Saturday 14 December 2013

Baat chali teri aankhon say ja pohanchi pemanay tak, Urdu Sad Poetry


Baat chali teri aankhon say ja pohanchi pemanay tak
kheinch rahi hai teri ulfat, aaj mujhey maikhanay tak

ishq ki batain ghum ki batain, dunya walay kertay hain
kis nay shama ka dukh dekha, kaun gaya parwanay tak

ishq nahin hay tum ko mujh say, sirf bahanay kerti ho
yun hi bahanay qaim rakhna, tum meray mar jaanay tak

itna hi kehna hay tum say, mumkin ho tou aa jaana,
aa hi gayee tou rukna ho ga, aankhon k pathranay tak

No comments: