Friday 21 March 2014

Jab bhi do Aansu Nikal kar reh gaye, dard ek Unwan badal kar reh gaye, Sad Urdu Poetry


Jab bhi do Aansu Nikal kar reh gaye, 
dard ek Unwan badal kar reh gaye, 

Kitni faryadain Labon Par Ruk gayen , 
kitny Aashk Aahon may dhal kar reh gaye, 

Rukh badal jana meri taqdir ka 
Aap he taivar badal kar Reh gaye 

Khul k Rone ki tamanna thi hamay 
Aek do Ansu Nikal kar Reh gaye 

Zindagi bhar Sath dena tha jinhen , 
Do qadam hamrah Chal kar reh gaye. 

Tere Andaz-e tabssum ka fasoon 
Hadsy pehlu badal kar Reh gaye.

No comments: