Thursday 3 April 2014

Bus ik maafi ab hamari Tauba, Kabhi jo ham ab satayein tum ko, Urdu Heart Touching Poetry


Bus ik maafi ab hamari Tauba... 
Kabhi jo ham ab satayein tum ko

Lo hath jorray, Lo kaan pakrray, 
Ab aur kaisay manayein tum ko.... 

Tumharay aatay hi is nagar say, 
Hamein raqabat si ho gayei hy,, 

Main ye sharrakat bhi kaisay seh loon, 
K chhoo rahi hain hawaein tum ko.... 

Tum aaeina ho aur 
Sang-bari yahan k logon ka mashghalla hy,, 

Har aiK pathar sy dhaal ban kar, 
Bhala kahan tak bachaein tum ko.... 

Tou kya tum ab tak hamari nazron k 
sub taqazon sy bay-khabar ho ? 

Hamain mohabbat hy Tum se 
Ab aur kaisay bataein tum ko

No comments: