Wednesday 22 July 2015

Aankh banjati hai saawan ki ghata shaam ke baad Laut jata hai agr koi khafaa shaam ke baad, urdu poetry, best poetry, urdu ghazal


Aankh banjati hai saawan ki ghata shaam ke baad

Laut jata hai agr koi khafaa shaam ke baad


shaam tuk Qaid raha kurte hain dil k ander
durd ho jate hain sare riha shaam k baad

log thuk haar k su jatay hain lekin janaan
hum ne khush ho k tera durd saha shaam k baad

shaam se pehle tuk laakh sulaay rakhein
jaag uth-ti hai mohabat ki ana shaam k baad

chand jub ru k sitaroon se galay milta hai
ik ajab rung ki hotee hai fiza shaam k baad

hum ne tanhaai se pocha k milo gi kub tuk
us ne be-chaini se forun hee kaha shaam k baad

mae agr khush bhi rahon phir bhi mere seene mein
su-gawari koi roti hai sada shaam k baad

laur aatee hai meri shub ki ebadut khali
jane kis arsh pe rehta hai Khuda shaam k baad

koi bhula howa ghum hai jo musulsul mujh ko
dil k pataal se daita hai sada shaam k baad

maar daita hai ujar jane ka dhoura ehsaas
kaash ho koi kissi se na Juda shaam k baad

Kabhi Pathar Ki Thokar Se Bhi Aati Nahi Kharash, Kabhi Ek Zara Si Baat Se Insaan Bikhar Jata Hai


Kabhi Pathar Ki Thokar Se Bhi Aati Nahi Kharash,
Kabhi Ek Zara Si Baat Se Insaan Bikhar Jata Hai...!

Sunday 12 July 2015

Dard Se Hum Ab Khelna Seekh Gaye,Hum Bawafai Ke Saath Jeena Seekh Gaye, urdu poetry


Dard Se Hum Ab Khelna Seekh Gaye,
Hum Bawafai Ke Saath Jeena Seekh Gaye,

 

Kya Batayein Kis Kadar Dil Toota Hai Mera,
Maut Se Pehle, Kafan Aud Ker Sona Seekh Gaye…!!