Saturday 27 December 2014

Duniya Ki Har Cheez Se Piyari Hai Mujh Ko Meri MAA, Koi Mere Dukh ko Samjhay ya Na Samjhay, urdu poetry, poetry about maa or mother


Duniya Ki Har Cheez Se Piyari Hai Mujh Ko Meri MAA..
Koi Mere Dukh ko Samjhay ya Na Samjhay..
Par Samjhti Hai Mere Har Dukh ko Meri MAA..!!

Zalim Duniya Mein Zara Sambhal K Rehna Mere Yaar, sad urdu poetry, urdu shairi


Zalim Duniya Mein Zara Sambhal K Rehna Mere Yaar...
Yahan Palkon Pe Bithaya Jata Hai Nazron Se Girany K Liye...

Mangey Gey Muqadar Se Teri Zulf Ka Saya, phir Us Zulf K Saye Mein Basar Raat Karengey, best image poetry, urdu two line poetry


Mangey Gey Muqadar Se Teri Zulf Ka Saya...!!
phir Us Zulf K Saye Mein Basar Raat Karengey

Tuesday 23 December 2014

Kash Kisi Udaas Mausam Mein,,, Hamari Ankhon Pe Woh Hath Rakh Dey Apne, Urdu Image Poetry, Sad Urdu Poetry, Udas Ghazal


Kash Kisi Udaas Mausam Mein,,,
Hamari Ankhon Pe Woh Hath Rakh Dey Apne

Or Hanstey Howe Keh Dey!
Bojh Lo Tu Hum Tumhare,Na Bojho Tu Tum Hamare!

Friday 19 December 2014

Jisay Khud Se Nahi Fursatain, Na Jisay Khayal Apne Jamal Ka Usay Kya Khabar Mere Shoq Ki Usay Kya Pta Mere Haal Ka


Jisay Khud Se Nahi Fursatain, Na Jisay Khayal Apne Jamal Ka
Usay Kya Khabar Mere Shoq Ki Usay Kya Pta Mere Haal Ka
Zara See Baat Par Tanhaa Chor Jaate Hain
Mohabbat Kar K Logon Se Sambhali kiyon Nahi Jati 

Saturday 13 December 2014

Aansu Aa Jatay Hain Aankhon Main Per Labon Peh Hansi Lani Parti hai, Yeh Mohabbat Bhi kia Cheez hai, Bewafa Poetry


Aansu Aa Jatay Hain Aankhon Main
Per Labon Peh Hansi Lani Parti hai

Yeh Mohabbat Bhi kia Cheez hai
Jis Sey kertay Ho Usi Say Chupani Parti hey 

Tere Jane Ke Baad Koi Sahara Bi Toh Nahi, Tujhe Kabhi Tanhai Me Pukara Bi Toh Nahi, Bewafa Poetry


Tere Jane Ke Baad Koi Sahara Bi Toh Nahi,
Tujhe Kabhi Tanhai Me Pukara Bi Toh Nahi,

Bewafa Tujhe Hum Aaj Bhi Chahte Hai,
Magar Phir Bi Tu Hmara Toh Nahi

Hme Phoolon Se Kya Gila, Hmne Toh Khud Kaantoh Se Mohabbat Ki Hai, Bewafa Poetry


Hme Phoolon Se Kya Gila,
Hmne Toh Khud Kaantoh Se Mohabbat Ki Hai,

Hme Kisi Ki Bewafai Se Kya,
Hmne Toh Khud Bewafa Se Mohabbat Ki Hai ,

Jo Na Mil Sake Wahi Bewafa, Yeh Bari Hi Ajib Si Bat Hai, Bewafa Poetry


Jo Na Mil Sake Wahi Bewafa,
Yeh Bari Hi Ajib Si Bat Hai,

Jo Chala Gaya Mujhe Choor Kar,
Wohi Aj Tak Mere Sath Hai

Kisi Aur Ki Baho Mein Rehkar Woh Humse Wafa Ki Bate Karte Hai, Ek Aisi Chahat Hai Yaaro Woh Bewafa Hai, Bewafa Poetry


Kisi Aur Ki Baho Mein Rehkar
Woh Humse Wafa Ki Bate Karte Hai,

Ek Aisi Chahat Hai Yaaro Woh Bewafa Hai
Yeh Jan Key Bhi Hum Unhi Se Pyar Karte Hai 

Aap Ki Yaad Na Aye Toh Hum Bewafa, Aap Bulaye Aur Na Aye Toh Hum Bewafa, Urdu Image Poetry, Bewafa Poetry


Aap Ki Yaad Na Aye Toh Hum Bewafa,
Aap Bulaye Aur Na Aye Toh Hum Bewafa,


Hume Marne Ke Liye Khanjar Ki Zaroorat Nahi,
Ek Bar Nazar Pher Lo Na Mar Jaye Toh Hum Bewafa…

Monday 8 December 2014

Raat Youn saans ruk gai meri, Tum mujhe bhool gai ho jesay, Heart Touching Poetry,


Raat Youn saans ruk gai meri
Tum mujhe bhool gai ho jesay..


Woh meherbaan hai, magar dil ki hirss bhi kam to ho, Talab karam se zeyada hai, kya kiya jaaye, urdu image poetry


Woh meherbaan hai, magar dil ki hirss bhi kam to ho,
Talab karam se zeyada hai, kya kiya jaaye,
Humain bhi arz-e-tamanna ka dhangg nahin aata,
Mizaaj-e-yaar bhi saada hai, kya kiya jaaye,

Haajtain zeest ko ghairy me liye rakhti hen, Khasta dewaar sy chimty huye jaalon ki tarha, sad urdu poetry, ghamgeen poetry


Haajtain zeest ko ghairy me liye rakhti hen, 
Khasta dewaar sy chimty huye jaalon ki tarha.
Zindagi khushk hai, veeran hai, afsurda hai,
Aik mazdoor k bikhray huye baalon ki tarha.

Saturday 6 December 2014

Kaam ke jitney bhi thay bekaar ho gaye Marz-e-hirs-e-dolat mein sab beemaar ho gaye, Ek bohot hi maynikhez Ghazal jis me kayi ishaare kiye gaye hein, ek naakaam koshish lafzon mein awaam ka dard bayaan karne ki, Urdu Ghazal on Reality of Life


Ek bohot hi maynikhez Ghazal jis me kayi ishaare kiye gaye hein... 
ek naakaam koshish lafzon mein awaam ka dard bayaan karne ki...

Kaam ke jitney bhi thay bekaar ho gaye
Marz-e-hirs-e-dolat mein sab beemaar ho gaye


Ehl-e-sheher ko lag gayi hai jane ye kesi hawa
Is siyaasi mahol mein sab makkaar ho gaye

Maang Maang ke jo guzara karte the aksar paish’tar
Saail sheher ke wo ab bade khariddaar ho gaye

Aaj wo jin par hazaron qatl ke ilzaam hain
Jane kese khilaafat e mulk ke haqdaar ho gaye.

Girgat ki misl fitrat wale ye siyaasatdaan
raaey-dehi me awaam sab ke ghamgusaar ho gaye

Safed posh bhi parde mein karte rahe fareb
Zaahir hue jab jurm to sab me khwaar ho gaye

Saari umr jo karte rahe makr-o-jhuth ke dhandhe (kaar-o-baar)
Khaaki kya pehni shurafaa me shumaar ho gaye

Muflisi mein shams ka dekha jo sabne sabr to
Jaane aur kitne hi bashar khuddaar ho gaye.

Thursday 4 December 2014

Meena kh nh rakay Ghamoona raka, Mala khwaga khwga Dardoona raka by Imdad Ullah Khyal, Pashto poetry,


Imdad Ullah Khyal Poetry:
Meena kh nh rakay Ghamoona raka,
Mala khwaga khwga Dardoona raka.


Th ikhtyarmand ye hes parwa nishta de,
Paansi dh zalfo ya Taalona raka.

Gham dh hijran me zrrh pulay pulay kro,
Dh surko shundo sra Saroona raka.

Gandama zan la pre kafan janana,
Dh toro zulfo so Taroona raka.

Zama IMDAD janaza porta shula,
Rasha dh zrrh ph SAR daghoona raka…

                            Shared by Gulalai from Peshawar

Da ye Gunah Da Che Hecha Ta Haal Wayale nashi, Pa Chagho Chagho Pa Khkara Charta Jaralay nashi by Imdad Ullah Khyal, Pashto poetry


Imdad Ullah Khyal Poetry:
Da ye Gunah Da Che Hecha Ta Haal Wayale nashi,
Pa Chagho Chagho Pa Khkara Charta Jaralay nashi.


Ma warla zra de zahmi kre zaka tab na lari,
Da che pa tlo ke lewanay pa sha Katale nashi.

Da Charsadwal pre sar tar pa lamba lamba garzavi,
Zaka pa oor da Mohabat ke nor Sezale nashi.

Da Ishq Lambay pate Danana pa zargi ke sati,
Janan Da Zan Sara Nor Khalaq Jarawale nashi.

Ma Ba Toba Da Lewanai Meene Na Karay Wa Kho.
Da Me Yaqeen De Che Da Zra Na me Westale nashi.

Tote tote zarge che prote de pa mairo da Punjab,
Da badqismata KHIYAL walllah zaka Khandale nashi.

                                    Shared by Gulalai from Peshawar

Saturday 29 November 2014

Tujhse Naraaz Nahin Zindagi, Hairaan hun mai by Gulzar of Film Masoom Lyrics, Urdu Lyrics songs, Bollywood Song Lyrics

Tujhse Naraaz Nahin Zindagi by Gulzar of Film Masoom Lyrics


Tujhse Naraaz nahi Zindagi, Hairaan hun mai
o Hairaan hun mai

Tere Maasum savaalo se pareshaan hun mai
o pareshaan hun mai

Jeene ke liye sochaa hi na thaa, dard sambhaalane hoge
muskuraaun to, muskuraane ke karz uthaane hoge

muskuraaun kabhi to lagataa hai
jaise hotho pe karz rakhaa hai
tujhase 

aaj agar bhar aai hai, bunde baras jaayegi
kal kyaa pataa inake liye aankhe taras jaayegi

jaane kahaan gum kahaan khoyaa
ek aansu chhupaake rakhaa thaa
tujhase 

zindagi tere gam ne hame rishte naye samajhaaye
mile jo hame dhup me mile chhaanv ke thade saaye



Wednesday 26 November 2014

Tumhare baad guzrein ge bhala kese hamare din, November se bachen ge to december maar daale ga, December Poetry, Urdu Potry


Tumhare baad guzrein ge bhala kese hamare din,
November se bachen ge to december maar daale ga

Sunday 23 November 2014

Meri Ankhon Se unki Yaad Ka Saya Nhi Jata Mene Man Liya unko Bhulaya Nhi Jata, Urdu Image poetry


Meri Ankhon Se unki Yaad Ka Saya Nhi Jata
Mene Man Liya unko Bhulaya Nhi Jata


Ek Mudat Se jo Naam Likha He Dil Pr
Me kya krO wo mujhse mitaya Nhi jata

Ek jurm hai mohabbat Jo maine kiya hai Ek galti hai mohabbat Jo mujh se hui hai, Urdu image poetry, Saza poetry


Ek jurm hai mohabbat
Jo maine kiya hai


Ek galti hai mohabbat
Jo mujh se hui hai

Ek dard hai mohabbat
Jo mujhe mila hai

Ek ehsaas hai mohabbat
Jo maine mehsoos kiya hai

Or ek Dhokha hai mohbbat
Jo Mujhe Kisi Ne Diya Hai.....!!

Badalti rutt ka ishara dekhtey hain Ab kaisey ho ga guzaara dekhtey hain, Urdu Ghazals, Best Urdu poetry, Bewafa poetry


Badalti rutt ka ishara dekhtey hain
Ab kaisey ho ga guzaara dekhtey hain


Mohabbat ki yeh rasam bhi kitni ajeeb hai
Jaaney waaley palat kar dobara dekhtey hain

Doobney waaley doobney se zara pehley
Ek umeed par kinara dekhtey hain

Teri judaai se gila honey lagta hai
Jab duniya mein koi be-sahara dekhtey hain

Kya mohabbat humein bhi raas aaye gi
Aao apna apna sitaara dekhtey hain.

Chaman Ki Aabroo Ban Kar Saba K Saath Chaltay Hain Subak Raftaar Hain Lakin Ada K Saath Chaltay Hain, best urdu poetry, urdu ghazal


Chaman Ki Aabroo Ban Kar Saba K Saath Chaltay Hain
Subak Raftaar Hain Lakin Ada K Saath Chaltay Hain


Sitaray Doob Jayen Ya Ufaq Say Aftaab Ubhray
Andhairay To Behar Soorat Zaya K Saath Chaltay Hain

Ajab Kaya Hay Kah Manzil Ka Tassawur Hi Badal Jaye
Musaaafir Bay Rukhi Say Rahnuma K Saath Chaltay Hain

Khuda Janay Kahan Thehrain Gay Ja Kar Walwalay Dil K
Yeh Deewanay To Rahwaar-e-Wafa K Saath Chaltay Hain

Dam-e-Rukhsat Ham Apnay Aansoun Ko Rouk Bhi Laitay
Magar Yeh Karwaan Teri Raza K Saath Chaltay Hain

Qateel is Bay Murrawat K Nah Chairo Tazkaray Ham Say
Yeh Woh Nishtar Hain Jo Zikr-e-Wafa K Saath Chaltay Hain

Wednesday 19 November 2014

Bohat Mushkil se seekha hai Khush Rehna uske baghair, Ab suna hay ye bat bhi Usey Pareshan Karti hai, Urdu Image Poetry


Bohat Mushkil se seekha hai
Khush Rehna uske baghair,
Ab suna hay ye bat bhi
Usey Pareshan Karti hai..


Saturday 15 November 2014

Iss Dunya-e-hasrat mein Baray Hum ne Azaab dekhy Ishq ki lambi manzil thi, rasty saary kharaab dekhy, Urdu sad Ghazal, Image Poetry, Sad Urdu poetry


Iss Dunya-e-hasrat mein Baray Hum ne Azaab dekhy
Ishq ki lambi manzil thi, rasty saary kharaab dekhy


La-Elaaj is Marz mein kia kia Elaaj Dekhy
Kisi Ne Ghungru bandh liye, Koei Peety sharaaß Dekhy

Wafa hai Riyasat apni, phir ßi hum Ghareeb thehry
Be-wafai ka Taaj pehny Kitny Hum ne Nawaab Dekhy

Kia Bataon Neend k uss Lamhy mein Kia Dekha_?
Wohi Tanhai, wohi Judai, uss se milny k Khawab Dekhy.

Mujh ko Heer Ranje ki kahanian Mat Suna Ay Ishq, Sedha Sedha Bol, Sad urdu potery, urdu sms, shairy


Mujh ko Heer Ranje ki kahanian Mat
Suna Ay Ishq,
Sedha Sedha Bol k Meri Bhi Jaan
Chahiye Tujhy..

Usey Jaane Ki Jaldi Thi, So Main Aankhon Hi Aankhon Mein, Jahan Tak Chhor Sakti Thai, Urdu image poetry, best urdu poetry


Usey Jaane Ki Jaldi Thi, So Main
Aankhon Hi Aankhon Mein,
Jahan Tak Chhor Sakti Thai, Wahan
Tak Chhor Aai Hoon..

Bohat Khafaa They Ke Lehja Badal Gaya Mera, Un Hi Ke Lehje Mein Un Se Jab Baat Ki Main Ne, Urdu image poetry, Urdu two lines poetry


Bohat Khafaa They Ke Lehja Badal
Gaya Mera,
Un Hi Ke Lehje Mein Un Se Jab Baat
Ki Main Ne !!

Tuesday 11 November 2014

I call you honey Because you’re so sweet I call you angel Because you’re so beautiful I call you baby Because you’re so huggable I call you cutie, English poetry




I call you honey

Because you’re so sweetI call you angelBecause you’re so beautifulI call you babyBecause you’re so huggableI call you cutieBecause you’re the only one InoticeI call you my loveBecause you fill my heartI call you sunshineBecause you light up my lifeI’d love to hear you call me Only Mine.

I Feel A Hole Inside My Soul, I've Never Felt This Pain Before, English poetry



I Feel A Hole Inside My Soul,
I've Never Felt This Pain Before,

You Broke My Dreams You Stole My Hopes,
But From Now On My Heart Is Closed,
For All You've Done, No, I Can't Blame,
You Deserve To Feel The Same,
In This Love It's Hard To Play,
You Turned My Life Into Your Game....

Friday 7 November 2014

Tum ko dekha tu yeh khyal aaya, Zindagi dhoop tum ghana saaya, urdu best poetry, loving poetry,


Tum ko dekha tu yeh khyal aaya...
Zindagi dhoop tum ghana saaya...


Aaj phir dil ne ek tamanna ki...
Aaj phir dil ko ham ne samjhaya...

Tum chaly jaao gy tu sochen gy...
Ham ne kya khoya ham ne kya paaya...

Thursday 6 November 2014

Khyal Hashtnaghar: Saqi 6 oskam rana gham rok shi, Bs kala dair aow kala kam rok shi, Pashto poetry shared by Gulalai


Khyal Hashtnaghar:
Saqi 6 oskam rana gham rok shi,
Bs kala dair aow kala kam rok shi.


Raka 6 nan ph lapo lapo oskm,
6 me la dwarro stargo num rok shi.

Daa bewafa khalaq dh kom mazhab de?
Hum try wady hum try qasam rok shi.

Jobal zarrgy bh zma hala jorr shi,
Zulam setam 6 dh sanam rok shi.

Lay ph lay garzama dh yaar kali ky,
Sham lewanay 6 rana cham rok shi.

Sparly 6 khor she ghotay otokegi,
Zrrh me ph khkulo bandy sum rok shi.

Zama dh zrrh daase panah ye KHYALA,
Sok che dh Kali ya dh Cham rok shi.

                                                By Gulalai From Islamabad

Friday 31 October 2014

Sath dil kay chale dil ko roka nahi hum ne Jo na apna tha usay toot k chaha hum ne, Urdu Image poetry, best image poetry


Sath dil kay chale dil ko roka nahi hum ne
Jo na apna tha usay toot k chaha hum ne
Ik dhokay mein kati umrr hamari sari ......
Kya bataen kise kise paya hum ne....

Sunday 26 October 2014

ab udas phirtay ho, sardiyon ki shamo main is tarah to hota hai, is tarah ke kamon main, urdu best ghazal, romantic ghazal, urdu heart touching poetry, famous urdu ghazal


ab udas phirtay ho, sardiyon ki shamo main
is tarah to hota hai, is tarah ke kamon main

اب اداس پھرتے ہو، سردیوں کی شاموں میں
اس طرح تو ہوتا ہے، اس طرح کے کاموں میں

ab to uski ankhpn ke, mekaday mayasar hain
phir sakoon dhondoge, saghiron mai, jamo main,

اب تو اُس کی آنکھوں کے، میکدے میّسر ہیں
پھر سکون ڈھونڈو گے، ساغروں میں جاموں میں

dosti ka dawa kya, ashiqi se kya matlab
mai tere faqeeron main, mai tere ghulamo main

دوستی کا دعویٰ کیا، عاشقی سے کیا مطلب
میں ترے فقیروں میں، میں ترے غلاموں میں

zindagi bikharti hai, shairi nikharti hai
dil baron ki galiyon mai, dil lagi ke kamo main

زندگی بکھرتی ہے، شاعری نکھرتی ہے
دل بروں کی گلیوں میں، دل لگی کے کاموں میں

jis tarah shoaib uska, naam chunn liya tumne
usne bhi hai chunn rakha, aik naam namo main

جس طرح شعیب اس کا، نام چُن لیا تم نے
اس نے بھی ہے چُن رکھّا، ایک نام ناموں میں

Wednesday 22 October 2014

"Apni Taqdir Me To Kuch Aesy Hi Silsiley Likhy Hain" "Kisi Ne Waqt Guzarne K Liye Apna Bana Liya' To Kisi Ne Apna Bana Kr Waqt Guzaar Liya, Urdu image poetry


"Apni Taqdir Me To Kuch Aesy Hi Silsiley Likhy Hain"
"Kisi Ne Waqt Guzarne K Liye Apna Bana Liya' 
To Kisi Ne Apna Bana Kr Waqt Guzaar Liya..

Sheikh Saadi Farmaty hen; Ksi shakhs ko Itna pyar do K Koi Gunjaesh na rahy. Agr.. Wo phr bhi Tmhara na bn Saky,to.. Usay CHORR do, by sheikh saadi


Sheikh Saadi Farmaty hen;
Ksi shakhs ko Itna pyar do
K Koi Gunjaesh na rahy.
Agr..
Wo phr bhi Tmhara na bn Saky,to..
Usay CHORR do, 


Q K.. 

Wo MUHABAT ka TALABGAR e nhi,
Wo sirf ZURURAT ka PUJARI hy.

MUHABAT krny Waly ko
Kisi SHAY ki Zurorat nai hoti,

Aur 

Zurorat_Mnd ko ksi se 
MUHABAT nai hoti

Tum nay her ahad main her nasal say ghadari ki Tum nay bazaron main akhlon ki khareedari ki, politics poetry


Tum nay her ahad main her nasal say ghadari ki
Tum nay bazaron main akhlon ki khareedari ki


Eint say eitn baja di gayee khudari ki
Khof ko rakh liyay khidmat pay kamadari ki

Aur aj tum mujh say meri jins-e-giran mangtay ho
Half-e-zahono wafadari-e-jan mangtay ho

Jao yah chez kisi madah sira say mango
Taifay walon say dholak ki sada say mango

Mujh say pocho gay to khanjar say ado bolay ga
Gardanain kat bhi do gay to laho bolay ga

Sunday 19 October 2014

Hasi khushi se bichad ja agar bichadna hai, Ye har maqaam pe kya sochta hai aakhir tu, Urdu Image Poetry, Sad poetry


Hasi khushi se bichad ja agar bichadna hai 
Ye har maqaam pe kya sochta hai aakhir tu

Faraz tune use mushkilon mein daal diya
Zamaana saahib-e-zar aur sirf shayer tu

Mere khayal ne jitnay bhi lafz sochay hain Teri misaal teri azmaton se chotay hain, Urdu Image Poetry, Best Image Poetry


Mere khayal ne jitnay bhi lafz sochay hain
Teri misaal teri azmaton se chotay hain

Saturday 11 October 2014

Itna Qareeb Aa k Ji Bhar k Dekh Loon., Shaayad k Phir Milo To Ye ZoQ-E-Nazar Na Ho, Urdu Image Poetry, Best Urdu Poetry


Itna Qareeb Aa k Ji Bhar k Dekh Loon.,
Shaayad k Phir Milo To Ye ZoQ-E-Nazar Na Ho.,


Youn Utro Mere Dil Mein Aankhoon k Raste Se.,
Mujh Mein Sama Jao, Nazar Ko Khabar Na Ho..,

Muddat Huwi Mile Nahe Ik Doosre Se Hum.,
Aaj Sub Gilay Mita Do, Koi Shikwa Phir Na Ho.,

Wednesday 8 October 2014

Chahat , fikar ,taqdeer ,ishq o Muhabbat , or wafa Meri in hi adatoun ne mera tamasha bana diya, Urdu image poetry


Chahat , fikar ,taqdeer ,ishq o Muhabbat , or wafa
Meri in hi adatoun ne mera tamasha bana diya ...!!

Saturday 4 October 2014

Kya Husn Tha K Aankh Se Dekha Hazaar Baar.. Phir Bhi Nazar Ko Hasrat-E-Deedaar Reh GAi, Urdu poetry


Kya Husn Tha K Aankh Se Dekha Hazaar Baar..
Phir Bhi Nazar Ko Hasrat-E-Deedaar Reh GAi..!!

Thursday 2 October 2014

Zindagi Ki Uljhano Ne Chheen Li Hain Mujh Se Fursatain Meri, log Samjhtay Hain, Bahot Badal Gai Hoon Main


Zindagi Ki Uljhano Ne Chheen Li Hain Mujh Se Fursatain Meri,
log Samjhtay Hain, Bahot Badal Gai Hoon Main....!!

Monday 29 September 2014

Kehta tha na mujh ko pardes bhejo maa Ab mere bagheir eid kese manaogi maa, eid poetry for all perdesi brothers


Kehta tha na mujh ko pardes bhejo maaAb mere bagheir eid kese manaogi maa


Sab ke bete jab aainge Eid parh ke
Tum darwaze mai khari takti reh jaogi maa

sawayyanjab bantnay lagogi mohallay main
Tumhari palkein aansuon se bheeg jaingi maa

Sham tak bhi jab na pohanch paonga ghar
Tere dil ki dharkan jese ruk si jaigi maa

Eid parh ke jab wapis aaonga duty pe
Tassalli ye dil ko de kar sojaonga maa

EID KA KYA HAI, AGLAY SAAL PHIR AJAIGI MAA

Saturday 27 September 2014

Sunday 21 September 2014

Ajab he dhang hain dunya ke karobaron ke, Do he pal me bigarte hain banane wale, Urdu image poetry, Udas poetry


Ajab he dhang hain dunya ke karobaron ke,
Do he pal me bigarte hain banane wale,


Kon deta hai sahara dobte kashte ko,
Doob he jate hain yahan to bachane wale,

Muqadaron ke khel me sikandaron ke dor me,
Bade mushkil se jeettay hai harne wale,

Sodagery kamal ke karte hain ye tajir,
Do he sikhon me bikte hain bechne wale,

Barbad karne ke zara had to dekheye,
Bade khuloos se milte hain lotne wale,

Ajab he dhang hain dunya ke karobaron ke,
Do he pal me bigarte hain banane wale,

Friday 19 September 2014

Usne Kaha Kon Ho Tum, Maine Kaha Hasrat Teri…! urdu image poetry


Usne Kaha Kon Ho Tum…Maine Kaha Hasrat Teri…!


Usne Kaha Pagal Ho Kya…?
Maine Kaha Aisa Hi Sahi…!

Usne Kaha Karte Ho Kya…?
Maine Kaha Ibaddat Teri…!

Usne Kaha Chahte Ho Kya…?
Maine Kaha Mohbbat Teri…!

Usne Kaha Pachtao Ge…?
Maine Kaha Kismat Meri

Tuesday 16 September 2014

parindon ke chechahat se hoa sawera, umeedo ke karwa ne naya saaz hai bikhera, Urdu Image Poetry


parindon ke chechahat se hoa sawera,
umeedo ke karwa ne naya saaz hai bikhera,


koi kho gaya udasion ke baste me,
kisi ka hoa tanhaeon me basera,

ajab he dhang dekhata hai ye muqadar bhi,
kahen dukhun ke dole kahen khusyon ka tola,

andaz alag alag he sahe,
sikander hai har ek apne waqt ka..

Friday 12 September 2014

zindagi se yehi gila ha mujhe tu barri dair se mila ha mujhe, Urdu Romanting Poetry


zindagi se yehi gila ha mujhe
tu barri dair se mila ha mujhe

tuu mohabbat se koi chaal tu chal
haar janay ka hosla ha mujhe

hamsafar chahiyee hajoom nahin
ek musafir bhi qaafila ha mujhe

Acha khasa baithay baithay gum ho jata hon, Ab main aksar main nahin rehta tum ho jata hon, Urdu Image Poetry, Best image poetry


Acha khasa baithay baithay gum ho jata hon....
Ab main aksar main nahin rehta tum ho jata hon