Thursday 26 November 2015

kuch logo k sath ap tamam umar guzar de Mgr ap k or un k darmiyan koi jazbati taluk paida nahi ho pata


kuch logo k sath ap tamam umar guzar de
Mgr
ap k or un k darmiyan koi jazbati taluk paida nahi ho pata

or
kuch aise b hote hai jo aik pal he me apne ban jate hai 
jin se aik bar mil kar bar bar milne ko dil chahne lagta he 
jin se koi rishta na hone k bawajod b aik apnait c mehsoos hote he.

Sunday 22 November 2015

Neend to Aane ko thi par Dil pichly Qissay le Baitha... Ab khud ko Be-Waqt Sulany main Kuch Waqt To lagega, urdu poetry, best loving poetry


Neend to Aane ko thi par Dil pichly Qissay le Baitha...
Ab khud ko Be-Waqt Sulany main Kuch Waqt To lagega


Pagli Neend to Aane ko thi par Dil pichly Qissay le Baitha... 
Ab khud ko Be-Waqt Sulany main Kuch Waqt To lagega

Lafzon ko tarash k ghazal bana diya karte hain Hum chaak-e-mohabbat par alfaaz siya karte hain, urdu poetry, best poetry


Lafzon ko tarash k ghazal bana diya karte hain
Hum chaak-e-mohabbat par alfaaz siya karte hain…


Zara nazarein bacha k chalna hum se, hum wo hain
Jo pehali nazar mein hi dil chura liya karte hain…

Jin ko be’rang kehti hai yeh duniya, hum to unhein
Rangon mein rang mila k tasveer Bana diya karty hain

Shaayar hain hum Zara hat k iss zamane se janab,
Chand lafzon ko mila k He Geet bana liya karte hain ..

Kya Yehi iShQ ka Mayaar Bana rakha hai' Tum Ne Hr Shakhs ko DiL'daar Bana rakha hai, urdu ghazal, poetry of the day


Kya Yehi iShQ ka Mayaar Bana rakha hai' 
Tum Ne Hr Shakhs ko DiL'daar Bana rakha hai,


Log Aatay hain Thehrtay hain ChLay Jatay hain' 
Tum Ne to DiL ko bhi Bazaar Bana rakha hai,

Aankh men AShk Bhray Jisam pe Maatam k Nishaan' 
iShQ Ne Sab ko Aza'daar Bana rakha hai,

Sach to Ye hay k khud Apna Mukhalif Main hoon' 
Khud ko Khud Raah ki Dewaar Bana rakha hai,

Dukh to Ye hay k Wo Saari hi Kahani main Nahi' 
Hum Ne Jisko Markzi kirdaar Bana rakha hai..

Tuesday 10 November 2015

Mulaqatein urooj per thi to jawab e azan tak na diya IQBAL Sanam jo rootha hai to aaj moazin bane bethay hain, Allama Iqbal poetry

-: Allama Iqbal :-


Mulaqatein urooj per thi to jawab e azan tak na diya IQBAL
Sanam jo rootha hai to aaj moazin bane bethay hain..
Na kalma yaad ata hai na dil lagta hai nemazon mai IQBAL
Kafir bana diya hai logo ko do din ki mohabbat ne...
Kitni ajeeb hai gunahon ki justoju IQBAL
nemaz bhi jaldi parhte hain phir se gunah karne ke liye


Sunday 1 November 2015

Soyi Nahi Hoon Mujhe Sulaa Do Maa Ajao Mujhe Lori Sunaa do Maa, Ashk Meri Ankhon Se Jam se Gaye Hain Kar ke Jabar mujhe Rula Do maa, urdu ghazal, urdu poetry about mother.


Soyi Nahi Hoon Mujhe Sulaa Do Maa
Ajao Mujhe Lori Sunaa do Maa


Ashk Meri Ankhon Se Jam se Gaye Hain
Kar ke Jabar mujhe Rula Do maa

Dekh Kitni Be Tarteeb Ho Gayi Hai Zindagi Meri
Bikhre Hain mere Baal bana do maa

Bohat Darr Lagta hai mujh ko Duniya Se
Apne Aanchal Mai Mujh ko Chupa lo Maa

Jall Rahi hoon Main ik be-naam si tapish se
Choom ke mera maatha bhuja do Maa