Sunday, 2 June 2019

Koi shikva to zer-e-lab hoga, kuch KhamoshI ka bhi sabab hoga, mai bhi huun bazm mein raqib bhi hai, Akhiri faisla to ab hoga, by Mirza Ghalib, best urdu ghazal, best urdu poetry, sad urdu ghazal


Koi shikva to zer-e-lab hoga
kuch KhamoshI ka bhi sabab hoga 


mai bhi huun bazm mein raqib bhi hai 
Akhiri faisla to ab hoga 

aaien mai-Khane mein kabhi vaaiz 
huur bhi hogi aur sab hoga 

bol aai mere dil ki tareeki 
tera suraj toluu kab hoga 

sunta hoga sadaaien us dil ki 
sham-e-tanhaai mein vo jab hoga 

kab chhatengi ye badliyaan ġham ki
saaf matlaa ye 'JOSH' kab hoga 

No comments: