Tuesday 2 April 2019

Iss sukun pe wo har raat qurbaan hai, Mere dil ki awaaz Qurbaan hai, Urdu best ghazal, romantic ghazal, ghazal of girl,


Iss sukun pe wo har raat Qurbaan hai.


Iss sukun pe wo har raat qurbaan hai,
Mere dil ki awaaz Qurbaan hai,
Ab jo ye bojh nahi hai to sochta hun
Wo nasamajh bachchon si har shaam Qurbaan hai.
Iss sukun pe wo har raat Qurbaan hai.

Aaj subah utha to khud ko halka mehsus kiya,
Dimaag ne aaraam aur dil ne tanha mehsus kiya,
Is tanhaayi me jab rota hun,
To lagta hai ki uska har saath Qurbaan hai,
Iss sukun pe wo har raat Qurbaan hai.

Har zikr pe ham kuch soch uthte hai,
Har jaam pe kuch kho baithte hai,
Iss jaam ki kasam ab saki bhi nahi deti,
Kyunki uski yaad me ye meykhaana Qurbaan hai,
Iss sukun pe wo har raat Qurbaan hai.

Din-b-din samay guzar raha hai,
Hamara dil vyarth hi doob raha hai,
Ham baithe hai uske aasmaan tale,
Chaand ka sauda uska pehredaar sitara kar raha hai.

Daam hamne bhi chukaya hai,
Karz hamne bhi uthaya hai,
Magar uss ke haq pe ye samaj beyimaan hai,
Iss marz se dil lahu-luhaan hai,
Iss sukun pe wo har raat Qurbaan hai.

Ab to uski kami bhi mehsoos nahi hoti,
Har ghadi ab uske khayaalon me masroof nahi hoti,
Magar jab sochta hun mere waqt pe uske nishaan,
To lagta hai uski hasi pe mera namo-nishaan Qurbaan hai,

Iss sukun pe wo har raat Qurbaan hai.