Monday, 20 January 2014

Khuli Jab Aankh To Kuch Bhi Na Tha Hawa K Siwa, Sad Urdu Poetry, Urdu Image Poetry


Khuli Jab Aankh To Kuch Bhi Na Tha Hawa K Siwa 
Bachi Thi Raakh Aur Kuch Bhi Na Tha Hawa K Siwa 

Puraani Yaad K Sifhay Bikhar Rahey Thay Jahaan 
Thi Khaali Khaak Aur Kuch Bhi Na Tha Hawa K Siwa 

Qadeem Ghar Thay Wo Galiyaan Jahaan Pe Waqt Kata 
Mahiz Thi Saakh Aur Kuch Bhi Na Tha Hawa K Siwa 

Har Aik Yaad Thi Jaisey K Raqs Mein Mashghool 
Hawaa Mein Khaak Thi Aur Kuch Bhi Na Tha Hawa K Siwa 

Sajey Huwey Thay Darichoon Mein Dill-Ruba Chehray 
Khuli Thi Aankh To Kuch Bhi Na Tha Hawa K Siwa 

Ghulaam-e-Gardisheen Raah-Dariyaan Theen Sab Roshan 
Fazzaa Gham-Naak Thi Aur Kuch Bhi Na Tha Hawa K Siwa 

Shabb-e-Baraat Ka Manzar Tha Meri Aankhoon Mein 
Dhuwaan Tha Khaak Thi Kuch Bhi Na Tha Hawa K Siwa 

Hissaar-e-Zaat Se Nikla To Har Qadam Pe Wahaan 
Hawaa Hi Saath Thi Kuch Bhi Na Tha Hawa K Siwa

No comments: