Wednesday, 26 February 2014

Dil Mein Chubhay Na Jin K Kabhi Khaar Zeest K, Kia Un Pe Aashkar Hon Asraar Zeest K, Urdu Best Potery, Famous Urdu Poetry


Dil Mein Chubhay Na Jin K Kabhi Khaar Zeest K 
Kia Un Pe Aashkar Hon Asraar Zeest K 

Seekha Nahi Jinoh Ne Saliqa Kalaam Ka 
Taleem Karne Aaye Hein Atwaar Zeest K 

Zaiba Thi Jin Ko Zeest Jahan Se Guzar Gaye 
Hum Muft Mein Huey Hein Sazwaar Zeest K 

Q Hum Pe He Tamaam Hui Gham Ki Naimatein? 
Kia Ik Humi Huey Thay Gunehgaar Zeest K? 

Dekhi Hai Hum Ne Ronaq-e-Nairangi Hayaat 
Manzar Badal Chukey Hein Kai Baar Zeest K 

Chakhi Hai Hum Ne Muot Ki Lazzat Hazaar Baar 
Guzarey Hein Hum Pe Hadsay Do Chaar Zeest K 

Kaar-e-Hayat Reshmi Dhago'n Ka Khail Tha 
Uljhay To Phir Sulajh Na Sake Taar Zeest K 

Ik Aik Saans K Liy Kaasa Liye Phirein 
Aise Bhi Hum Nahi Hein Talabgaar Zeest K 

Rangeen Hai Hamare Lahoo Se Nissab-e-Zeest 
Unwaa'n Raqam Kiye Hein, Sar-e-Daar Zeest K 

Ab Aas Hai Na Koi Tamnna Na Justajoo 
Baqi Nahi Hein Zeest Mein Aasaar Zeest K 

Kia Zindagi Ka Rung Ho Janey Hamare Baad 
Hum Aakhri Amee'n Hein , Tarehdaar Zeest K

No comments: