Friday 20 January 2023

Dard kay maron pe hansta hai zamana be'khabar, Zakham-e-hasti ki kasak se hai nishana be'khabar, Best Urdu Ghazal, Sad Urdu Ghazal, Heart Touching Poetry

 


Dard kay maron pe hansta hai zamana be'khabar 
Zakham-e-hasti ki kasak se hai nishana be'khabar 


Nikhaton kay saye main tootay paray hain chand phool 

Bijliyon ki yo'rashon se Aashiyana be'khabar 


Husan-e-barham ko nahin haal-e-parishaan se gharz 

Saaz-e-dil ki dharkano se zamana be'khabar 


Hum qaraar-e-dil nahin hain , hum nahin aankhon ka noor 

Hum sa awara kiyon hota hai , thikana be'khabar 


Dono aalam wusat-e-aagosh ki tafseer hain 

Dekhnay main hai nigah-e-mehar'mana be'khabar 


Aap apnay fun se na'waqif hai Saghar ki nazar 

Lal-o-gohar ki ziaon se khazana be'khabar