Chal dar badar ho kitna chalo gai
Tum keh paikar-e-zo saya raho gai
arsh ko choomtey ho aaj
bhool kai woh zaat
jhoot taley hai dafan
rah badal keh jo chaley
lot aa na pao gai
dhaltey rahein gai qadam
tum rooth kar jao gai kahaan
meray paas tum reh jao yahaan
arsh ko choomtey ho aaj
bhool gaye woh raaz
maut talak hein dafan
rah badal kay jo chaley
ab ruk na pao gai
manzil to hai adam
toro in dar-o-deewar kai is saher ko
chalo soow-e-rahguzar
woh musafir jo azl seh ibnissabeel hai
aur iss guma ka shikar keh manzil door naheen hai
magar iss haqeeqat seh bekhabar
keh uss jaisay hazar ha musafir
guma keh marey bhatak rahey hain
tu bhee naqsh-e-pa ban kar reh jayey ga
apnee hee udayee hui gard mein gum
jao gai kahaan, jao gai kahaan
No comments:
Post a Comment