Tuesday 17 December 2013

Ojhal sahi nigah se, dooba nahi hu main, best Urdu Ghazal, Urdu Ghazal, Urdu Ghazal Sms, Urdu Image Poetry,


Ojhal sahi nigah se, dooba nahi hu main, 
Aey Rat khabardar keh hara nhi hu main, 

Darpesh Subh-o-Sham yehi kash'makash hai ab, 
Us ka bano'n main kaise k apna nahi hun main, 

Mujh ko Farishta hone ka dawa nhi magr, 
Jitna bura samjhte ho utna nahi hun main. 

Is trha pher pher k baate'n na keejiye, 
Lehje ka rukh samjhta hu bacha nahi hu main, 

Mumkin nhi hai mujh se ye Tarz e Munafiqat,
Dunya tere mizaj ka banda nhi hu main

No comments: