Tuesday 25 August 2015

Uski hasrat jai jise dil se mita bhi na saku dundne niklu to mai use pa bhi na saku, dard e dil poetry


Uski hasrat jai jise dil se mita bhi na saku
dundne niklu to mai use pa bhi na saku


mehrbaan ho ke bula lo mujhe chahe jis wakt
mai gaya waqkt nahi hu ke fir aa bhi na saku

daal ke khaak mere lhoon pe katil ne kaha
kuchh ye mehdi nahi hai chhupa bhi na saku

jaft kambakht ne aake gala ghota hai
ke use bolna chahu to bata bhi na saku

zaher milta hi nahi mjhko sitam gar warna
kya kasam hai tere milne ki ke kha bhi na saku

uske pahlu me jo le ja ke sula du dil ko
need aysi use aaye ke fir jaga bhi na saku

Ajnabi ho ke jaise saheli lage wo, hame uljhi uljhi paheli lage, bnd muththi lage jab wo khamosh ho honth khole to jaise hatheli lage, urdu romantic poetry


Ajnabi ho ke jaise saheli lage wo 
hame uljhi uljhi paheli lage


bnd muththi lage jab wo khamosh ho
honth khole to jaise hatheli lage

mushkuraye to jaise juhu ki kali 
khil khila kare hase to chameli lage

zishm jaise ho mazdoor ki jhopadi
dil se fir bhi magar wo haweli lage

saath ke jab se wo rahne lagi
gul badan dil nasheen neew naweeli lage

Thursday 20 August 2015

Bohat tanha hua hoon main palatt ke aa bhi jao tum Ashq kaa dariyaa hua hoon main palat ke aa bhi jao tum, urdu poetry


Bohat tanha hua hoon main palatt ke aa bhi jao tum
Ashq kaa dariyaa hua hoon main palat ke aa bhi jao tum,


Jahan pe hath chhorra tha jahan pe sath chhorra tha
Usi raah pe kharra hoon main palatt ke aa bhi jao tum,

Udaasi ne banaya ghar mere dil k bagheeche mein
Bohat hi ghamzada hoon main palatt ke aa bhi jao tum,

Dar-o-deewar kehte hain mere kaano mein aa aa kar
Kab se veeraan parra hoon main palatt ke aa bhi jao tum,

Kisi ka baa-wafa hona Sajid sabab hai gar judaai ka
Suno! phir be-wafa hoon main palat ke aa bhi jao tum.

Tuesday 11 August 2015

Jo Bosa Haath Ka Bhi Eid Par Ata Na Kare Kisi Ka Aisa Sanam Ho Kabhi Khuda Na Kare


Jo Bosa Haath Ka Bhi Eid Par Ata Na Kare 
Kisi Ka Aisa Sanam Ho Kabhi Khuda Na Kare

Monday 3 August 2015

Koi nataa na mohabbat ke barabar nikla Toot kar chaha jisse woh sitamgar nikla, urdu poetry, ghazal, bewafa ghazal


Koi nataa na mohabbat ke barabar nikla
Toot kar chaha jisse woh sitamgar nikla,


Yun to har lehar se thi apni shanasaai bohat
Samjha saahil jisse woh gham ka samandar nikla,

Rooh main jhaanka to yeh mehsuus hua mujhko
Itna zarkhaiz jo lagtaa tha woh banjar nikla,

Narmi hathon main na garmi saanson main magar
Mai ne chu kar ussey dekha to woh pathar nikla,