Monday, 20 January 2014

Aakhri Khat Na Parh Saka Main Bhi, Aas Kiya Deta Ro Diya Main Bhi, Judai Poetry, Sad Urdu Poetry, Urdu Image Poetry,


Aakhri Khat Na Parh Saka Main Bhi 
Aas Kiya Deta Ro Diya Main Bhi,

Sirf Sun'ney Ki Taab Thi Shayad 
Wo Bhi Khaamoshi Chup Raha Main Bhi, 

Hijar Ki Sakhat Sard Raaton Mein 
Wo Bhi Jaltaa Raha Jala Main Bhi, 

Aaj Wo AAP Par Hi Tehra Raha 
Faasley Rakh Kar Hi Mila Main Bhi, 

Orrh Li Us Ne Chehrey Par Ronaq 
Saamney Sab K Khush Raha Main Bhi, 

Ghalti Se Aankhain Do Chaar Hote Hi
Sakht Mohtat Tar Howa Main Bhi,

Wo Bhi Ulti Kitaab Parhney Laga 
Kal K Akhbaar Mein Chapaa Main Bhi, 

Gudiyaan, Gudde Ka Khel Tha Shaayad 
Mutma'ein Ho K So Gaya Main Bhi,

Umar Bhar Us Ko Ishq Ho Na Saka
Aur Ek Roz Jal Bujha Main Bhi, 

Har Taraf Laila Laila Hote Dekh Kar 
Ban Gaya Phir Be-Wafaa Main Bhi...!!

No comments: