Sunday 27 July 2014

Jab Rim Jhim Rim jhim Barish Se Har Simt Nami Chha Jati He, Or Sabza Sabza Kaliyon Pe Moti Se Girati Jati he, Urdu barish poetry, yad poetry, urdu best poetry


Jab Rim Jhim Rim jhim Barish Se Har Simt Nami Chha Jati He,
Or Sabza Sabza Kaliyon Pe Moti Se Girati Jati he,


Phir Barkha Rut Ka Awara Jab Abra Ka Tokra Gata He, 
Tub Ek Shakhs Mujhe Buhat Yaad Aata He...

Wednesday 16 July 2014

Uska chehra bhi sunata hai kahani uski, Chahti hon keh sunon usse zubani uski, Urdu best ghazal


Uska chehra bhi sunata hai kahani uski

Chahti hon keh sunon usse zubani uski

اس کا چہرہ بھی سُناتا ہے کہانی اُس کی 
چاہتی ہوں کہ سنو اُس سے زبانی اُس کی 

Woh sitamgar to ab usse shikayat kya hai
or sitam karna bhi hai adat porani uski
وہ ستمگر ہے تو اب اس سے شکایت کیا ہے
اور ستم کرنا بھی ہے عادت پرانی اُس کی 


Baish Qeemat hain ye ansu meri palkon par

chand aansu hain mere pas nishani uski
بیش قیمت ہیں یہ آنسو میری پلکوں پر 
چند آنسو ہیں میرے پاس نشانی اس کی 


اُس جفاکار کو نہیں معلام وہ کیا ہے 

بے مروت کو ہے تصویر دکھانی اُس کی 


ایک وہ ہے نظر انداز کرے ہے مجھ کو

ایک میں ہوں دل و جان سے دیوانی اس کی


تم کو الفت ہے قمر تو اُس سے کہہ دینا

سامنے سب کے سنا دینا کہانی اُس کی 

Tuesday 15 July 2014

Mohabbat ab tejarat ban gai hai Tejarat ab mohabbat ban gai hai, Urdu Image Poetry, Bewafa poetry, Urdu heart touching Poetry


Mohabbat ab tejarat ban gai hai
Tejarat ab mohabbat ban gai hai


kisi se khelna phir chhor dena
Khilono ki terha dil tor dena

Haseeno ki yeh adat ban gai hai
Kabi tha naam iska bewafai

Magar aaj kal be-hayai
Sharifon ki yeh sharafat ban gai hai

kisi mander ki morat thi kabi yeh
Bohet he khobsoret thi kabhi yeh

Magar..
Ab kya is ki soret ban gai hai

Mohabbat ab tejarat ban gai hai
Tejarat ab muhabat ban gai hai

Sunday 13 July 2014

Aaj phir tumpe pyar aaya hai Aaj phir tumpe pyar aaya hai, Urdu Best Image Poetry, song lyrics


Aaj phir tumpe pyar aaya hai
Aaj phir tumpe pyar aaya hai

Behad aur beshumar aaya hai 

Toote toh toote teri baahon mein aise
Jaise shaakhon se patte be-haya
Bikhre tujhi se aur simte tujhi mein
Tu hi mera sab le gaya
Na fiqar, na sharam, na lihaaj, ek baar aaya

Phir zarre zarre mein deedar aaya hai
Phir zarre zarre mein deedar aaya

Saturday 12 July 2014

Jisye ehsaas kehte hain wohi to piyar hota hai, Tumhara dil jo dukhta hai Humain bhi dard hota hai, Urdu Romantic Poetry, Urdu Image Poetry


Jisye ehsaas kehte hain wohi to piyar hota hai.

Tumhara dil jo dukhta hai Humain bhi dard hota hai,


Tumhe milti hain jab khushiyan,
Humare lab bhi hanste hain,
Tumhe darpaish ho koi masla,
Dua ko hath uthte hain,
KHUDA ko yaad karte hain,
Yahi faryad karte hain,
Tumhe abad rakhe wo,
Hamesha shad rakhe wo,
 
K tumko zindagi dae wo
K har khushi dae wo,
Issye ehsaAs khete hain
yahi to piyar hota hai...

Thursday 10 July 2014

Palat kr aankh numm krna mujy hargiz nahi aata, ga'ay lamhon ka gham krna mujhy hargiz nahi aata, Urdu Heart Touching Poetry, Urdu best image poetry


Palat kr aankh numm krna mujy hargiz nahi aata,
ga'ay lamhon ka gham krna mujhy hargiz nahi aata,


mohabbat ho to be-hadd ho,jo nafrat ho to bay payan,
koi bhi kam km krna mujhy hargiz nahi aata

Monday 7 July 2014

JamaaL-E-Yaar ko Dekhoon, KamaaL-E-Yaar say Pehley, Urdu Heart Touching Poetry, Urdu best image poetry


JamaaL-E-Yaar ko Dekhoon,
KamaaL-E-Yaar say Pehley,


Main Khushbu ki Tarah Mehkoon,
KhayaL-E-Yaar say Pehley,

Karishmay Husan ke Sooraj,
Sitary PhooL Zahir Hain,

Magar Main Kis Taraf Dekhoon?
MisaaL-E-Yaar say Pehley,

Duaon me Meri Youn to Bahot Taseer hai,
Lekin!

Main " KHUDA " say Aur Kiya Mangoon?
SawaaL-E-Yaar say Pehley,

Hai Aadat Door Rehnay ki,
Aagar Woh Samnay aaye,

Main Sham-E-Zindagi Chahoon,
VisaaL-E-Yaar say Pehely..

Teray honton se jab ada hua main, kia kahun sirkhushi se kia hua main, Urdu Romantic Poetry


Teray honton se jab ada hua main,
kia kahun sirkhushi se kia hua main,


chal rahi thi to sab musafir thy,
nao dubi to nakhuda hua main,

janay kis des ja nikalta hun,
tery bary main sochta hua main,

jitna chahay guraiz kar mujh se,
tery mathy pe likha hua hun main,

kharch kar ya mujhy bacha k rakh,
ja tujhy kah dia tera hua main

Khilta Hua Gulaab Hon Main Khaar To Nahin, Zulfon Mein Piyar Se Wo Sajaya Kare Mujhe, Two Lines Urdu Poetry, SMS Poetry,


Khilta Hua Gulaab Hon Main Khaar To Nahin
Zulfon Mein Piyar Se Wo Sajaya Kare Mujhe.

Saturday 5 July 2014

Socha Nahi Acha Bura Dekha Suna Kuch Bhi Nahi, Manga Khuda Se Rat Din Tere Siwa, Kuch Bhi Nahi, Urdu Best Image Poetry, Urdu ghazal


Socha Nahi Acha Bura Dekha Suna Kuch Bhi Nahi,
Manga Khuda Se Rat Din Tere Siwa, Kuch Bhi Nahi,


Dekha Tujhe Socha Tujhe,
Chaha Tujhe Pooja Tujhe,

Meri Khata Meri Wafa,
Teri Khata Kuch Bhi Nahi,

Jis Par Humari Aankh Ne,
Moti Bichaye Rat Bhar,

Bheja Wohi Kaghaz Tujhe,
Hum Ne Likha Kuch Bhi Nahi,

Ek Sham Ki Dehleez Par,
Baithe Rahe Wo Deir Tak,

Aankhon Se Ki Batein Bahut,
Hum Ne Kaha Kuch Bhi Nahi...

Friday 4 July 2014

Teri Galiyon Me Aane Jane Se, Dushmani Ho Gai Zamane Se, Urdu Image Poetry


Teri Galiyon Me Aane Jane Se.
Dushmani Ho Gai Zamane Se.


Shoq-E-Deedar De Raha Hai Sada.
Milne Aa Ja Kisi Bahane Se.

Phail Jata Hai Khushboun Ki Tarah.
Ishq Chupta Nahin Chupane Se.

Apni Deewangi Us Ka Ghuroor.
Kya Mila Mujh Ko Dil Lagane se.

Teri Zulfoon Ka Phool Ban Jaon.
Main Khiloon Tere Muskurane Se.