Sunday 23 December 2018

Raston ki marzi hai.. Be-zameen logon ko.. Be-qarar ankhon ko, Bad-naseeb qadmon ko, Jis taraf bhi le jayen, Raaston ki marzi hai..


Raston ki marzi hai..
Be-zameen logon ko..
Be-qarar ankhon ko..


Bad-naseeb qadmon ko......
Jis taraf bhi le jayen..
Raaston ki marzi hai..

Be-nishaan jazeron pe..
Badgumaan shehron main..
Be-zuban musafir ko..
Jis taraf bhi bhatka den..
Raaston ki marzi hai..

Ajnabi koi la kr..
Hamsafar bana dalain..
Sath chalnay walon ki..
Raakh bhi ura dalain..
Ya musaaftain sari..
Raakh main mila dalain...
Raaston ki marzi hai…!!!!

Tuesday 18 December 2018

#Meri yaad aye gi tumhain jab door chali jaongi #Door itna keh kabhi laout kay naa aaongi


Meri yaad aye gi tumhain jab door chali jaongi
Door itna keh kabhi laout kay naa aaongi


Ab tak shayed tumhary dil mein rehti thi
Phir tumhari yaad mein bass jaongi
Yaad ayain  gi meri batein or mulaqatein
Magr tab kabhi main tumse mil nahi paongi

Tarpo ge mere baray mein tum soch ker
Mager tab main nazar nahi aaongi
Tumhein jaan se ziyada chahti hon
Mager shayed ye sabit na ker paongi

Mere pyaar ko sahara dena tab
Jab akhri dam per tumhein bulaongi
Meri yaad aye jo raat ko, bahir aa kay dekhna
Main chamakta hua taara bann jaongi

Bohat door jaa chuki houngi tumse
Par dil ko main yahin chorr jaongi
Aansu mat bahana mujhe yaad ker kay
Warna soch lena….main naraz ho jaongi

#Suno!#Aysa nahi kerte, #Keh jis dil mein bhi rehty ho, Ossey tora nahi kerte


Suno!


Aysa nahi kerte
Keh jis dil mein bhi rehty ho
Ossey tora nahi kerte

Suno!


Aysa nahi kerte
Bin jis ke na jee payain
Ossey chora nahi kerte

Suno!


Kuch dair rukk jao
Koi tadbeer ker lain ge
Jo saare khuwaab dekhain hain
Onhain tabeer ker lain ge

Suno!


Bina tere yeh jeevan hum
Kaho kaise bitayain ge
Qasam se toot jayain ge

Suno!


Jab yaad aao ge
Bohat khud ko rulayain ge
Tumhain kaise bhulayain ge

Suno!


Jab dard ho ga tou
Tarap kar marr he jayain ge
Tumhain na bhool payain ge

Monday 3 December 2018

Teri justaju ke hisaar se, Tere khawab, tere khayaal se, mai wo shakhs hon jo khara raha, urdu ghazal, nest urdu loving poetry, urdu romantic poetry,


Teri justaju ke hisaar se...
Tere khawab, tere khayaal se,
mai wo shakhs hon jo khara raha...

Teri chahaton se zara paray...
Kabhi dil ki bat kahi naa thi
jo kahi to wo bhi dabi dabii...

Mere lafz poray to thay magar
Teri samaaton se, zara parey
Tu chala gaya mere humsafar...

Zara dekh murr ke, tu ek nazar
meri kashtiyaan hain jali hoi
tere sahilon se zara parey...

Thursday 15 November 2018

Aankh Se Door Na Ho Dil Se Utar Jaye Ga Waqt Ka Kya Hai Guzarta Hai Guzar Jaye Ga



Aankh Se Door Na Ho Dil Se Utar Jaye Ga
Waqt Ka Kya Hai Guzarta Hai Guzar Jaye Ga'

Saturday 6 October 2018

Kitni jaldi yeh mulakat guzar jati hai, pyaas bujhti bhi nahi barsaat guzar jate hai,


Kitni jaldi yeh mulakat guzar jati hai,
pyaas bujhti bhi nahi barsaat guzar jate hai,
apni yadoon se kahoo yun na aaya karain
neend aati bhi nahi raat guzar jati hai…!!!

Thursday 20 September 2018

Ye Karb Ka Tofaan Guzarta Kiun Nahin Dil Toot Gia Hai To Bikhartaa Kiun Nahin


Ye Karb Ka Tofaan Guzarta Kiun Nahin
Dil Toot Gia Hai To Bikhartaa Kiun Nahin


Aik Hi Shaks Ko Chahta Hai Kion Itnaa
Koi Dosra Is Dil Pe Utarta Kion Nahin

Har Bar Iski Berukhi Pe Pyar Aata Hai
Dil Us K Riwajon Pe Akarta Kion Nahin

Kehne Ko To Wo Dard Ek Lamhe Ka Hai Magar
Wo Dard Ka Lamha, Guzarta Kion Nahin...

Phir Aaj Koi Ghazal Tere Naam Na Ho Jaaye, Aaj Kahein Likhtay Likhtay Sham Na Ho Jaaye, best urdu ghazal, best urdu poetry, sad poetry, urdu romantic poetry, urdu shairy


Phir Aaj Koi Ghazal Tere Naam Na Ho Jaaye,
Aaj Kahein Likhtay Likhtay Sham Na Ho Jaaye..!


Kar Raha Hon Intizar Tere Izhar-e-Mohabbat Ka,
Isi Intizar Mein Zindagi Tamaam Na Ho Jaaye ..!.

Nahi Leta Tera Naam Sare-e-Aam Is Dar Say,
Kahein Naam Tera Badnaam Na Ho Jaaye..!

Mangtaa Hon Dua Jub Bhi Tu Yaad Aata Hai,
K Judai Meray Piyar Ka Anjaam Na Ho Jaaye..!

Sochta Hon Darta Hon Aksar Tanhai Mein,
Us K Dil Mein Kisi Aur Ka Maqaam Na Ho Jaaye…

Monday 17 September 2018

Ho gaye jawan bache borhi ho rahi hai MAA, Be-charagh ankhon me khwab bo rahi hai MAA,


Ho gaye jawan bache borhi ho rahi hai MAA,
Be-charagh ankhon me khwab bo rahi hai MAA,


Roti apne hise ki de k apne bachon ko,
Sabar ki rida orhey bhooki so rahi hai MAA,

Sans ki mariza hai phr b thande pani se,
Kitni sakht sardi me kapre dho rahi hai MAA,

Ghair ki shikayat par phr kisi sharert par,
Mar kar muje khud hi ro rahi hai MAA,

Khailne jo muje rokti thi mitti main,
Orrh kar usi mitti ko aaj so rahi hai MAA…

Saturday 8 September 2018

Teacher: Tum der se kyun aai ho? Pappu: Ammi abbu larr rahe thay sliye, Urdu Lateefay, Mazahia lateefay, hansna mana hai,


Teacher: Tum der se kyun aai ho?
Pappu: Ammi abbu larr rahe thay sliye..

Teacher: Lekin tumhare der se aanay ka unki larai ke sath kya taaluq hai?
Pappu: Mera 1 joota ammi ke pas tha or 1 abbu ke pas

Shohar, Mai tang agaya hon! Tum Hamesha mera ghar, meri car, mera mera karti rehti ho, Urdu Comedy, Lateefay, Biwi pe lateefay,


Shohar: Mai tang agaya hon!
Tum Hamesha mera ghar, meri car, mera mera karti rehti ho!
kabhi hamara bhi kaha karo!
Ab almari mai kya dhoond rahi ho?

Biwi: Hamara Dopatta :)

Thursday 6 September 2018

Kam wali kam ke liye i tu dekha malikan bethi zaro qataar ro rahi hai, Urdu Lateefay, Mazahia lateefay, hansna mana hai,


Kam wali kam ke liye i tu dekha malikan bethi zaro qataar ro rahi hai..
Kam Wali: Malikan, kya hua??
Malikan: Tumhare sahab ka pta chala hai k unka pardos wali jamila se chakkar hai..
Kam Wali (Chillate hoe): Nahi, aisa nahi ho sakta, 
Sahab mere sath be.wafai nahi kar sakte..

Arz Kiita hai, Teri surat mere dil mai kuch s tarah se bas gai, Urdu Lateefay, Mazahia lateefay, hansna mana hai,


Arz Kiita hai..!

Teri surat mere dil mai kuch s tarah se bas gai
Jese chotay se rakshay mai moti aunty phans gai

Aik rehri wala karelon per pani ka chirkao kar raha tha, Urdu Lateefay, Mazahia lateefay, hansna mana hai,



Aik rehri wala karelon per pani ka chirkao kar raha tha
ta k wo tazay rahen,
Sardar G kafi der dekhte rahe,
Jab mazeed bardasht na hua tu bole:
Paa G! 
"jay ainhan noo hosh aagaya howay tay mainoo 1 Kilo tol diyo"

Sunday 19 August 2018

Zikr-e-shab-e-firaq se vahshat use bhi thi, Meri tarah kisi se mohabbat use bhi thi, Mujh ko bhi shauq tha na.e chehron ki diid ka, Rasta badal ke chalne ki aadat use bhi thi, by mohsin, urdu best ghazal, best romantic ghazal


Zikr-e-shab-e-firaq se vahshat use bhi thi
Meri tarah kisi se mohabbat use bhi thi 


Mujh ko bhi shauq tha nae chehron ki deed ka 
Rasta badal ke chalne ki aadat use bhi thi 

is raat der tak vo raha mahv-e-guftugu 
masroof main bhi kam tha faraġhat use bhi thi 

mujh se bichhad ke shahr mei ghul-mil gaya vo shaḳhs 
hālāñki shahr-bhar se adāvat use bhī thī 

vo mujh se badh ke zabt kā aadī thā jī gayā 
varna har ek saañs qayāmat use bhī thī 

suntā thā vo bhī sab se purānī kahāniyāñ 
shāyad rafāqatoñ kī zarūrat use bhī thī 

tanhā huā safar meñ to mujh pe khulā ye bhed 
saa.e se pyaar dhuup se nafrat use bhī thī 

'mohsin' maiñ us se kah na sakā yuuñ bhī haal dil 
darpesh ek taaza musībat use bhī thī 

Saturday 7 July 2018

Aaj zara fursat payi thi, aaj use phir yaad kiya Band gali k aakhri ghar ko khol k phir aabaad kiya by nida fazli


Aaj zara fursat payi thi, aaj use phir yaad kiya
Band gali k aakhri ghar ko khol k phir aabaad kiya

Khol k khirki chand hansa, phir chand ne donon hathon se
Rang uRaye phool khilaye chiryon ko aazad kiya

Bare bare gham khare hue the rasta roke rahon mein
Choti choti khushiyon se hi hum ne dil ko shad kiya

Baat bahut maamooli si thi, ulajh gayi takraaron mein
Ek zara si zid ne aakhir donon ko barbaad kiya

Daanaon ki baat na maani! kaam aayi nadani hi
Suna hawa ko parhaa nadi ko mausam ko ustaad kiya

                                                            (Nida Fazli)

Tuesday 8 May 2018

Abhi to hijar ke tawaan mai humne rehen rakhna hai aankhon ko abhi furqat ki aatish mai sulagti reit ki, urdu poetry, sad urdu poetry,


Abhi to hijar ketawaan mai humnerehen rakhna hai aankhon koabhi furqat ki aatish maisulagti reit kiek lambi musafat haiabhi is khaar waadi mailahu hona hai khwabon koabhi tum haat mat choro

Kisi ki achai ka itna Faida mat uthao keh, usey khud apni Achai se nafrat hojaye


Kisi ki achai ka itna
Faida mat uthao keh,
usey khud apni
Achai se nafrat hojaye

Kaash tum per bhi kabhi ye waqt aai to phir tumhe yeh maloom ho keh, urdu poetry, best poetry,


Kaash tum per bhi kabhi ye waqt aai to phir tumhe yeh
maloom ho keh
"Ya Rab uski mohabbat mere dil se nikal de"
jab koi ye dua mangta hai tu uske dil per kya beet
rahi hoti hai

Jazbaat ka taaluq hamari rooh se haiaur zaroorton ka jism se, best urdu lines,


Jazbaat ka taaluq hamari rooh se haiaur zaroorton ka jism se, aur jabzaroortein poori hojain to jazbaatse khali rishte mar jate hain

Saturday 7 April 2018

Peet karna to hum se nibhaana sajan, hum ne pehlay hi din tha kahaa na sajan, by ibn.e.insha, insha poetry, urdu poetry, urdu shairy, best sajan poetry,


Peet karna to hum se nibhaana sajan,
hum ne pehlay hi din tha kahaa na sajan


Tum hi majboor ho, hum hi mukhtaar hain, 
khair maana sajan, yeh bhi maana sajan

Ab jo hone ke Qissay sabhi ho chuke, 
hum tumhein kho chuke, tum humein kho chuke

Aagay dil ki naa baaton mein aanaa sajan, 
K yeh dil hai sadaa ka diwaana sajan

Yeh bhi sach hai na kuchh baat ji ki bani, 
sooni raaton mein dekha kiye chaandni

Per yeh sauda hai hum ko puraanaa sajan, 
aur jeene ka apnay bahaana sajan

Shehr ke log achhe hain hum-dard hain, 
per hamaari suno hum jahaan-gard hain

Daagh-e-dil na kisi ko dikhaana sajan, 
yeh zamaana nahi woh zamaana sajan

Us ko muddat hui sabr kartay hue, 
aaj koo-e-wafaa se guzartay hue

Poochhh kar is gadaa ka thikaana sajan, 
apne ‘Insha’ ko bhi dekh aana sajan

                                             (Ibn-E-Insha from CHAAND NAGAR)

Friday 23 March 2018

Be.naam sa yeh dard thehar kyu nahi jataa, Jo beet geya hai woh guzar kyu nahi jataa,


Be.naam sa yeh dard thehar kyu nahi jataa
Jo beet geya hai woh guzar kyu nahi jataa


Sab kuch to hai kya dhoondti rahti hain nigaahain
Kya baat hai mai waqt pe ghar kyu nahi jataa

Woh ek hi chehraa to nahi saare jahaan mein
Jo door hai woh dil se utar kyu nahi jataa

Mein apni hi uljhi huii raahon ka tamaashaa
Jaate hain jidhar sab mai udhar kyu nahi jataa

Woh naam jo barson se samaayaa hai zehen mein
Woh khwaab agar hai to bikhar kyu nahi jataa

Tera hijr mera naseeb hai, Tera Gham hi meri hyaat hai, urdu poetry, best urdu shairy, urdu yaad poetry


Tera hijr mera naseeb hai, 
Tera Gham hi  meri hyaat hai


Mujhe teri doori ka Gham ho kyu 
Tu kahi bhi ho mere saath hai

Mere vaaste tere naam par 
Koi harf aaye! nahi, nahi!!

Mujhe khauf e duniya nahi magar
Mere roo-baru teri zaat hai

Tera vasl ae meri dilruba 
Nahi meri qismat to kya hua

Meri mahjabeen yahi kam hai kya
Teri hasraton ka to saath hai

Tera ishq mujh pe hai mehrbaan
Mere dil ko haasil hai do jahan

Meri jaan.e,jaan isi baat par 
Meri jaan jaaye to baat hai

Thursday 22 March 2018

Mohabbat mein wafadaari se bachiye, Jahan tak ho adakaari se bachiye,best urdu poetry,urdu poetry,


Mohabbat mein wafadaari se bachiye
Jahan tak ho adakaari se bachiye...


Har ek surat bhali lagti hai kuchh din
Lahu ki sho’bdaa-kaari se bachiye...

Sharaafat, aadmiyat, dard – mandi 
Bare shahron mein bimaari se bachiye..

Zaroori kya har ek mehfil mein aana
Takalluf ki  rawadaari se bachiye...

Bina pairon ke sar chalte nahi hain
Buzurgon ki samajhdaari se bachiye...

Aaj zara fursat payi thi, aaj use phir yaad kiya Band gali k aakhri ghar ko khol k phir aabaad kiya, urdu ghazal, urdu poetry, best urdu poetry,


Aaj zara fursat payi thi, aaj use phir yaad kiya
Band gali k aakhri ghar ko khol k phir aabaad kiya


Khol k khirki chand hansa, phir chand ne donon hathon se
Rang uraye phool khilaye chiryon ko aazad kiya

Bare bare gham khare hue the rasta roke rahon mein
Choti choti khushiyon se hi hum ne dil ko shad kiya

Baat bahut maamooli si thi, ulajh gayi takraaron mein
Ek zara si zid ne aakhir donon ko barbaad kiya

Daanaon ki baat na maani... kaam aayi nadani hi
Suna hawa ko parhaa nadi ko mausam ko ustaad kiya

                                                                         (Nida Fazli)

Saturday 3 March 2018

Baat karni mujhe mushkil kabhi aise to na thi Jaisi ab hai teri mehfil kabhi aise to na thi, urdu poetry by bahadur shah zafar, best urdu ghazal, heart touching poetry,

Baat karni mujhe mushkil kabhi aise to na thi Jaisi ab hai teri mehfil kabhi aise to na thi


Le gayaa chheen ke kaun aaj tera sabr.O.qaraar
Be.Qaraari tujhe ai dil kabhi aisii to na thi

Us ki ankhon ne Khudaa jaane kiya kya jaadu
K tabiyat meri maayil  kabhi aise to na thi

Aks.e.rukhsaar ne kis ke hai tujhe chamkayaa
Taab tujh mein mah.e.kaamil kabhi aise to na thi

Ab ki jo raah.e.muhabbat mein uthaayi takleef
Sakht hoti hamen manzil kabhi aise to na thi

Paa.e.kubaan koi zindaan mein naya hai majnu
Aatii aavaaz.e.salaasil kabhi aise to na thi

Nigah.e.yaar ko ab kyun hai tagaful ae dil
Wo tere haal se Ghaafil kabhi aise to na thi

Chashm-e-qaatil meri dushman thi hamesha lekin
Jaise ab ho gayi qaatil kabhi aise to na thi

Kyaa sabab tu jo bigadta hai ‘Zafar’ se har bar
Khoo teri huur-shamaail kabhii aise to na thi

                                              -- Bahadur Shah Zafar

Sunday 4 February 2018

Likhe jo khat tujhe woh teri yaad mein hazaaron rang ke nazaare ban gaye, urdu poetry, urdu lyrics, best urdu ghazal,


Likhe jo khat tujhe woh teri yaad mein 
hazaaron rang ke nazaare ban gaye

Sawera jab huya to phool ban gaye, 
jo raat aayi to sitaare ban gaye

Likhe jo khat tujhe...


Fiza rangeen, adaa rangeen, 
yeh ithlaana, yeh sharmaana

Yeh angdhaayi, Yeh tanhaayi 
yeh tarsa kar, chale jaana

Likhe jo khat tujhe..


Jahan tu hai, wahan main hoon, 
mere dil ki tu dhadhkan hai

Musafir main tu manzil hai, 
main pyaasa hoon tu saawan hai

Meri duniya yeh nazre hain, 
meri jannat yeh daaman hai

Likhe jo khat tujhe...

Tuesday 16 January 2018

Main Zindagi Ka Saath Nibhata Chala Gaya Har Fikar Ko Dhuen Mein Udata Chala Gaya by Sahir Ludhianvi, urdu best ghazal, old urdu poetry


Main Zindagi Ka Saath Nibhata Chala Gaya
Har Fikar Ko Dhuen Mein Udata Chala Gaya
Barbadiyon Ka Shok Manana Fizul Tha
Barbadiyon Ka Jashan Manata Chala Gaya


Har Fikar Ko Dhuen Mein Udata chala gaya

Jo Mil Gaya Usi Ko Muqaddar Samajh Liya
Jo Kho Gaya Maein Usko Bhulata Chala Gaya
Har Fikar Ko Dhuen Mein Uda
Gham Aur Khushi Mein Farq Na Mehsoos Ho Jahan
Main Dil Ko Us Muqaam Pe Laata Chala Gaya

Har Fikar Ko Dhuen Mein Udata chala gaya