Tuesday 14 May 2019

Koi Sahara na mila, Unke jesa to koi hm ko dobara na mila, Hum bhanwar mai he rahe hum ko kinara na mila


Koi Sahara na mila


Unke jesa to koi hm ko dobara na mila
Hum bhanwar mai he rahe hum ko kinara na mila

Darr gai jab bhi wehshat.e.halaat se hum
manana chaha tha magr koi sahara na mila

Chandni raat mai taron ke aasmaan pe hame
Unki ankhon ki tarah koi sitara na mila'

Raat bhar kyu unki hansi unki haya yaad aai
Jin ki banhon mai zaid ko sahara na mila