Thursday 30 January 2014

Main Logon Se Mulaqaton K Lamhe Yaad Rakhta Hoon, Best Urdu Ghazal, Best Urdu Poetry, Urdu Image Poetry


Main Logon Se Mulaqaton K Lamhe Yaad Rakhta Hoon.
Main Batain Bhool Bhi Jaon To Lehjay Yaad Rakhta Hoon.

Sar-E-Mehfil Nigahain Mujpe Jin Logo Ki Parti Hain.
Nigahon K Hawaly Se Wo Chehry Yaad Rakhta Hon.

Zara Sa Hatt K Chalta Hoon Zamany Ki Riwayat Se.
K Jinpe Bojh Main Daloon Wo Kandhy Yaad Rakhta Hoon.

Dosti Jis Se Ki Us Say Nibhaon Ga Dil o Jaan Se.
Main apni Dosti K sab Hawaly Yaad Rakhta Hoon

Wednesday 29 January 2014

Ta che warra v ta ba khatto na pirry kawaly, Za hum shaitan om ma ba har wakht sta pikhy kawaly, Pashtu Heart Touching poetry


Ta che warra v ta ba khatto na pirry kawaly
Za hum shaitan om ma ba har wakht sta pikhy kawaly,

Che tola wraz ba sam pa lobo bandi starre sho no
Bya makhustan ke ba mo nyaa rata kesy kawaly,

Sa sadagan wo yarani mo pijandaly charta
Mung ba ela bela chendro bandi laanjy kawalay,

Yarano! za kho sa da os na shaire na kawom
Za che mashum om ma ba hagha wakht tapy kawaly,

Da patpatone yaw makham rata os hum yadige
Che darna ghaib shum ta Atal atal naary kawaly.

Us Ne Dil Ka Hal Batana Chor Diya, Hum Ne Bi Gehrai Me Jana Chor Diya, Urdu Image Poetry, Urdu Heart Touching Poetry, Best Urdu Ghazal


Us Ne Dil Ka Hal Batana Chor Diya,
Hum Ne Bi Gehrai Me Jana Chor Diya, 

Jub Usko Hi Doori Ka ehsas Nai, 
Hum Ne Bi ehsas Dilana Chor Diya, 

Mene Kaha Raste Hain Dushwar Bahut,
Us Ne Tab Se Sath Nibhana Chor Diya, 

Kuch Bi Ho Akhir To Wo Mera Hai,
Joot Se Ab Dil Ko Behlana Chor Diya, 

Jub Ye Laga K Din Se Achi Rath Sahi, 
Us Ne Mere Khwab Me Ana Chor Diya, 

Jub Ye Kaha K Karna Yad Duaon Me,
Us Ne Apna Hath Utana Chor Diya...! 

Mujhe Itnaa Pyaaar Naa Do Baba, Kal Jane Ye Mujhe Naseeb Na Ho, CUTE REQUEST OF A DAUGHTER, Urdu Poetry, Heart Touching Poetry, Urdu Image Poetry, Beti r baap ka pyar


CUTE REQUEST OF A DAUGHTER....!!

Mujhe Itnaa Pyaaar Naa Do Baba 
Kal Jane Ye Mujhe Naseeb Na Ho 

Ye Jo Maatha Chuuma Karte Ho 
Kal Iss Par Shikkan Azeeb Na Ho 

Mein Jab Bhee Roti Hoon Baba 
Tum Aansun Poncha Karte Ho 

Mujhey Itni Dooor Na Chhor Aana 
Mein Roun Or Tum Qareeb Na Ho 

Mere Naaz Uthaate Ho Baba 
Mujhe Laad Ladate Ho Baba 

Meri Chotti-2 Khwahish Parr 
Tum Jaan Lootate Ho Baba 

Kal Aisaa Naa Ho Ek Nagri Meinn 
Mein Tanha Tum Ko Yaad Karun 

Aur Ro Ro Kar Fariyaaad Karun 
Aey ALLAAH Mere Baba Saa 

Koi Pyaaar Jataane Wala Ho 
Mere Naaz Uthane Wala Ho 

Mere Baba Mujh Sey Wada Karo 
Mujhe Tum Chhupa Kar Rakhoge 

Dunya Ki Zaalim Nazron Se 
Mujhe Tum Chhupa Ker RakhoGe.... 

Descent Reply Of Father.....!! 

Jo Soch Rahi Ho Tum Beti 
Wo Sab To bs Ek Maya Hai 

Koi Baap Apni Beti Ko 
Kab Jaane Se Rok Paya Hai 

Sach Kahte Hai Duniyaan Wale 
Beti To Dhann Parayaa Hai 

Gharr Gharr Ki Yahin Kahaani Hai 
Duniyaan Ki Ye Reet Puraani Hai 

Har Baap Nibhaaata Aaya Hai 
Tere Baap Ko Bhi Nibhaani Hai

Tuesday 28 January 2014

Woh Bikk chukay thay jab khareedney ke Qabil huay Hum, Urdu Heart Touching Poetry,


Woh Bikk chukay thay jab khareedney ke Qabil huay Hum,
Zamana Guzar Gaya hamain Ameer Hotay Hotay....!!!

Monday 27 January 2014

Bhari mehfil mein tanhaai ka aalam dhoond leta hoon, Urdu Image Poetry, Urdu Best Ghazal


Bhari mehfil mein tanhaai ka aalam dhoond leta hoon 
Jahaan jaata hoon apney dil ka mosam dhoond leta hoon 

Akela khud ko jab mehsoos karta hoon kisi lamhe 
Kisi umeed ka chehra koi gham dhoond leta hoon 

Bohat hansti nazar aati hain jo aankhen sar-e-mehfil 
Main un aankhoo'n k peechhe chashm-e-pur'nam dhoond leta hoon 

Galle lag kar kisi k chaahta hoon jab kabhi rona 
Shikasta apne jesa koi hamdam dhoond leta hoon 

Calendar se nahi mashroot mere raat din 
Main jesa chaahta hoon wesa mosam dhoond leta hoon...!!

Koi Phool Dhoop Ki Pattiyon Mein Harray Ribin Se Bandha Huwa, Urdu Poetry, Urdu Image Poetry, Urdu Ghazal


Koi Phool Dhoop Ki Pattiyon Mein Harray Ribin Se Bandha Huwa
Wo Ghazal Ka Lehjaa Naya Naya Na Kaha Huwa Na Suna Huwa,

Jissay Le Gayi Hai Abhi Hawaa Wo Waraq Tha Dil Ki Kitaab Ka
Kaheen Aansoun Se Mita Huwa Kaheen Aansuwoun Se Likha Huwa, 

Kai Meel Rait Ko Kaat Kar Koi Moaj Phool Khila Gai 
Koi Pairr Piyaas Se Mar Raha Hai Naddi K Pass Khara Huwa,

Wohi Khait K Jis Pe Jagah Jagah Do Mehaktay Honton K Chaand Thay 
Kisi Bhoolay Bisray Se Taaq Par Tahey-Gard Hoga Parha Huwa,

Mujhe Haadson Ne Saja Saja K Bahut Haseen Banna Diya 
Mera Dil Bhi Jaisey Dulhan Ka Haath Ho Mehandiyon Se Racha Huwa, 

Wohi Shehar Hai, Wohi Raastay, Wohi Ghar Hai, Wohi Laan Hai
Magar Ess Dareechay Se Poochna Wo Darakht Annar ka Kiya Huwa,

Mere Saath Jugnoo Hai Humsafar Magar Is Sharar Ki Basaat Kiya 
Ye Charaagh Koi Charaagh Hai Na Jala Huwa Na Bhuja Huwa..!!

Hijaab Ko Bhi Hijaab Kar De, Naqaab Ko Bhi Naqaab Kar De, Urdu Heart Touching Poetry, Urdu Image Poetry, Ghazal


Hijaab Ko Bhi Hijaab Kar De, 
Naqaab Ko Bhi Naqaab Kar De, 

Voh Qais Ki Tarah Ulajh Kar, 
Sehra Ki Vaadiyon Main, 

Main Us Janoon Ki Talaash Main Hoon, 
Jo Chaaq Tera Naqaab Kar De, 

Ujaar De Mere Dill Ki Duniya, 
Mera Sakoon Tabaah Kar De, 

Magar Meri Qasam Hai Tujh Ko, 
Meri Taraf Ik Nigaah Kar De, 

Be Hijjabi Hai Kya Tamasha, 
Mujhi Main Rah Kar Mujhi Se Parda, 

Tabaah Karna Hai Agar Mujh Ko, 
Naqaab Utha Aur Tabaah Kar De...!!

Qadam Gin Gin ke rakhte hain kamar bal kha hi jati hai, Urdu Poetry, Urdu Ghazal, Image Urdu Poetry


Qadam Gin Gin ke rakhte hain kamar bal kha hi jati hai 
Khuda jab hussn deta hai nazakat aa hi jati hai ,

Bachna Lakh Chahon Samne Qayamat Aa hi jaati hai 
Aey Husne Bahar tere Dam se har su bahar aa hi jati hai

Hai mera haal Kuch Aisa Sheher mein In dino Aye dost 
Mere Ghar Pohuchne Se Pehle Shikayat Aa hi jati hai 

Na wo Pehli Si baaten hain Na woh Pehla Sa Aapnapun 
Suna hai hussn Ke Nikharne Pe Yeh Aadat Aa hi jati hai 

Ek Sa hai, Ghum_E_Pinha jo us Gul mein mere dil mein 
Gul Ko haste dekh Kar mere dil mein Adaavat Aa hi jaati hai 

Kai Baar Socha Kar don us zalim Ko mein ruswaa 
Is faisle Ke Beech Kambakht Sharafat Aa hi jaati hai...!

Yun Justaju-e-Yar Me Aankhon ke Bal Gaye, Hum Koo-e-yar Sa Bhi Aagay Nikal Gaye, Urdu Poetry, Urdu Ghazal, Image Urdu Poetry


Yun Justaju-e-Yar Me Aankhon ke Bal Gaye 
Hum Koo-e-yar Sa Bhi Aagay Nikal Gaye,

Waqif Thay Tre Chasham-e-Taghaful Pasand Sa 
Woh Rang Jo Bahaar K Saanchay Me Dhall Gaye, 

Ay Shamma Un Pattangon Ki Tujh Ko Kahan Khabar 
Jo Apne ishtiaq Ki Garmi Sa jal Gaye, 

Woh Bhi To Zindagi K Iraadon Me Thay Shareek 
Jo Haadsaat Tere Murawat Sa Tal Gaye, 

Jab Bhi Woh Muskura K Milay hum Sa Ay Adam 
Dono Jahaan Fart-e-Raqabat Sa Jal Gaye..!!

Saturday 25 January 2014

Rung de Gulab ba se ve, Khwand de shabab ba se ve, Sta de sro shundo makhki, Taksor inqilab ba se ve, Pashto Best Poetry


Rung de Gulab ba se ve
Khwand de shabab ba se ve

Sta de sro shundo makhki
Taksor inqilab ba se ve

Chi de zwanai ta guram
Laka spogmai ta guram

Sta de joban makhi ta
Gul khana kharab ba se ve

Chi sta khaburi aworam
Laka sandari aworam

Sta de awaz makhi ta
Tang tang de rabab ba se ve

Gham de rozgar cherta de
Be meeni kar cherta de

Da Abaseen pa makhki zor
De bal Daryab ba se ve

Sta de sro shundo makhi
Taksur inqilab ba se ve

Nan Me Da Khpalo Armanono Janaza Weste Da, Pashto Poetry


Nan Me Da Khpalo Armanono Janaza Weste Da
Da Khpal Kitaab Na Me Janana Sta Nama Weste Da.

Ma Da Farhad Da Mohabbat Qesa Jawandy Sataly
Ma Da Janan Pa Foladi Zrra Ke Wala Weste Da.

Charta Che Bali Ve Pa Shama Sri Lambe No Halta
Laka Patang Da Khpal Zarrgi Na Ma Lamba Weste Da.

Os Da Tapey Ya Da Qurban Awaz La Kami Rashi
Badbakht Pukhtuna Ta Kho Da Kali Na Hujra Weste Da.

Yao Sta Da Meene Da Gunha Na Tubagar Na Shoma
Nor Ma Da Tolo Gunahono Na Tuba Weste Da.

Da sta arman ba me pa zra laka da ghar pate she, Sta pa didan pase ba tage me nazar pate she, Pashto Poetry


Da sta arman ba me pa zra laka da ghar pate she,
Sta pa didan pase ba tage me nazar pate she,

Ka ta te lare no pa zra ke me bya pate sa de,
Laka pa kali ke che kor da cha kandar pate she,

Mehfal ba woran she che sta starge pake na venama,
Na ba khwandona da sahar aw mazegar pate she..

Ta che warra v ta ba khatto na pirry kawaly, Pashtu Poetry, Pashtu Heart Touching Poetry,


Ta che warra v ta ba khatto na pirry kawaly
Za hum shaitan om ma ba har wakht sta pikhy kawaly,

Che tola wraz ba sam pa lobo bandi starre sho no
Bya makhustan ke ba mo nyaa rata kesy kawaly,

Sa sadagan wo yarani mo pijandaly charta
Mung ba ela bela chendro bandi laanjy kawalay,

Yarano! za kho sa da os na shaire na kawom
Za che mashum om ma ba hagha wakht tapy kawaly,

Da patpatone yaw makham rata os hum yadige
Che darna ghaib shum ta Atal atal naary kawaly.

Friday 24 January 2014

Meri saans tum se juri hai kab aao ge, Labon pe jaan hai aur kitna tarpao ge, Yad Poetry, Urdu Image Poetry


Meri saans tum se juri hai kab aao ge, 

Labon pe jaan hai aur kitna tarpao ge. 

Mere bin chain nahi mile ga tumhain,
Mujhe chor kar tum bhi pachtao ge.

Jaata waqat nahi theherta kisi k liye,
Aakhir kab tak tum mujhe aazmao ge,

Do aansu do phool meri qaber per charha jaana,
Shaayad itna hi tum mere liye kar pao ge.

Hum na ho ge teri is duniya mein,
Magar umer bhar tum hamain na bhool pao ge.

Wednesday 22 January 2014

Itna dushwar nahin maut ko taley rakhna, Sad Urdu Poetry, Urdu Image Poetry, Best Urdu Poetry,


Itna dushwar nahin maut ko taley rakhna 
Sar jo kat jaye to dastar sambhaley rakhna 

Chot khana, magar is tarah ke lodhey uthey 
Zulmat gham isi tarey se ujahely rakhna 

Apne ehbaab ko seeney se lagaye phira 
Aik khanjar bhi jaib mein daley rakhna 

Meri pehchan mere peer-e-hin zakhm se hai 
Ab bhi aezaaz sahi shaal do shaley rakhna 

Dasht ehsaas ki hiddat bhi kayamat hai nadeem 
Kuch zaroori tou nahin paon mein chaley rakhna 

Tuesday 21 January 2014

Sheeshe Se Bani Ek Larki Pathar K Nagar Mein Aai, Urdu Heart Touching Poetry, Urdu Image Poetry


Sheeshe Se Bani Ek Larki Pathar K Nagar Mein Aai
Wo Dhoond Rahi Thi Moti Aur Pathar Se Takrai, 

Sheeshe Se Bani Ek Larki Pathar K Nagar Mein Aai 
Sheeshe Se Bani Ye Larki Is Bat Se Hai Anjani, 

Jab Rait Chamakti Hai To Lagti Hai Door Se Pani 
Ye Phool Hai Sab Kaghaz K Lekin Wo Samajh Na Pai, 

Sheeshe Se Bani Ek Larki Pathar K Nagar Mein Aai 
Wo Dhoond Rahi Thi Moti Aur Pathar Se Takrai,

Monday 20 January 2014

Aakhri Khat Na Parh Saka Main Bhi, Aas Kiya Deta Ro Diya Main Bhi, Judai Poetry, Sad Urdu Poetry, Urdu Image Poetry,


Aakhri Khat Na Parh Saka Main Bhi 
Aas Kiya Deta Ro Diya Main Bhi,

Sirf Sun'ney Ki Taab Thi Shayad 
Wo Bhi Khaamoshi Chup Raha Main Bhi, 

Hijar Ki Sakhat Sard Raaton Mein 
Wo Bhi Jaltaa Raha Jala Main Bhi, 

Aaj Wo AAP Par Hi Tehra Raha 
Faasley Rakh Kar Hi Mila Main Bhi, 

Orrh Li Us Ne Chehrey Par Ronaq 
Saamney Sab K Khush Raha Main Bhi, 

Ghalti Se Aankhain Do Chaar Hote Hi
Sakht Mohtat Tar Howa Main Bhi,

Wo Bhi Ulti Kitaab Parhney Laga 
Kal K Akhbaar Mein Chapaa Main Bhi, 

Gudiyaan, Gudde Ka Khel Tha Shaayad 
Mutma'ein Ho K So Gaya Main Bhi,

Umar Bhar Us Ko Ishq Ho Na Saka
Aur Ek Roz Jal Bujha Main Bhi, 

Har Taraf Laila Laila Hote Dekh Kar 
Ban Gaya Phir Be-Wafaa Main Bhi...!!

Ye Kaisa Khawab Tha Jhatka Sa Laga Dil Ko, Urdu Heart Touching Poetry, Urdu Image Poetry


Ye Kaisa Khawab Tha Jhatka Sa Laga Dil Ko
Ke Ik Shakhs Pareshaan Tha Meri Talaash Main...

Khuli Jab Aankh To Kuch Bhi Na Tha Hawa K Siwa, Sad Urdu Poetry, Urdu Image Poetry


Khuli Jab Aankh To Kuch Bhi Na Tha Hawa K Siwa 
Bachi Thi Raakh Aur Kuch Bhi Na Tha Hawa K Siwa 

Puraani Yaad K Sifhay Bikhar Rahey Thay Jahaan 
Thi Khaali Khaak Aur Kuch Bhi Na Tha Hawa K Siwa 

Qadeem Ghar Thay Wo Galiyaan Jahaan Pe Waqt Kata 
Mahiz Thi Saakh Aur Kuch Bhi Na Tha Hawa K Siwa 

Har Aik Yaad Thi Jaisey K Raqs Mein Mashghool 
Hawaa Mein Khaak Thi Aur Kuch Bhi Na Tha Hawa K Siwa 

Sajey Huwey Thay Darichoon Mein Dill-Ruba Chehray 
Khuli Thi Aankh To Kuch Bhi Na Tha Hawa K Siwa 

Ghulaam-e-Gardisheen Raah-Dariyaan Theen Sab Roshan 
Fazzaa Gham-Naak Thi Aur Kuch Bhi Na Tha Hawa K Siwa 

Shabb-e-Baraat Ka Manzar Tha Meri Aankhoon Mein 
Dhuwaan Tha Khaak Thi Kuch Bhi Na Tha Hawa K Siwa 

Hissaar-e-Zaat Se Nikla To Har Qadam Pe Wahaan 
Hawaa Hi Saath Thi Kuch Bhi Na Tha Hawa K Siwa

Saturday 18 January 2014

TanHa Samajh Raha Hai Mery Dil Ko Charagar, Duniya Basi Hai Iss Mein Kisi Ky KhayaL Ki, Urdu Poetry, Sad Urdu Poetry, Urdu Image Poetry


Tanha Samajh Raha Hai Mery Dil Ko Charagar,
Duniya Basi Hai Iss Mein Kisi Ky KhayaL Ki...

Tujhe izhar-e-Mohabbat Say Agar Nafrat Thee, Tu Nay HonTon Ko Laraznay Say To Roka Hota, Urdu Heart Touching Poetry, Best Urdu Poetry, Urdu image Poetry


Tujhe izhar-e-Mohabbat Say Agar Nafrat Thee, 
Tu Nay HonTon Ko Laraznay Say To Roka Hota 

Bay Niazi Say Magar Kaanpti Aawaz K Saath 
Tu Nay Ghabra K Mera Naam Nah Poocha Hota 

Terey Buss Main Thee Agar Mashal-e-jazbaat Ki Lau 
Terey Rukhsaar Main Gulzaar Nah BhaRka Hota 

Youn To Howin Mujh Say Buss Aa-o-Hawa Ki Batein 
Apnay tootey Huey Fiqron Ko To Parkha Hota 

Youn He Bay Wajah He Thaknay Ki Zarurat Kiya Thee 
Dam-e-Rukhsat Agar Kuch Yaad Nah Aaya Hota 

Tera Ghammaz Bana jo tera Andaz-e-jurm 
DiL Nah Sumbhla Tha To Qadmon Ko Sumbhala Hota 

Apnay badley Meri Tasveer Nazar aa jati 
Tu Nay Us Waqt Agar Ayena Dekha Hota 

Hosla Tujh Main Nah Tha Mujh Say juda Honay Ka 
Warna Kaajal Teri Aankhon Main Nah Phela Hota .

Mera to hazbe mokhalif bhi meri zaat main hai, Main aaina bhi hoon phatar bhi mere haat main hai, Urdu Poetry, Sad Urdu Poetry, Urdu Image Poetry


Mera to hazbe mokhalif bhi meri zaat main hai. 
Main aaina bhi hoon phatar bhi mere haat main hai. 

Kholli fizaon ki chadar na sar pe uorr k chal. 
Hawae sheher teri khoshon ki ghaat main hai. 

Jo dhondna hai to mehtab si nazar lao. 
Chhopa hua koi chehara saya raat main hai. 

Mera shaour_e_tajasus bhi us se haar gaya. 
Main shakh shakh pukaron wo pat pat main hai. 

Sadaye dil ki MUZZAFAR banao tasveeren. 
Sune ga kon, bohot shoor kainaat main hai.

Aashqi Mai Meer Jesay khuwab Mat Dekha karo, Sad Urdu Poetry, Urdu Image poetry


Aashqi Mai Meer Jesay khuwab Mat Dekha karo 
Bawaly Ho Jao Ge Mahtaab Mat Dekha karo, 

Jasta jasta parrh Liya karna Mazamen-e-wafa
Par kitaab-e-ishq ka Har Baab Mat Dekha karo, 

Is Tamashy Me Ulat Jati Hain Aksar kashtian
Dobny Walon ko Zer-e-Aab Mat Dekha karo,

Maekady Me kya Takaluf Maekashi Me kya Hijaab
Bazm-e-Saqi Me Adab Aadaab Mat Dekha karo, 

Mangy Tangy ki Qabaen Der Tak Rehti Nahi
Yaar Logon k Laqab Alqaab Mat Dekha karo,

Tashnagi Me Lab Bhigo Lena Bhi kafi Hai. 
Jaam Me Sehba Hai ya Zehraab Mat Dekha karo..

Na Main Darvesh-e-Ishq Na Main Waqif Chahat ky Usolon Se, Urdu Poetry, Sad Urdu Poetry, Urdu Image Poetry


Na Main Darvesh-e-Ishq Na Main Waqif Chahat ky Usolon Se.. 

Main To Gao'n Ki Galliyon Ka
Ek Awara Sa 
Larka Hon.

Naliqiue ki intha Dad : Tum paper deny q nahi gaye thay?, Student sms, Funny Sms, Funny Student Sms, Urdu Funny Sms,

Naliqiue ki intha
Dad : Tum paper deny q nahi gaye thay?
Son : Paper muskhil tha.

Dad : Jaye baghair tumhe kese pta chala?
Son : 2 din pehly paper out hogya tha..

Moujood Thi Udaasi Abhi Pichli Raat Ki, Behla Tha Dil Zara Sa K Phir Raat Hogai, Funny Sms, Funny Poetry, Papers Sms,


Moujood Thi Udaasi Abhi Pichli Raat Ki
Behla Tha Dil Zara Sa K Phir Raat Hogai,

Tashreeh 

Is Shair May
Shayar
Yeh
Batana
Chahta Hai K
Us Ko
.
.
.
Papers May
Sirf Aik Din Ka Gap Mila Hay

Friday 17 January 2014

Kabi Kabi To Ro Parhti Hain Yunhi Ankhen, Sad Urdu Poetry, Urdu Image Poetry


Kabi Kabi To Ro Parhti Hain Yunhi Ankhen, 
Udas Hone Ka Koi Sabab Nahi Hota 

Main Apne DiL Ko Ye Bat Kese Smjhaun, 
K Kisi Ko Chahne Se Koi Apna Nhi hota...

Majburi me jab koi juda hota hai, Sad Urdu Poetry, Urdu Image Poetry


Majburi me jab koi juda hota hai, 
Zaruri nahi k wo be'wafa hota hai., 

De kar wo apki aankhon me ansu, 
Akele me ap se bhi zyada rota hai...

Aye Dil Bas Kar Itna Bhi Kisi Ko Chaha Nahi Karte, Sad Urdu Poetry, Urdu Image Poetry


Aye Dil Bas Kar Itna Bhi Kisi Ko Chaha Nahi Karte
Jub Chahat Ki Qadar Na Rahe Phir Kisi Ko Socha Nahi Karte,

Gawah Hain Humare Ye Chand Sitare Sab K Sab
Hum Tere Gham Main Raat Bhar Soya Nahi Karte,

Koi Dekhe Ga To Tujhe Hi Gunhagar Thehraye Ga 
Iss Dar Se Hum Palkon Pey Ansoo Laya Nahi Karte,

Jub Kisi Ko Paaney Ki Umeed Baaqi Na Rahe
Phir Kisi Ko Youn Rab Se Bhi Maanga Nahi Karte...

Apni To Zindagi ki Ajeb kahani hai, Jis Chez ko Chaha Wo Hi Begani ha, Sad Urdu Poetry, Urdu Image poetry


Apni To Zindagi ki Ajeb kahani hai 
Jis Chez ko Chaha Wo Hi Begani ha 

Haste hain Dunia ko Hsney k Liye Wrna 
Dunia Dob Jaye In Ankhn Main Itna Pani hai.

Wednesday 15 January 2014

Jin k Dil Pe Lagti hai Wo Ankho se Nhi Rote, Jo Apno k Nhi hue Wo kisi k Nhi hote, Sad Urdu Poetry, Urdu Image oetry


Jin k Dil Pe Lagti hai Wo Ankho se Nhi Rote 
Jo Apno k Nhi hue Wo kisi k Nhi hote 

Waqt Ne Mujhe Aksar Ye Sekhaya hai 
Sapne Tot Jate hein Pr Pore Nhi hote.

Mujhe aaj bhi us k pyar ki shiddat ronay nahin dati, Sad Urdu Poetry, Urdu Image Potery


Mujhe aaj bhi us k pyar ki shiddat ronay nahin dati, 
Wo kehtia tha mar jaonga tere ansuon k girne se pehly...

Wo Apni Neendon Ki Khumari Main Mera Haal Tak Na Poch Saka,


Wo Apni Neendon Ki Khumari Main Mera Haal Tak Na Poch Saka,
Mere Aansuon ki Tip Tip ko wo Barish Samajh k so Gaya...

Muskan Banaye Rakho To Dunya Hai Sath Warna, Sad Urdu Poetry, Sad Image Poetry


Muskan Banaye Rakho To Dunya Hai Sath Warna,
Aansoun Ko To Ankhon Main Bhi Panah Nahi Milti..

Jis Din Band Karli Maine Ye Ankhain, Us Din Sab Ankhon Se Ansu Barsain Gay, Sad Urdu Poetry, Sad Image Poetry


Jis Din Band Karli Maine Ye Ankhain,
Us Din Sab Ankhon Se Ansu Barsain Gay

Jo Kehte Hain Ke Bohat Tang Karte Ho Tum,
Wohi Meri Ek Ek Shararat Ko Tarsen Gay..

Kabhi Aansoo Kabhi Khushboo Kabhi Naghma Bankar, Urdu Poetry, Urdu Heart Touching Poetry, Romantic Poetry, Romantic Urdu Poetry,Urdu Ghazals, Love Shayari, Sad Urdu Poetry,



Kabhi Aansoo Kabhi Khushboo Kabhi Naghma Bankar

Hum Say Her shaam Mili Hai Tera Chehra Bankar

Chand Nikla Hai Teri Aankh K Ansoo Ki Tarah
Phool Mehkay Hain Teri Zulf Ka Saya Bankar

Meri Jaagi Huyi Raaton Ko Usi Ki Hai Talash
So Raha Hai Meri Ankhon Main Jo Sapna Bankar

Dil Kay Kaghaz Par Utarta Hai Jo Sheron Ki Tarah
Meray Hontoon Pay Machalta Hai Jo Naghma Bankar

Raat Bhi aaye To Bujhti Nahin Chehray Ki Chamak
Rouh Main Phail Gaya Hai Woh Ujala Bankar

Mera Kya Haal Hai Yeh Aakay Kabhi dekh To Lay
Jee Raha Hoon Tera Bhoola Hua Vada Bankar

Dhoup Main Kho Gaya Woh Haath Chhura Kar
Ghar Say Jo Saath Chala Tha Mera Saya Bankar

Tuesday 14 January 2014

Labon ko laakh tabassum sey baaz rakh lakin, Urdu Heart Touching Poetry, Image Poetry


Labon ko laakh tabassum sey baaz rakh lakin
Teri tou ankhain bohat muskaranay wali hain.

Uljha Rahi Hai Mujh Ko Yehi Kash Makash Musalsal, Urdu Heart Touching Poetry, Image Poetry


Uljha Rahi Hai Mujh Ko Yehi Kash Makash Musalsal..
Wo Aa Basa Hai Mujh Mei Ya Mai Us'Mei Kho Gaya Hoon..!!

Khamoshi b suna deti hai Haal Dil ka, Urdu Heart Touching Poetry, Image Poetry


Khamoshi b suna deti hai Haal Dil ka..!!
Honto se na sahi, Aankhon se kuch kaha ker.

Shidat-E-Ghum Ko Tabassum Main Chupanay Walo, Urdu Heart Touching Poetry, Image Poetry


Shidat-E-Ghum Ko Tabassum Main Chupanay Walo
DiL Ka Har Zakham Nighaon Say Ayyaan Hota Hai..

Ye soch lia hai k ab Us ko awaaz nahin deni, Urdu Heart Touching Poetry, Image Poetry


Ye soch lia hai k ab Us ko awaaz nahin deni,
Ab k main bhi dekhon Wo mera talbgaar hay kitna!! 

Kisi ki aas ban kar phir usey tanha nahi karna, Urdu Heart Touching Poetry, Image Poetry


Kisi ki aas ban kar phir usey tanha nahi karna,
Bhalay kuch bi pare karna magar aisa nahi karna..

Monday 13 January 2014

Ankhon Se Meri Isliye Lali Nahi Jati, Yadon Se Koi Raat Jo Khali Nahi Jati, Urdu Heart Touching Poetry, Romantic Poetry, Romantic Urdu Poetry,


Ankhon Se Meri Isliye Lali Nahi Jati
Yadon Se Koi Raat Jo Khali Nahi Jati,

Tu Mangay To Ye Jan Bhi Hans Kar Tujhe Donga
Teri To Koi Baat Bhi Taali Nahi Jati,

Hamrah Tere Phool Jo Khilati Thi Dil Main
AB Shaam Wohi Dard Se Khali Nahi Jati,

Hai Koi Jo Aa Kar Ye Tere Dard Sanbhale
Mujhse To Ye Jageer Sanbhali Nahi Jati,

Main Jan Se Jaonga Tabhi Baat Banegi
Tum Se To Koi Raah Nikali Nahi Jati..

Zindagi ki rahon men ham ne sham kardi, Dil ki her gali tere naam kardi, Sad Urdu Poetry, bewafa poetry, Urdu Image Poetry


Zindagi ki rahon men ham ne sham kardi, 
Dil ki her gali tere naam kardi. 

Itna b na socha kesay ktay gi zindagi, 
Bas bina sochay her sans tere naam kardi..

Sham K Surmai Andheron Mai, Youn Teri Yad Sath Chalti Hai, Sad Urdu Poetry, bewafa poetry, Urdu Image Poetry


Sham K Surmai Andheron Mai, 
Youn Teri Yad Sath Chalti Hai, 

Jese Parbat K Sabz Perron Per, 
Barf K Baad Dhoop Parti Hai, 

Jese Sehra Ki Rait Urr Urr Kar, 
Ajnabi Ka Tawaf Karti Hai, 

Aah Bharta Hon Ashk Peeta Hoon, 
Roz Marta Hoon Phir B Jeeta Hoon, 

Kitni Masoom Aarzuon Ko Kis Tarah Log Torr Jatey Hain, 
Jese Dam Torrty Musafir Ko, 

Qafly Waly Chor Jate Hain, 
Sham K Surmai Andheron Mai, 

Youn Teri Yaad Sath Chalti Hai..!!

Ajeeb C Lagti Hai Shaam Kabi Kabi, Zindagi Lagti Hai Be-Jaan Kabi Kabi, Sad Urdu Poetry, bewafa poetry, Urdu Image Poetry



Ajeeb C Lagti Hai Shaam Kabi Kabi 
Zindagi Lagti Hai Be-Jaan Kabi Kabi 

Samajh Aaye Kabi To Hamen Bhi Btana 
Q Krti Hen Teri Yaden Pareshan Kabi Kabi.

Yunhi Besabab Na Phera Karo Koi Sham Ghar Bhi Ruka Karo, Sad Urdu Poetry, bewafa poetry, Urdu Image Poetry


Yunhi Besabab Na Phera Karo Koi Sham Ghar Bhi Ruka Karo
Wo Ghazal Ki Sachi Kitaab Hai Usay Chupke Chupke Parha Karo

Koi Hath Bhi Na Milayega Jo Gale Milogay Tapak Se
Ye Naye Mizaaj Ka Sheher Hai Zara Faisle Se Mila Karo

Abhi Raah Mai Kayi Morr Hain Koi AYega Koi Jayega
Tumhe Jis Kisi Ne Bhula Diya Usay Bholne Ki Dua Karo

Mujhe Ishtehaar Si Lagti Hain Ye Muhabbaton Ki Kahaniyan
Jo Kaha Nahi Wo Suna Karo Jo Suna Nahi WO Kaha Karo

Kabhi Husn-e-Parda Nasheen Bhi Ho Zara Ashiqana Libas Mai
Jo Ban Sawar Ke Kabhi Chalo Mere Sath Tum Bhi Chala Karo

Nahi Be Hijaab WO Chand Sa Ke Nazar Ka Koi Asar Na Ho
Usay Itni Garmi Shok Se Bari Dair Tak Nahi Takka Karo.

Yeh dil Udaas Hy Bohat Koi Pegham Hi Likh Do, Tum Apna Naam Na Likho Gumnam Hi Likh Do, Sad Urdu Poetry, bewafa poetry, Urdu Image Poetry


Yeh dil Udaas Hy Bohat 
Koi Peghaam Hi Likh Do, 
Tum Apna Naam Na Likho 
Gumnam Hi Likh Do,! 

Meri Qismat Mein Gham_E_Tanhai Hai Mgr,! 
Tamaam Umar Na Likho 
Ek Shaam Hi Likh Do,! 

Yeh Janta Hoon K Umar Bhar Tanha Mujh Ko Rehna Hai,! 
Pal do Pal 
Ghari do Ghari 
Mera Naam Hi Likh Do,! 

Chalo Hum Maan Letey Hain 
Keh Saza K Mustahiq Thehrey,! 
Koi Inaam Na likho 
Koi Ilzaam Hi Likh Do...

Agar mai hadh se guzar jaon to mujhe maaf kar dena, Urdu Heart Touching Poetry, Romantic Poetry, Romantic Urdu Poetry,


Agar mai hadh se guzar jaon to mujhe maaf kar dena,
Tere dil mai utar jaon to mujhe maaf kardena,

Yunhi guse mai aa kar daant dena to meri aadat hai,
Agar mai aisa kar jaon to mujhe maaf kardena,

Raste mai tujhe dekh kar teri deed ki khatir,
Pal bhar jo theher jaon to mujhe maaf kardena,

Apne jazbaat se likhi hui ye shokh tehreer,
Tere naam kar jaon to mujhe maaf kardena,

Teri pal bhar ki judai mujhe jeene nahi deti,
Tere bin jo mai mar jaon to mujhe maaf kardena...

Hoon To Khafa Us Se,Par Janay Phir Bhi Kyun, Urdu Heart Touching Poetry, Romantic Poetry, Romantic Urdu Poetry,


Hoon To Khafa Us Se,Par Janay Phir Bhi Kyun
Na Chaah Kar Bhi Us Ko Chahna Acha Lagta Hai

Haqeeqat Se Hoon Door, Ye Mujh Ko Hai Pata
Par Jaan K Anjaan Rehna Acha Lagta Hai

Qaayel Nahi Mein Ronay Ka Phir Bhi Kabhi Kabhi
Tanhai Mei Kuch Dair Rona Acha Lagta Hai

Tu MERA Tha,
Tu MERA Hai,

Tu MERA Rahay Ga
Kuch Pal Is Khwab Mei Khona Acha Lagta Hai