Kahay
Hoye Hoye Wah Wah
Dil Main Aakar Jaana Kya
Day Kar Haath Churaana Kya

Main Na Maanun Haar
O Sajna Dil Na Maanay Haar
Tujh Say Karna Pyar
O Sajna
Tujh Say Karna Pyar

Tu Chaahay Jis Rah Main Jaana
Main Bhi Jaoon Saath
Tu Chaahay Beli Haath Churaana
Main Na Choroon Haath

Bol Zara
Hoye Hoye Shaava
Dunya Say Ghabraana Kya

Pyar Kahay
Hoye Hoye Wah Wah
Dil Main Aakar Jaana Kya

Bol Zara
Hoye Hoye Shaava
Dunya Say Ghabraana Kya

Pyar Kahay
Hoye Hoye Wah Wah
Dil Main Aakar Jaana Kya
Day Kar Haath Churaana Kya

Bol Zara
Hoye Hoye Shaava
Dunya Say Ghabraana Kya

Pyar Kahay
Hoye Hoye Wah Wah
Dil Main Aakar Jaana Kya

Bol Zara
Hoye Hoye Shaava
Dunya Say Ghabraana Kya

Pyar Kahay
Hoye Hoye Wah Wah
Dil Main Aakar Jaana Kya

Bol Zara
Hoye Hoye Shaava
Dunya Say Ghabraana Kya

Pyar Kahay
Hoye Hoye Wah Wah
Dil Main Aakar Jaana Kya
Day Kar Haath Churaana Kya

Main Na Maanun Haar
O Sajna Dil Na Maanay Haar
Tujh Say Karna Pyar
O Sajna Tujh Say Karna Pyar

Main Na Maanun Haar
O Sajna Dil Na Maanay Haar
Tujh Say Karna Pyar
O Sajna Tujh Say Karna Pyar

Main Na Maanun Haar
O Sajna Dil Na Maanay Haar
Tujh Say Karna Pyar
O Sajna Tujh Say Karna Pyar

Main Na Maanun Haar
O Sajna Dil Na Maanay Haar
Tujh Say Karna Pyar
O Sajna Tujh Say Karna Pyar...

Sunday 1 June 2014

Aap ki yaad ati rahi raat bhar raat bhar, chasmein num muskurati rahi raat bhar, Urdu Heart Touching Poetry, Urdu Ghazals, Urdu Songs Lyrics


Aap ki yaad ati rahi raat bhar...raat bhar
chasmein num muskurati rahi raat bhar


aap ki yaad ati rahi raat bhar ...raat bhar
aap ki yaad

koyi dewana galiyon mein phir ta raha
koyi dewana galiyon mein phir ta raha

koyi awaaz ati rahi raat bhar...raat bhar
chasmein num muskurati rahi raat bhar

aap ki yaad ati rahi raat bhar raat bhar

dard kai chand dil mein utar tai rahey
dard kai chand dil mein utar tai rahey

chandni jagmagti rahi raat bhar...raat bhar
chasmein num muskurati rahi raat bhar

aap ki yaad ati rahi 
raat bhar raat bhar