Monday 19 February 2024

Log har morr pe ruk ruk kr sambhalte kyu hain Itna darte hain to phir ghar se nikalte kyu hain, best urdu ghazal, urdu poetry, heart touching poetry

 


Log har morr pe ruk ruk kr sambhalte kyu hain
Itna darte hain to phir ghar se nikalte kyu hain,


May kaddah zarf ke mayaar ka pemana hai
Khali sheeshon ki tarah log uchalte kyu hain

Morr hota hai jawani a sambhalne ke liye
Aur sab log yehin aa ke phisalte kyu hain

Neend se mera talluq he nahi barson se
Khawab aa aa ke meri chatt pe theltay kyu hain

Mai na jugnu hun diya hun naa koi tara hun
Roshni walay mere naam se jalte kyu hain

Tuesday 9 January 2024

donoñ jahān terī mohabbat meñ haar ke, vo jā rahā hai koī shab-e-ġham guzār ke, best urdu ghazal, faiz urdu shairi

 

donoñ jahān terī mohabbat meñ haar ke 

vo jā rahā hai koī shab-e-ġham guzār ke 


vīrāñ hai mai-kada ḳhum-o-sāġhar udaas haiñ 

tum kyā ga.e ki ruuTh ga.e din bahār ke 


ik fursat-e-gunāh milī vo bhī chaar din 

dekhe haiñ ham ne hausle parvardigār ke 



duniyā ne terī yaad se begāna kar diyā 

tujh se bhī dil-fareb haiñ ġham rozgār ke 



bhūle se muskurā to diye the vo aaj 'faiz' 

mat pūchh valvale dil-e-nā-kardā-kār ke