Saturday 1 May 2021

Labour Day / Mazdoor ka din Haat paon ye batate hain keh mazdoor hon mein Aur malbus bhi kehta hai keh majboor hon mein, Labor day poetry, urdu ghazal for mazdoor, labor poetry,

 


Labour Day / Mazdoor ka din
Haat paon ye batate hain keh mazdoor hon mein
Aur malbus bhi kehta hai keh majboor hon mein


Fakhar karta hon keh khata hon rizq-e-halaal
Apne is wasf e qalandar pe tu maghroor hon mein

Saal to sara he gumnaami mai kat jata hai
Bas "1st May" ko ye lagta hai keh mashoor hon mein

Baat sunta nahi meri koi aeywano mein
Sab ke manshoor mai go "Sahb e manshoor" hon mein

Apne bachon ko bacha sakta nahi faqon se
Unki Taleem dilanay se bhi mazoor hon mein

Pait bhar deta hai hakim mera taqreeron se
uski is tafal tasalli pe to ranjoor hon mein

Yom e Mazdoor hai, chutti hai, mera faqa hai
Phir bhi ye din to manaaon ga keh Mazdoor hon mein