Friday 28 February 2014

Kabi Gham Ki Aag Me Jal Uthay, Kabi Dagh-e-Dil ne Jala Dia, Urdu Best Ghazal, Urdu Shairi


Kabi Gham Ki Aag Me Jal Uthay 
Kabi Dagh-e-Dil ne Jala Dia 

Ay Junoon-e-Ishq Bata Zara 
Mujhe kyun Tamasha Bana Diya 

Gham-e-ishq Kitna Ajeeb Hai 
Ye Junoon Se Kitna Qareeb Hai 

Kabi Ashk Palkon Pe Ruk Gaye 
Kabi Poora Darya Baha Dia 

Abhi Kar Raha Hai Wo Ibteda 
Mera Keh Raha Hai Ye Tajruba 

Usay Zindagi Ki Hai Aarzoo 
Mujhy Zindagi Ne Mita Diya

Thursday 27 February 2014

Uski Baahain Thi Mare Kandhy Pr or Wo Be-naqab Tha, Image Urdu Poetry


Uski Baahain Thi Mare Kandhy Pr 
or Wo Be-naqab Tha

Haye Kya Guzri Raat or 
Kya Ghazab Ka Khuwab Tha...

Dilon Se Mehr-o-Wafaa Aankh Se Hayaa Nikle, Best Image Potery, Urdu ghazal


Dilon Se Mehr-o-Wafaa Aankh Se Hayaa Nikle
To Aise Sheher Ki Galiyon Mein Koi Kiya Nikle,

Pakarti Reh Gai Raatain Hamaaray Saayo'n Ko
Hum Aik Khuwaab Mein Doobey To Jaa-Bajaa Nikle, 

Ajab Nahin Inhi Dar-Warsan Main Phool Khilain
Koi Bahaar Ka Qaasid Idhar Jo Aa Nikle, 

Wohi Falak Tha, Wohi Raat Thi, Wohi Mausam
Magar Hamaaray Sitare Judaa Judaa Nikle, 

Ye Ab Jo Rait Si Saarey Mein Urrti Phirti Hai
Kisey Khabar K Kisi Raaste Mein Ja Nikle,

Samajh Main Kuch Nahin Aata Ye Raasta 
Chale They Us Ki Taraf, Apni Simat Aa Nikle..!!

Tera Dard Ham Se Sambhala Nahi Jata, Ab Ye Parinda Ham Se Pala Nahi Jata, Urdu Image Poetry


Tera Dard Ham Se Sambhala Nahi Jata 
Ab Ye Parinda Ham Se Pala Nahi Jata 

Jan Mangi Hai To Khanjar Bhi Le Aao 
Tera Hukum Ham Se Taala Nahi Jata 

Jis Tarah Tu Ne Nikala Hai Mehfil Se Hame 
Is Tarah Dushman Ko B Nikala Nahi Jata 

Hasad Ka Talab Jin K Seeno Main Hi Saja 
Kitna B Dhoye Dil Ko Daag Kala Nahi Jata

Wednesday 26 February 2014

Bol hawa us paar zamanay kaisay hain, Urdu Image Poetry


Bol hawa 

us paar zamanay kaisay hain
Ujrray shèhar mèin yaar puranay kaisay hain

Chaand utarta hai ab kis kis Aangan mèin 
Kirnon sè mèhroom gharanay kaisay hain 

Lab_Basta darwazon par kia Bèèt gai
Galiyon sè mansoob afsanay kaisay hain

Jin k Jhurmat mein shamèin dam torr gaèèn,, 
Woh pyaray pagal parwanay kaisay hain 

hum to khair-khabar sè dar guzray 
Apnay roothay yaar na Jaanay kaisay hain....

Aisi Aankhein Nahi Dekhin, Aisa Kajal Nahi Dekha, Urdu Best Ghazal


Aisi Aankhein Nahi Dekhin, Aisa Kajal Nahi Dekha, 
Aisa Jalwa nahi Dekha, Aisa Chehra Nahi Dekha, 

Us Kay Kangan Ka Khanakna, Jaise Bulbul Ka Chehekna, 
Us Ki Pazeb Ki Chham Chham, Jaise Barsaat Ka Mausam, 

Aisa Sawan Nahi Dekha, Aisi Barish Nahi Dekhi, 
Us Ki Meeethi Koyal Si Hai Boli, Jaise Geeton Ki Rangoli, 

Surkh Gaalon Pe Paseena, Jaise Sawan Ka Mahina, 
Aisi Aankhein Nahi Dekhin, Aisa Kajal Nahi Dekha.

Dil Mein Chubhay Na Jin K Kabhi Khaar Zeest K, Kia Un Pe Aashkar Hon Asraar Zeest K, Urdu Best Potery, Famous Urdu Poetry


Dil Mein Chubhay Na Jin K Kabhi Khaar Zeest K 
Kia Un Pe Aashkar Hon Asraar Zeest K 

Seekha Nahi Jinoh Ne Saliqa Kalaam Ka 
Taleem Karne Aaye Hein Atwaar Zeest K 

Zaiba Thi Jin Ko Zeest Jahan Se Guzar Gaye 
Hum Muft Mein Huey Hein Sazwaar Zeest K 

Q Hum Pe He Tamaam Hui Gham Ki Naimatein? 
Kia Ik Humi Huey Thay Gunehgaar Zeest K? 

Dekhi Hai Hum Ne Ronaq-e-Nairangi Hayaat 
Manzar Badal Chukey Hein Kai Baar Zeest K 

Chakhi Hai Hum Ne Muot Ki Lazzat Hazaar Baar 
Guzarey Hein Hum Pe Hadsay Do Chaar Zeest K 

Kaar-e-Hayat Reshmi Dhago'n Ka Khail Tha 
Uljhay To Phir Sulajh Na Sake Taar Zeest K 

Ik Aik Saans K Liy Kaasa Liye Phirein 
Aise Bhi Hum Nahi Hein Talabgaar Zeest K 

Rangeen Hai Hamare Lahoo Se Nissab-e-Zeest 
Unwaa'n Raqam Kiye Hein, Sar-e-Daar Zeest K 

Ab Aas Hai Na Koi Tamnna Na Justajoo 
Baqi Nahi Hein Zeest Mein Aasaar Zeest K 

Kia Zindagi Ka Rung Ho Janey Hamare Baad 
Hum Aakhri Amee'n Hein , Tarehdaar Zeest K

Monday 24 February 2014

Suno, Ek kaam krna, Thori si mitti lena, Us se Tum pyare se 2 dost banana, Urdu Image Poetry, Best Poetry


Suno!

Ek kaam krna,

Thori si mitti lena, Us se Tum pyare se 2 dost banana,

Ik Tum jesa!
Ik Mujh jesa!

Phir un ko Tum torr dena, Phir un se dobara 2 dost banana,

Ik Tum jesa!
Ik Mujh jesa!

Ta k Tum main kuch kuch"MAIN" reh jaon,
Aur Mujh main kuch kuch "TUM"reh jao...

Sunday 23 February 2014

Kyun tor don mai tujh se taalluq apna abhi se, Urdu Image Poetry


Kyun tor don mai tujh se taalluq apna abhi se
Ye kam Ishq ka hai wo khud hee karta hai milane ke bad

Saturday 22 February 2014

Hum Ko Bhi Wuzoo Kar Lene Do, Hum Ko Bhi Ziyarat Karni Hai, Love Poetry, Mohabat shayri,


Hum Ko Bhi Wuzoo Kar Lene Do, Hum Ko Bhi Ziyarat Karni Hai
Kuch Log Tumhari Aankhon Ko , Walyion Ka Thikana Kehte Hain

Ajab Hunar Hai Mere Haath Mein Shayari Likhne Ka Azam, Urdu Sad Poetry, Image Poetry


Ajab Hunar Hai Mere Haath Mein Shayari Likhne Ka Azam,
Main Apni Baarraiyaa Likhta Hu Log Wah Wah Karte Hain..

Teri Dil Faraib Adaa'yen Meri Jaan Le Lain Gi Yeh, Urdu Two line Poetry, Image Poetry, Sms Potery


Teri Dil Faraib Adaa'yen

Meri Jaan Le Lain Gi Yeh

Andaz-e-Nazar Badlo,
Meri Zindagi Ka Sawal Hai

Thursday 20 February 2014

Meri Zindagi k Tewar Mere Hath Ki Lakirein, Urdu Best Poetry, Image Poetry


Meri Zindagi k Tewar Mere Hath Ki Lakirein
Inhain Kash Tum Badalte To Kuch Aur Baat Hoti


Me Hi Tera Aina Tha Me Hi Tera Aina Houn
Mujhe Dekh Kar Sanwarte To Kuch Aur Baat Hoti

Abhi Aankh Hi Lari Thi k Gira Diya Nazar Se
Zara Faasle Jo Ghatte To Kuch Aur Baat Hoti

Yeh Khule Khule Se Gaisu Inhain Laakh Tum Sanwaro
Mere Hath Se Sanwarte To Kuch Aur Baat Hoti

Mujhe Apni Zindagi Ka Koi Gham Nahi Hai Lekin
Tere Bazuon Me Marte To Kuch Aur Baat Hoti,,

Jo aik lafz ki khusbu na rakh saka mehfooz, Mai oss k hat mai sari kitab kya dyta, Urdu Image Potery


Jo aik lafz ki khusbu na rakh saka mehfooz
Mai oss k hat mai sari kitab kya dyta.

Wednesday 19 February 2014

Usne hum ko Gumaan mai Rakha, Or phir kam hee dehan mai rakha, Urdu Best Poetry, Urdu Poetry


Usne hum ko Gumaan mai Rakha
Or phir kam hee dehan mai rakha

Kya Qayamat namo thi wo jisne
Hashar uski uthan mai rakha

Lamhe Lamhe ki apni thi aik shan
Tu ne he aik shaan mai rakha

Hum ne peham qabool wird kar ke
Usko aik imtehan mai rakha

Tum to us yad ki aman mai ho
Usko kis ki aman mai rakha

Apna Rishta zameen se he rakho
Kuch nahi Asmaan mai rakha

Tuesday 18 February 2014

Phir hon sare zamane mai dar badar kesa, Mai tere bad bhi zinda raha magar kesa, Ahmed Faraz Poetry, Best Poetry by Ahmed Faraz


Phir hon sare zamane mai dar badar kesa
Mai tere bad bhi zinda raha magar kesa
پھرا ہوں سارے زمانے میں در بدر کیسا
میں تیرے بعد بھی زندہ رہا مگر کیسا

وہ جا نتا تھا کہ کچھ روز وہ نہیں تھا تو میں
پکا رتا رہا اُس کو ادھر اُدھر کیسا

نہ اعتبار نہ آ سودگی نہ قرب تیرا
فقط تکلف دیوار و در ہے گھر کیسا

میں جس کے ہجر میں رویا ہوں پاگلوں کی طرح
وہ کل ملا تو ہنسا میرے حال پر کیسا

عزیز تر تھی جسے نیند شام وصل میں بھی
وہ تیرے ہجر میں جاگا ہے عمر بھر کیسا

بس ایک شخص کی خاطر بس ایک دل کے لئے
وطن کو تج دیا دیوانگی ، میں گھر کیسا

کہاں کی دوستی ، کیسا فراق ، کون فراز
میں خود کو بھول گیا تجھ کو بھول کر کیسا

احمد فراز

Monday 17 February 2014

Zamana or zamane ke bad kya hoga? Ye naqsh apna mitanay ke bad kya hoga? Urdu Image Poetry, Best Urdu Ghazal, Urdu poetry


Zamana or zamane ke bad kya hoga?
Ye naqsh apna mitanay ke bad kya hoga?

Phir aik talkh haqeeqat ka samna hoga
Phir aik khwab sohane ke bad kya hoga?

Mai sochta hn zara tu bhi soch aey humdam
Keh tere mere fasane ke bad kya hoga?

Kabhi ye socha hai phir kese roshni hogi
Hamara dil jalane ke bad kya hoga?

Tumhe bhi haal-e-ghum dil sunai dete hain
Tumhe bhi haal sunane ke bad kya hoga??

Jaah ki khwahish hai faiz pe marne walay, Kisi insan ki izzat nahi karne walay, by amjad islam amjad, urdu poetry of amjad islam amjad


Jaah ki khwahish hai faiz pe marne walay
Kisi insan ki izzat nahi karne walay

Wohi ab sheher ki nazron mai shanawar tehray
Lab-e-darya jo kharay thay kai darne walay

Kis qadar khwab abhi sher banai hain hamein
senkron kaam pare hain abhi karne walay

Bhool hogai to usay dil se karenge tasleem
Hum nahi dosh kisi or pe dahrne walay

Dekh lay ankh utha kar hame aey seel hawas
nahi s sheher ke sab log bikharne walay

Pyar batne se kabhi khatam na hoga AMJAD
Dil ke darya to nahi hote utarne walay...

           By: Amjad Islam Amjad

Sunday 16 February 2014

Kitna mushkil hai mohabbat ki kahani likhna,Urdu Ghazal, Urdu Poetry


Kitna mushkil hai mohabbat ki kahani likhna,
Jaise paani se paani par paani likhna

Choro ye baat ke mile zakham kahan se mujhko,
Zindagi itna bata de keh kitna safar baqi hai

Rootha Jo Pyar Hum Se Dubara Nahi Mila, Urdu Best Image Poetry, Urdu Ghazal


Rootha Jo Pyar Hum Se Dubara Nahi Mila
Kiya Bewafa Tha Shakhs Dubara Nahi Mila

Ik Baar Aa Gaya Tha Sailaab Aankh Me
Darya Ko Uskey Baad Kinara Nahi Mila

Mujhko Bhi Raas Aata Nahi Dosra Koi
Usko Bhi Mere Jesa Sahara Nahi Mila

Barson Se Phirr Raha Tha Mei Jis Ki Talash Me
Vo Mil Gaya To Usse Sitara Nahi Mila

Mohabbat kya hai, dil ka dard se mamoor ho jana, Urdu Image Poetry


Mohabbat kya hai, dil ka dard se mamoor ho jana
mata jaan kisi ko sonp kar majboor hojana

basa lena kisi ko dil mai, dil he ka kaleja hai
paharon ko to bas ata hai jal kar toor ho jana

yaha to sar se pehle dil ka soda shart hai yaro!
Koi asan hai kya sarmad o mansooe hojana

nazar se door reh kar bhi taqqi wo pas hain mere
keh meri Aashiqi ko Aib hai majboor hojana

Saturday 15 February 2014

Neend i na khula rat ka bistar mujhse, Guftagu Karta raha chand brabar mujhse, Urdu Image Poetry, Best Image Poetry, Urdu Ghazal


Neend i na khula rat ka bistar mujhse
Guftagu Karta raha chand brabar mujhse

Apna Saya isay kherat mai de raha hon
dhoop ke dar se jo lipta raha din bhar mjhse

Konsi aisi kami mere khadokhal mai hai
Aina khush nahi hota kabhi mil kar mujhse

kya musibat hai keh har din ki mushaqat ke awaz
bandh jata hai koi rat ka pathar mujhse

Dasht ki simt nikal aya hai mera darya
bas isi bat par hain khafa sare samandar mujhse

apne haton ko jo kashkol banaya gohar
gir para jane kahan mera muqadar mujhse

Friday 14 February 2014

Hijar ki shab mai Qaid kare ya subha wisaal mai rakhe, Acha Moula ye teri marzi, Tu jis Haal mai rakhe, Urdu Image Poetry


Hijar ki shab mai Qaid kare ya subha wisaal mai rakhe
Acha Moula ye teri marzi, Tu jis Haal mai rakhe
ہِجر کی شب میں قید کرے یہ صبح وِصال میں رکھے
اچھا مولا یہ تیری مرضی ـــــ تو جِس حال میں رکھے

کھیل یہ کیسا کھیل رہی ہے دِل سے تیری محبت 
اِک پل کی سرشاری دے اور دِنوں ملال میں رکھے

میں نے ساری خوشبوئیں آنچل سے باندھ کر رکھی
شاید اِن کا ذِکر تو اپنے کِسی سوال میں رکھے 

کِسی سے تیرے آنے کی سرگوشی سُنتے ہی
میں نے کِتنے پھول چُنے اور اپنی شال میں رکھے 

مشکِل بن کر ٹوٹ پڑی ہے دِل پر یہ تنہائی 
اب جانے یہ کب تک اِس کو اپنے جال میں رکھے

Thursday 13 February 2014

To Love Someone Deeply GIVES YOU STRENGTH, Happy Valentine's Day


To Love Someone Deeply
GIVES YOU STRENGTH

Being Loved by Someone deeply
GIVES YOU COURAGE

Wednesday 12 February 2014

Valentine's greetings, Valentine day card, Valentines best logo,


Tu kisi Rastey ka musafir Rahey, Teri ek ek tokher utha Laungi, Urdu Image Poetry, Best Image Poetry, Urdu Ghazal


Tu kisi Rastey ka musafir Rahey
Teri ek ek tokher utha Laungi


Apni bechain palko ko chun chun k
Mai tere rastey ke patthar utha laungi

Mi waraq pyar ka morr sakti nahi
zindagi mai tujhe chorr sakti nahi

Tu agar mere ghar tak nahi ayega
Mai tere pas hi ghar utha laungi

Aansuon ka ye mousam chala jayega
Mere lab per tabassum bhi ajayega

Mujh ko dil ki zamee se tum aawaz do
Asman apney sir par utha laungi

Ye zamana hai sehrae sifat hamnashee
chand khatrey b isey na mil paingey

dekhto mujhse kahe ker kisi roz tum
teri khatir samandar utha laungi

Ma Che Wakata Tasweer Da Mohabat Sta, Khkalai Husan Me Byamond Ochat Sta, Pashtu Best Poetry, Pashto Image Poetry


Ma Che Wakata Tasweer Da Mohabat Sta
Khkalai Husan Me Byamond Ochat Sta


Ajeeba Da Da Pa Tyara Ke Raghla
Laka Spogmi pa Nema Shpa Ke Raghla

Husan De Pat Ka Da Nazara Nashi
Dagha Ghamkhwar Khalaq Aksara Badnazar de

Wahan Sach zaror chupa hota hy jb insan kisi ko ye kehta Hai, ye MAzaq tha Yar, Realities


Wahan Sach zaror chupa hota hy jb insan kisi ko ye kehta Hai
"ye MAzaq tha Yar"

Ek Feeling Chupi hoti he jb kaha jata hai
"mujhe koi Farq ni prta"

Ek Dard Chupa hota ha jb kehta hai
"its ok"

Ek Zaroort Chupi hoti hai jb kehta hai
"Mujhe Akela Chorr do"

Ek Gehri Bat Chupi hoti hai jb kehta hai
"pta nahi"

Aik kahani chupi hoti hai jb ye kehta hai
"koi aor Baat kro"

zAroor ansoo chupe hote hain jb yeh kaha jata hai
Allah pak hai na.!

Saturday 8 February 2014

Yeh valentine Bhi Guzar Gaya, Tere Intizar Mein, Valentines Day Poetry


Yeh valentine Bhi Guzar Gaya
Yeh Valentine Bhi Guzar Gaya,

Tere Intizar Mein
Tere Bichry Huy Pyar Mein

Tere Diye Huy Ghamon K Aazab Mein
Na Jany Kyun phr Bhi Ek Aas Baqi hai

Tere Lot Aany Ka Imkan Baqi Hai
Iss Naye Subha K Saath He

Dil Ko Tera Intizar Raha Tha
Bohat Shidatt Se Raha tha

Per Tu Na Aya Na Tera Koi Pegham
Ab Sham Bhi Dhal Rahi Hai

Aas K Umeedon K Diye Bujh Rahy Hain
Ik Baar Lout Aao Meri Valentine, Ek Baar Lout Aao

Yeh Intizar Saaha Nahi Jata
Ab Raat Ho Chali Naya Din Shuruu Hone wala Hai

Iss Dil Mein Bhi Ghupp Andhera Hai
Iss Raat Ko Manind, Tum Nahi AAye

Ek Baar phr Tere Bin
Yeh valentine Bhi Guzar Gaya

Valentines ke Din Mein Deta Hon Yakeen, Happy Valentine's Day Poetry, Urdu Best Valentine Day Poetry


Valentines ke Din
Mein Deta Hon Yakeen,

K Mein Janam Janam Se, Tumhara Tha
Tumhara Hon, Tumhara Hee Rahon Ga

Meri Mohabbat Meri Chahhat
Meri Pyass Bhi Tum Hee Ho

Tum Hee Raho Gi Mera Sab Kuch
Mere Alfaz, Mere Jazbaat, Mere Ehsasaat

Sab Tum Se Shurru Hote hain
Aur Tum Per Hee Khatam Hote Hain

Zindagi K Her Morr Per
Mein Tumhari Perchaii Ban K Rahon Ga

Phir Se Valentines Day Aa Raha Hai Yad hai jana, Happy Valentine's Day Poetry, Urdu Valentines Day Poetry


Phir Se Valentines Day Aa Raha Hai
Yad hai jana . . .!!

Jab valentine day tha
Hamari zindgi mai bahaar laya tha

Tum ne apni sachi mohabbat ka izhaar kia tha
Mere dil ko naye jazbon se shar-saar kia tha

Naye naye wady thy
Naye naye irady thy

Tum ne hamesha meri valentine rehne ka wada kia tha
Aj tum mere sath nahi ho

Mujhe tmhara wada yad aa raha hai
Phr se valentines day aa raha hai

Chalo is Valentine Par Kuch Aisa Karty Hain, Pichly Baras Ke Sookhey Pholon Ko, Valentines Day Urdu Poetry, Happy Valentines Day


Chalo is Valentine Par Kuch Aisa Karty Hain,
Pichly Baras Ke Sookhey Pholon Ko,

Apni Chahton Se Taza Karty Hain,
Or Phir Ajj Ke In Pholon Se,

Un Mein Azafa Karty Hain.
Chalo Es Valentine Par Kuch Aisa Karty Hain,

Kuch Pal K Liye Hum Ajnabi Banty Hain,
Ek Aam Se Sada Kaghaz Par,

Ek Lafz "MOHABBAT" Likhty Hain,
Or Phir Es Lafz K Ehsas Ko,

Ek Naye Andaz Se Milty Hain,
Chalo Es Valentine Par Kuch Aisa Karty Hain,

Apny Sary Gham Apny Sary Dukh,
Tum Mujhy De Dena,

Meri Sari Khushiyan Mery Sary Sukh,
Tum Rakh Lena,

Rab Se Kuch Es Tarah Ki Dua Karty Hain
Chalo Es Valentine Par Kuch Aisa Karty Hain.

::Happy Valentine's Day::

If I reached for your hand , will you hold it, If I hold out my arms, will you hug me, Happy Valentine's Day, Valentine's Day Poetry


If I reached for your hand , will you hold it ?
If I hold out my arms, will you hug me ?

If I go for your lips, will you kiss me ?
If I capture ur heart , will you love me ??

All I wanted was some one to care for me
All I wanted was someone who? would be there for me

All I ever wanted was someone who? would be true
All I ever wanted was someone like YOU?

I dream about you every night
I shiver when your in sight

I long to hold you close and tight
I wanna be there with all my might

I m just hoping I?m the girl whose right

Sweeter than the CANDIES, Lovelier than the RED ROSES, Happy Valentine's Day, Valentines Poetry,


Sweeter than the CANDIES,
Lovelier than the RED ROSES,

More huggable than SOFT TOYS,
that’s what you’re,

Here’s wishing you a VALENTINE'S DAY,
That is as special as you are..

I think that I have found Upon this wondrous ground A friend for life, a love, Valentine Day Poetry, Happy Valentine's Day


I think that I have found
Upon this wondrous ground
A friend for life, a love

Who is a touch above
Life?s mediocrities

That blow in different seas
These special ones on earth

Who?ve been that way since birth
They touch lightly your heart

And never must you part,
For when you see their eyes

There can be no good-byes
So walk this way with me

Along this pathway free,
I shall not bind or tie
Our love or it would die

Lout Aa Sanam Bhul Kr Meri Sab Khataye, Urdu Image Poetry, Heart Touching Poetry


Lout Aa Sanam Bhul Kr Meri Sab Khataye
Bula Rahi Hain Tumko Meri Bikhri Wafaye

Ab Is Ummid Par Hi Chal Rahi Hai Saanse
K Marne Se Pehle Tujhko Dekhe Ye Nigaahe

Friday 7 February 2014

Sari Raat Na Soye Hum, Rato Ko Uth Ke Kitna Roye Hum, Urdu Best Poetry, Sad Urdu Image Poetry


Sari Raat Na Soye Hum,
Rato Ko Uth Ke Kitna Roye Hum,

Bas Ek Baar Mera Kasur Bata De Rabba,
Itna Pyaar Karke Bhi Kyon Naa Kisi Ke Hue Hum

Yad Dila Kar Apni Wo Hame Bhool Jane Lage, Vada Kar K Wo Vada Torr Jane Lage, Urdu Image Poetry, Best Urdu Poetry


Yad Dila Kar Apni Wo Hame Bhool Jane Lage
Vada Kar K Wo Vada Torr Jane Lage,

Kya Gila Hai Humse Ye To Bata Dijiye
Aap Ajnabi Ho Gaye Ya Hum Hi Ghairo Me Aane Lage..!!

Thursday 6 February 2014

Teri Awaz Aaj Bhi Mere Kano Mein Raks Karti Hai, Wo Tera Ek Bar Ka Kehna K Tum Sirf Mere Ho, Urdu Loving Poetry, Urdu best Image poetry


Teri Awaz Aaj Bhi Mere Kano Mein Raks Karti Hai,
Wo Tera Ek Bar Ka Kehna K Tum Sirf Mere Ho...

Gaya Raqeeb K Ghar Baar-Ha Shab-e-Waada, Buhat Zaleel Mujhay Teri Justaju Ne Kiya, Urdu Image Poetry


Gaya Raqeeb K Ghar Baar-Ha Shab-e-Waada
Buhat Zaleel Mujhay Teri Justaju Ne Kiya.!

Wednesday 5 February 2014

Raat Bhar Raat Ko Ek Raat Jagaya Jaye, Urdu Image Poetry, Two Line Shayeri, SMS Poetry


Raat Bhar Raat Ko Ek Raat Jagaya Jaye,
Esko Maloom Toh Ho Hum Pe Guzarti Kya Hai.

Tuesday 4 February 2014

Hum Rooth Jaye To Manane Ka Wada Kiya Tha Hum Door Jaye To Bulane Ka Wada Kiya Tha, Urdu Image Poetry, Urdu Best Poetry


Hum Rooth Jaye To Manane Ka Wada Kiya Tha
Hum Door Jaye To Bulane Ka Wada Kiya Tha,

Aaj Palkon Pe Aansu Bhar Diye, 
Jisne Zindagi Bhar Hasane Ka Wada Kiya Tha

Koi Naraz Hai Humse Keh Hum Kuch Likhte Nahi, Urdu Image Poetry, Urdu Best Poetry, Dard.e.Dil Poetry


Koi Naraz Hai Humse Keh Hum Kuch Likhte Nahi
Kahan Se Layein Lafz Jab Wo Milte Nahi

Dard Ki Zuban Hoti To Bata Dete
Woh Zakham Kaise Bataye Jo Dikhte Nahi

Aey Maut, Tujhe Gale Lagana Chahta Hoon, Urdu Image Poetry, Urdu Best Poetry, Sad Urdu Poetry


Aey Maut, Tujhe Gale Lagana Chahta Hoon
Kitni Wafa Hai Tujh Main Aazmana Chaahta Hoon

Logo Ne Bahut Rulaya Hai Mujhe
Tera Saath Mile To Logo Ko Rulana Chahta Hoon

Monday 3 February 2014

Guzar Jayenge Tumhare Bhi Wo Pal Ache, Urdu Image Poetry


Guzar Jayenge Tumhare
Bhi
Wo Pal Ache,

Jinhe Hum Intezar Aur
Tum Waqt Kehte Ho,

Kya Pata Kaun Bhool
Jaaye
Ye Mohabbat,

Jise Hum Zindgi Aur
Tum Ek Lafz Kehte Ho..!

Ab aansuon ko aankhon me sajana hoga, Charaag bujh gaye khud ko jalana hoga, Urdu Heart Touching Poetry


Ab aansuon ko aankhon me sajana hoga,
Charaag bujh gaye khud ko jalana hoga,

Na samajhna ki tumse bichadke khush hain hum,
Hamein logon ki khatir muskurana hoga..!

Mohabbat Ka Ishara Yaad Rehta hai, Har Pyar Ko Apna Pyar Yaad Rehta hai, Urdu Image Poetry,


Mohabbat Ka Ishara Yaad Rehta hai,
Har Pyar Ko Apna Pyar Yaad Rehta hai.

Do Pal Jo Pyar Ki Baho Me Guzare Ho,
Maut Tak Wo Nazara Yaad Rehta hai.!

Saturday 1 February 2014

Us Ki Chahat Ne Rulaya Bohat Hai, Us Ki Yaadon Ne Tadpaya Bohat Hai, Urdu Image Poetry, Urdu Best Poetry


Us Ki Chahat Ne Rulaya Bohat Hai,,
Us Ki Yaadon Ne Tadpaya Bohat Hai,,

Hum Un Se Bohat Pyar Karte Hain,,
Iss Mazboori Ko Us Ne Aazmaya Bohat Hai