Thodi Si Khushi Thoda Thoda Ghum
Aankhon Main Kahin Sapnay Na Hon Kam
Lamhon Ki Tarhan Dheeray Dheera Hum
Chaltay Hi Rahain Tootay Na Yeh Dam
Neela Aasma'n Sanwali Zamee'n
Wesi Ki Wesi Nahin Hai
Aray Laut Kay Magar Dekh Na Kabhi
Maazi Main Kuch Bhi Nahin Hai
Neela Aasma'n Sanwali Zamee'n
Wesi Ki Wesi Nahin Hai
Aray Laut Kay Magar Dekh Na Kabhi
Maazi Main Kuch Bhi Nahin Hai
Aray Jaan Lo
Duuri Ho Jahan Jaltay Hain Qadam
Durri Ho Jahan Jaltay Hain Qadam
Aankhon Main Kahin Sapnay Na Hon Kam
Waqt Nay Paaon Main Daali Hain Kai Zanjeerain
Khuwab Hi Khuwab Faqat
Aur Nahin Tabeerain Yeh Hain Chehray
Kay Paani Pay Bani Tasveerain
Jalti Bujhti Hui Dekhi Hain
Sada Taqdeerain Phir Bhi Kaafi Hai
Agar Paa Layn Hum
Thodi Si Khushi Hmm..
Thoda Sa Ghum Arzoo Thi Kya
Arzoo Thi Kya Aur Kis Qadar
Tum Ko Thi Chahat Humari
Aray Jaanay Kis Liye Rooth Si Gai
Ik Pal Main Dunya Woh Saari
Arzoo Thi Kya Aur Kis Qadar
Tum Ko Thi Chahat Humari
Aray Jaanay Kis Liye Rooth Si Gai
Ik Pal Main Dunya Woh Saari
Aankhain Hain Abhi Thodi Thodi Num
Aankhon Main Kahin Sapnay Na Hon Kam
Pyar Ki Hasi'n Dor Say Yahan
Jeevan Ko Baandha Gaya Hai
Aray Jaanain Yeh Sabhi Jesi Ho Khata
Wesi Hi Uski Saza Hai
Pyar Ki Hasi'n Dor Say Yahan
Jeevan Ko Baandha Gaya Hai
Aray Jaanain Yeh Sabhi Jesi Ho Khata
Wesi Hi Uski Saza Hai
Aray Maan Lo
Todo Gay Jo Dil Tootay Ga Sitam
Aankhon Main Kahin Sapnay Na Hon Kam
Lamhon Ki Tarhan Dheeray Dheera Hum
No comments:
Post a Comment