Sunday 29 January 2017

Safar main dhoop to hogi jo chal sako to chalo, Sabhi hain bheerr main tum bhi nikal sako to chalo, urdu best poetry, urdu ghazal,


Safar main dhoop to hogi jo chal sako to chalo,
Sabhi hain bheerr main tum bhi nikal sako to chalo,


Kisi ke vaastay raahen kahan badalti hain,
Tum apne aap ko khud hi badal sako to chalo,

Yahan kisi ko koi rasta nahin deta,
Mujhe giraa ke agar tum sambhal sako to chalo,

Kahin nahin koi suraj dhuaan dhuaan hai fazaa,
Khud apne aap se bahar nikal sako to chalo,

Yehi hai zindagi kuch khawb, chand umeeden,
Inheen khilonon se tum bhi behal sako to chalo..

Ab bhala chorr ke ghar kya karte, Shaam ke waqt safar kya karte, best sad ghazal, urdu sad ghazal, heart touching potery, urdu poetry


Ab bhala chorr ke ghar kya karte,
Shaam ke waqt safar kya karte,


Teri masrufiyaten jante hain,
Apne aanay ki khabar kya karte,

Jab sitaare hi nahin mil paaye,
Le ke hum shamss-o-qamar kya karte,

Woh musafir hi khuli dhoop ka tha,
Saaye phailaa ke shajar kya karte,

Khaak hi awwal o aakhir thehri,
Kar ke zaray ko gauhar kya karte,

Raaye pehle hi bana li tum ne,
Dil main ab hum tere ghar kya karte..

Ganwayi kis tamanna main zindagi main ne, Woh kaun hai jise dekha nahin kabhi main ne, urdu ghazal, heart touching urdu poetry, life poetry, ghazal,


Ganwayi kis tamanna main zindagi main ne,
Woh kaun hai jise dekha nahin kabhi main ne,


Tera khayal to hai pr tera wajood nahin,
Tere liye to yeh mehfil sajaayi main ne,

Tere adam ko gavaara na tha wajood mera,
So apni bekh-kanni main kammi na ki main ne,

Hai meri zaat se mansuub sadd-fasaaana-e-ishqq,
Aur ek satar bhi ab tak nahin likhi main ne,

Khud apne ishvaa-o-andaaz ka shahid hoon main,
Khud apni zaat se barti hai be-rukhi main ne,

Mere hareef meri yakka-taziyon pe nisaar,
Tamaam umar haleefon se jangg ki main ne,

Kharashh-e-naghmaa se seena chhila hua hai mera,
Fughaan ki tark na ki naghma-parvari main ne,

Davaa se fayeda maqsuud tha hi kab ke faqat,
Davaa ke shauq main sehat tabaah ki main ne,

Zabaana-zan tha jigarr-sozz tishnagi ka azaab,
So jauf-e-seena mein unddail li main ne,

Suruur-e-maii pe bhi ghalib raha shaoor mera,
Ki har riyayet-e-ghamm zehn main rakhi main ne,

Gham-e-shaoor koi damm to mujh ko mohlat de,
Tamaam umar jalaya hai apna jee main ne,

Ilaaj yeh hai ke majboor kar diya jaaon,
Wagarna yuun to kisi ki nahin suni main ne,

Raha main shahid-e-tanhaaa nashinn-e-masnadd-e-gham,
Aur apne karb-e-anaa se gharazz rakhi main ne..

Umeeden jaagti rehti hain soti rehti hain, Dareeche shamaa jalaate bujhaate rehte hain, best urdu ghzal. urdu poetry, umeed ghazal


Umeeden jaagti rehti hain soti rehti hain,
Dareeche shamaa jalaate bujhaate rehte hain,


Na jaane kis ka humen intezar rehta hai,
Ke baam-o-dar ko hamesha sajaate rehte hain,

Kisi ko dhoondte hain hum kisi ke paikar main,
Kisi ka chehra kisi se milaate rehte hain,

Woh naqsh-e-khawb mukammal kabhi nahin hota,
Tamaam umar jise hum banaate rehte hain,

Usi ka akss har ik rang main jhalakta hai,
Woh ek dard jis sab chupaate rehte hain,

Hamen khabar hai kabhi lat kar na ayen ge,
Gaye dinon ko magar hum bulaate rehte hain,

Yeh khel sirf tumhin khelte nahin ‘alam‘,
Sabhi khalaa main lakeeren banaate rehte hain

Tuesday 3 January 2017

Yeh Socha Tha Main Ne Ke Tera Hi Ban Ke Rahoon Yeh Kia Hogaya Hai Bikhar Sa Gaya Hai Junoon, teri kasam mera sanam bs tuu, sanam, sing by Shuja Haider for drama serial sanam, best poetry,


Yeh Socha Tha Main Ne Ke Tera Hi Ban Ke Rahoon
Yeh Kia Hogaya Hai Bikhar Sa Gaya Hai Junoon


Likhe Hue Ko Mitaa Na Sake Ga Zamaana
Teri Baahon Main Mujh Ko Mila Hai Yeh Mera Thikana

Jaane Yeh Khudaai Hai Dil Main Tu Samaai Hai
Khuda Tujh Se Kiya Main Maang Loon

Thori Si Ruswai Hai, Thora Gham Judaai Hai
Khuda Tujh Se Kiya Men Maang Loon

Kiya Kahega Zamana , Hamfasar Tha Ya Bahana
Jeet Jaaye Duaen , Bus Yeh Dua Hai Meri

Tu Bhi Akela Hai Tanha Hoon Main Bhi Yahan
Najaane Yeh Tanhaai Lejaaye Gi Ab Kahaan

Hathon Main Tera Likha Naam Ik Ajnabi Ka
Samne Wo Khara Hai Kinaara Meri Zindagi Ka

Jaane Ye Khudaai Hai Dil Main Tu Samaai Hai
Khuda Tujh Se Kiya Main Maang Loon

Kiya Kahega Zamana , Hamfasar Tha Ya Bahana
Jeet Jaaye Duaen , Bus Yeh Dua Hai Meri

Teri Qasam Mera Bharam Bus Tu Hai
Mujh Pe Hua Koi Karam Bus Tu Hai

Teri Qasam mera Sarang Bus Tu Hai
Ab Yeh Meri Zindagi Bus Tu Hai…

Thori Si Ruswai Hai , Thora Gham Judaai Hai
Khudaa Tujh Se Kiya Main Maang Loon

Kiya Kahega Zamaana, Humsafar Tha Hai Bahana
Jeet Jaayen Yeh Duaen, Bus Yeh Dua Hai Meri

                                                                                       *Song: Sanam
                                                                                                 *Singer: Shuja Haider
                                                                                                           *Drama: Sanam

Sunday 1 January 2017

Nateeja phir wahi hoga suna hai saal badlega, new year poetry, urdu best poetry,


Nateeja phir wahi hoga
suna hai saal badlega


                      parinday phir wahi honge
               shikaari jaal badlega

badalna hai to din badlo
badalte kyu ho hindse ko

                     maheenay phir wahi honge
             suna hai saal badlega

wahi haakim wahi ghurbat
wahi qaatil wahi ghasib

            btao kitne saalon mai
              hamara haal badlega...