Monday 24 March 2014

Kya likhun, Keh ab to thak chuki hun likh likh kar, Dard jo bhi sahay hain wo likhun, By parveen Shakir Ghazal


Kya likhun? 

Keh ab to thak chuki hun likh likh kar.. 
Dard jo bhi sahay hain wo likhun. 

Ya Dard dene wale ka hosla likhun? 
Ya apni bebasi ka falsafa likhun? 
Ya us k door honay tak ka faasla likhun? 

Aakhir kya likhun? 

Ab to dard itna honay laga hy, 
k dil phata jata hai 

Q hota hai dard mujhe? 
kya wo haadsa likhun? 

Ya kuch na likhun aur tor dun Qalam? 
Ya ye likhun k ab mujhe marne ka shoq hy? 

Lekin maroon bhi to kis k liye? 

Kon hai jo mujhe kandha dega? 
Kon hai jo mujhe yad karega? 

Wo?? 
Jo jeete jee baat nahi karte 
Ya Wo?? 
Jo bhule se bhi yaad nahi karte 

              ---PARVEN SHAKIR---

No comments: