Saturday, 1 March 2014

Uski Aankhen Hary Samandar Uski Batein Barf, Phir Bhi Naqsh Huwa Hai Dil Par Uska Ek Ek Harf, Urdu Best Poetry


Uski Aankhen Hary Samandar Uski Batein Barf 
Phir Bhi Naqsh Huwa Hai Dil Par Uska Ek Ek Harf 

Koi Bhary Kanton Sy Daman Koi Phool Chuny 
Apna Apna Daaman Sab Ka Apna Apna Zarf 

Uski Chaah Men Ranjha Ban Kar Bela Bela Ghoumy 
Dhoop K Is Sehra Men Apni Umr Huwi Hai Sarf 

Ik Doojy Ko Daikh Na Paye Barson Beet Gay 
Aankhon Ki Putli Men Likhy Reh Gay Kitny Harf 

Sookhy Dariyaon Ki Soorat Qatra Qatra Tarsy 
Jany Kab Chamky Ga Sooraj Kab Pighly Gi Barf

No comments: