Tuesday 26 November 2019

Khushaal benazeer hoon Maa ki dua se aaj Mai pyaar ka safeer hoon Maa ki dua se aaj by Ehtesaab Khan Aamir from USA,


Khushaal benazeer hoon Maa ki dua se aaj
Mai pyaar ka safeer hoon Maa ki dua se aaj


Khuda say daikh kitna dar raha hoon main tijori aur jaib dono bhar raha hoon mai



* خدا سے دیکھو کتنا ڈر رہا ھوں میں

تجوری جیب دونوں بھر رہا ھوں میں*

Khuda say daikh kitna dar raha hoon main

tijori aur jaib dono bhar raha hoon mai


Padosi bhookha hai, teesra din hai aaj
aur chothi baar umrah kar raha hoon main


Namazai hoon mai punjgana
magar jhooti tijarat kar raha hoon mai

Khuda se daikh kitna dar raha hoon main...!

Masjid sang-e-mar mar ki bna kr
Padosi ko magar tang kar raha hoon mai

Werasat behen ki chupke se kha kar
maafi ki tawaqo kar raha hoon mai

Jo ho shadi to soodi qarze lekar
namood-o-numaish kar raha hoon mai

Khuda se daikh kitna dar raha hoon main...!

Nabi ki zindagi ko tark kar ke
Nabi se ishq ka dam bhar raha hoon mai

Ye chahta hoon keh kaafir ho Musalmaan
Magr islam se khud dar raha hoon mai

Mujhe ALLAH se hai umeed-e-rehmat
Magr din raat chori kar raha hoon mai

Khuda se daikh kitna dar raha hoon main...!

Friday 22 November 2019

Jinke khuloos mai to milawat nahi hoti Karne mai pyar unse Thakawat nhi hoti By Aamir Khan, best heart touching poetry, best urdu poetry, urdu ghazal


Jinke khuloos mai to    milawat nahi hoti
Karne mai pyar unse    Thakawat nhi hoti

Ujri hoi hasti ko bana deti hai aurat Dukh zindagi mai phir bhi magar paati hai aurat By Aamir Khan, best ghazal, urdu best poetry, heart touching poetry


Ujri hoi hasti ko bana deti hai aurat
Dukh zindagi mai phir bhi magar paati hai aurat



Dil ko nafrat ka jahan zeher pilaya jai, Kese ulfat ka waha phool khelaya jai, usko ehsas-e-wafa kese dilaya jai by ehtesaab khan Amir, best urdu poetry, best ghazal, urdu heart touching poetry


دل کو نفرت کا جہاں زہر پلایا جاۓ
کیسے الفت کا وہاں پھول کِھلایا جاۓ
Dil ko nafrat ka jahan zeher pilaya jai
Kese ulfat ka waha phool khelaya jai

میری ہر ایک وفا جس کو نظر آۓ جفا
اُسکو احساسِ وفا کیسے دلایا جاۓ
Meri har aik wafa jisko nazar ai jafa
usko ehsas-e-wafa kese dilaya jai

دل کے قرطاس پہ اُسکے میں اُبھرتا ہی نہیں
جس کو محبوب میرے دل کا بتایا جاۓ
Dil ki qirtaas pe uske mai ubharta he nahi
Jisko mehboob mere dil ka bataya jai

اِک انا ہے جو صحن ایک نہیں ہے اپنا
ایسی دیواروں کو کس طرح گرایا جاۓ
ek ana hai jo sehen aik nahi hai apna
Aisee deewaron ko kis tarah giraya jai

وقت کی گرد نے ذہنوں س مٹاۓ ہیں نقوش
کس پہ الزام بُھلانے کا لگایا جاۓ
Waqt ki gird ne zehnon se metai hain naqoosh
Kis pe elzam bhulane ka lagaya jai

رات ہے کرب ہے احساس ہے تنہائی ہے
ایسی وحشت میں کہاں خود کو سلایا جاۓ
Raat hai karb hai ehsaas hai tanhai hai
aisi wehshat mai kahan khud ko silaya jai

بے سکوں  ذات کو میں لے کے سکوں پاؤں کہاں
جاکے پردیس میں کیا خود کو بسایا جاۓ
Be sakon zaat ko main le kay sakoon paon kahan
Jaa ke perdaise mai kya khud ko basaya jai

اپنے اغراض سے جب سب کو غرض ہو عامر
کیسے رشتوں کے تقدس کو نبھایا جاۓ
Apne aghraaz se jab sab ko gharz ho Aamir
Kese rishton ke taqaduss ko nibhaya jai

شاعر
احتساب خان عامر

Tuesday 19 November 2019

Mai zinda Qom ke khasta zibon haalon se darta hoon, Tabahi per khari murda nai naslon se darta hoon, Heart Touching Poetry by Aamir Khan, best urdu poetry, Aj ke dor ki akaasi,


میں زندہ قوم کے خستہ زبوں حالوں سے ڈرتا ہوں
تباہی پر کھڑی مُردہ نئی نسلوں سے ڈرتا ہوں
نہیں جب فوقیت کوئی کسی گورے کو کالے پر
میں رنگ و نسل کے اُٹھتے ہوۓ فتنوں سے ڈرتا ہوں
نا جانے کون سچا کون جھوٹا کون کافر ہے
مذہب میں نِت نئے بنتے ہوۓ فرقوں سے ڈرتا ہوں
جو حق کے نام پہ تفریق کی ترغیب دیتے ہیں
میں ایسے واعِظوں کے پُرشرّر واعَظوں سے ڈرتا ہوں
بہت بزدل بنا ڈالا ہمیں رسموں رواجوں نے
میں سنّت سے بھری پُرنور سب قدروں سے ڈرتا ہوں
جہاں انسانیت کی خدمتیں بھی اِک تجارت ہوں
فلاح کے نام پہ ایسے غلط دھندوں سے ڈرتا ہوں
امیرِ کارواں بن کے سفینہ جو ڈبو جائیں
شعوروفہم سے عاری میں اُن میروں سے ڈرتا ہوں

لکھوں اب اور کیا عامر خرد سے پاک لوگوں پر
صحیح ہوں یا غلط اپنی اِنہی سوچوں سے ڈرتا ہوں

شاعر
احتساب خان عامر
امریکہ

Mai zinda Qom ke khasta zibon haalon se darta hoon
Tabahi per khari murda nai naslon se darta hoon

Nahi jab foqiat koi kisi goray ko kaalay par
Mai rang-o-nasal ke uthte hoe fitnon se darta hoon

Naa jane kon sacha kon jhoota kon kaafir hai
mazhab mai nit nai bante hoe firqon se darta hoon

Jo Haq ke naam pe tafreeq ki targheeb dete hain
Mai aise waaezon ke pur tasharrar waaezon se darta hoon

Bohat buzdil bana dala hame rasmon riwajon ne
Mai sunnat se bhari purnoor sab Qudraton se darta hoon

Jaha insaaniyat ki khidmaten bhi ek tijarat hon
Falah ke naamon pe aise ghalat dhandon se darta hoon

Ameer-e-Karwaan ban ke safeena jo dibon jaain
Shaoor-o-fehem se Aari mai un Ameeron se darta hoon

Likhon ab or kya Aamir khard se pak logon par
Sahi hoon ya Ghalat apni inhee sochon se darta hoon

                                                         By Ehtisaab Aamir Khan From USA

Nahi Darta mai kaanton se magar phoolon se darta hoon Rukh-e-Gul par chamkte shabnami fitnon se darta hoon, by Aamir Khan from America, Aamir Khan best poetry, Urdu best ghazal, Heart Touching Poetry,


نہیں ڈرتا میں کانٹوں سے مگر پھولوں سے ڈرتا ہوں
رُخِ گل پر چمکتے شبنمی فتنوں سے ڈرتا ہوں
مجھے دشمن وہ پیارا ہے جو کھل کے سامنے آۓ
دلوں میں فرق جو ڈالیں میں اُن سجنوں سے ڈرتا ہوں
انا کا میں نہیں قائل محبت ہے مجھے سب سے
جو دل میں بغض رکھتے ہوں میں اُن اپنوں سے ڈرتا ہوں
خلوصِ دل سے ملتا ہوں میں سب کے کام آتا ہوں
مگر جو کینہ رکھتے ہوں میں اُن لوگوں سے ڈرتا ہوں
میں بندہ ہوں خُدا کا اور خُدا کا خوف ہے مجھکو
جو ڈرتے ہی نہیں رب سے میں اُن بندوں سے ڈرتا ہوں
وفا کی جو سند لے کر جفا کے راستوں پر ہیں
میں ایسے ہمسفر کی دو رُخی  باتوں سے ڈرتا ہوں
میں سچ کے میکدۓ کا داعمی تنہا شرابی ہوں
میں کڑوے گھونٹ پیتا ہوں مگر جھوٹوں سے ڈرتا ہوں
مجھے تو نیند بھی اچھی نہیں لگتی حقیقت میں
دکھائیں خواب جو جھوٹے میں اُن نیندوں سے ڈرتا ہوں

میں طاقتور تو ہوں لیکن بہت ڈرپوک ہوں عامر
کسی کو دکھ ملیں مجھ سے میں اُن لمحوں سے ڈرتا ہوں

شاعر
احتساب خان عامر
امریکہ

Nahi Darta mai kaanton se magar phoolon se darta hoon
Rukh-e-Gul par chamkte shabnami fitnon se darta hoon

Mujhe dushman wo pyara hai jo khul kar samnay aai
Dilon mai farq jo daley mai un sajnon se darta hoon

Anaa ka mai nahi qail mohabbat hai mujhe sabse
Jo dil mai bughaz rakhte hon main un apno se darta hoon

Khaloos-e-Dil se milta hoon mai sab ke kaam ata hoon
Magar jo keena rakhte hon mai un logon se darta hoon

Mai banda hoon Khuda ka or Khuda ka khof hai mujh ko
Jo darte he nahi Rab se mai un bandon se darta hoon

Wafa ki jo sanad le kar Jafa ke raaston par hain
Mai aise hamsafar ki do rukhi baaton se darta hoon

Mai sach ke Maekade ka daimee tanha sharabi hoon
Mai karrway ghoont peeta hoon magar jhooton se darta hoon

Mujhe to neend bhi achi nahi lagti haqeeqat mai
Dikhaain khwaab jo jhoote, mai un neendon se darta hoon

Mai taqatwar to hoon lekin bohat darpok hoon Aamir
Kisi ko Dukh milen Mujhse, Mai un Lamhon se darta hoon

                                                    By Ehtisaab Khan Aamir
                                                                  A Great Poet from America

Monday 4 November 2019

suna hai log use aankh bhar ke dekhte hain so uske shahr men kuch din Thahar ke dekhte hain, best urdu ghazal by faraz


suna hai log use aankh bhar ke dekhte hain
so uske shahr men kuch din Thahar ke dekhte hain
suna hai rabt hai us ko ḳharab-hāloñ se
so apne aap ko barbād kar ke dekhte hain 


suna hai dard ki gahak hai chashm-e-naz us ki 
so ham bhi us ki gali se guzar ke dekhte haiñ 
suna hai us ko bhī hai sher o sha.iri se shaġhaf 
so ham bhī mo.ajize apne hunar ke dekhte haiñ 

suna hai bole to baton se phuul jhaḌte haiñ 
ye baat hai to chalo baat kar ke dekhte haiñ 
suna hai raat use chāñd takta rahtā hai 
sitāre bām-e-falak se utar ke dekhte haiñ 

suna hai din ko use titliyan satatī hain 
suna hai raat ko jugnu Thahar ke dekhte hain 
suna hai hashr hain us kī ġhazal sī ankhen 
suna hai us ko hiran dasht bhar ke dekhte hain 

suna hai raat se baḌh kar hain kakuleñ us ki 
suna hai shaam ko saa.e guzar ke dekhte hain 
suna hai us kī siyah-chashmagī qayāmat hai 
so us ko surma-farosh aah bhar ke dekhte hain 

suna hai us ke labon se gulab jalte hain 
so ham bahār pe ilzam dhar ke dekhte hain 
suna hai aa.ina timsal hai jabīñ us ki 
jo saada dil haiñ use ban-sañvar ke dekhte hain 

suna hai jab se hamā.il haiñ us ki gardan men 
mizaj aur hī laal o guhar ke dekhte hain 
suna hai chashm-e-tasavvur se dasht-e-imkāñ men 
palañg zaviye us ki kamar ke dekhte hain 

suna hai us ke badan kī tarāsh aisi hai 
ki phuul apni qaba.eñ katar ke dekhte hain 
vo sarv-qad hai magar be-gul-e-murad nahīn 
ki us shajar pe shagūfe samar ke dekhte hain 

bas ik nigah se luTta hai qafila dil ka 
so rah-ravan-e-tamanna bhī Dar ke dekhte hain 
suna hai us ke shabistan se muttasil hai bahisht 
makiñ udhar ke bhī jalve idhar ke dekhte hain 

ruke to gardishen us ka tavaf karti hain 
chale to us ko zamane Thahar ke dekhte hain 
kise nasib ki be-pairahan use dekhe 
kabhi kabhi dar o dīvar ghar ke dekhte hain 

kahaniyan he sahi sab mubalġhe he sahi 
agar vo khwab hai tabir kar ke dekhte hain 
ab us ke shahr men Thahren ki kuch kar jaa.en 
'faraz' aao sitare safar ke dekhte hain