Sunday 24 August 2014
Wednesday 20 August 2014
Uski kaali aankhon me hen antar mantar sab, chaqu waaqu, chhuriyan vuriyan, khanjar vanjar sab, Urdu Poetry
Uski kaali aankhon me hen antar mantar sab...
chaqu waaqu, chhuriyan vuriyan, khanjar vanjar sab...
jis din se wo ruthey mujh se, ruthey ruthey hen...
chaadar vaadar, takiya vakiya, bistar vistar sab...
mujh se bichar k wo b kahan ab pehle jesa he...
pheekey par gaye, kapre vapre, zevar shevar sab...
akhir me kis din doobun ga...? fikren krte rehte hen...
darya varya, kashti vashti, langar vangar sab...
Ye mizaaj-e-yaar ko kya hua? unhen mujh se pyar he aaj kal, Urdu Image Poetry
Ye mizaaj-e-yaar ko kya hua...?
unhen mujh se pyar he aaj kal
meri justuju, meri guftugu...
mera intezar he aaj kal...
wo tere khatoot nikalna...
kabhi dekhna kabhi choomna...
yehi mashghala, yehi silsila...
yehi kaarobaar he aaj kal...
isey qatl kar, usay qatl kar...
tujhe 7 khoon maaf hen...
teri saltanat, tera dabdaba...
tera iqtedaar he aaj kal...
abhi kal to tu gunahgaar tha...
aray kaif tujh ko ye kya hua...?
bara mazhabi, bara paarsa...
bara deendaar he aaj kal...
Tum jb b ghar pr atey ho, or sab se baten krte ho, me oat se pardey ki jaana, bs tumko dekhti rehti hun, Urdu best Romantic Ghazal, Best Poetry, Urdu Heart Touching Poetry
Tum jb b ghar pr atey ho, or sab se baten krte ho...
me oat se pardey ki jaana, bs tumko dekhti rehti hun...
ek tumko dekhne ki khatir, me kitni pagal hoti hun...
me esi mohabbat krti hun, tum kesi mohabbat krtey ho...??
jab darwaze pe dastak ho, ya ghanti fon ki bajti ho...
me chhor k sab kuch bhagti hun, pr tumko jab na paati hun...
ji bhar k roney lgti hun, me esi mohabbat krti hun, tum kesi mohabbat krtey ho...??
mujhe thandak raas nahi aati, mujhe barish se khauf ata he...
per jis din se maloom hua, ye mausam tumko bhata he...
ab jab b sawan ata he, barish me bheegti rehti hun...
qatron me tumhi ko dhundti hun, boondon se tumhara puchti hun...
me esi mohabbat krti hun, tum kesi mohabbat krtey ho...??
sherein b nahi , laila b nahi, me heer nahi azra b nahi...
wo qissa he afsaney hen, is shiddat se beganey hen...
me zinda ek haqiqat hun, sar ta pa jazba e ulfat hun...
me tumko dekh k jeeti hun, her lamha tum pe marti hun...
me esi mohabbat krti hun, tum kesi mohabbat krtey ho...??
mehfil me kahin jab jana ho, kapron ka chunaao krna ho...
rangon ki dhanak c bikhri ho, us rang pe dil a jata he...
wo rung jo tumko bhata he, me esi mohabbat krti hun, tum kesi mohabbat krtey ho...??
sab kehte hen is dunya ka, hr rung tumhi se roshan he...
mere ishq k daawe daar hen sab, sab mujhko devi kehte hen...
pr mujhko esa lgta he, her rung tumhi pe jachta he...
tum na ho to berang hun me, beronaq he taswir meri...
tum khaab mera, tabeer meri, tum se juri taqdeer meri...
jo khaak tumhe chhuu jati he, us matti pe marti hun...
me esi mohabbat krti hun, tum kesi mohabbat krtey ho...??
tum jab bhi saamne atey ho, me tum se sunna chahti hun...
ay kaash kabi tum ye keh do, tum mujh se mohabbat krte ho...
tum mujh ko behad chahte ho, lekin tum janey q chup ho...
ye soch k dil ghabrata he, kahin esa to nahi he na...?
sab meri nazar ka dhoka ho, tum ne mujhe chaha hi na ho...
koi r hi dil me basta ho, me tum se puchna chahti hun...
me tum se kehna chahti hun, lekin kuch puch nahi sakti...
mana k mohabbat he phir b, lab apne khol nahi skti...
khaabon me bohat kuch bolti hun, pr samne chup hi rehti hun...
me larki hun kese keh dun...?me kesi mohabbat krti hun...
me tumse kese ye puchun...?tum kesi mohabbat krtey ho...
me esi mohabbat krti hun, tum kesi mohabbat krtey ho...??
Sunday 17 August 2014
Koi kaanta mere dil mein chubho jaye to acha hai, Hamesha ke liye woh mujhse kho jaye to acha hai, Urdu Image Poetry, Best Urdu Poetry
Koi kaanta mere dil mein chubho jaye to acha hai,
Hamesha ke liye woh mujhse kho jaye to acha hai,
Rakhen ge is tarah dhoke se kab tak khawab ankhon mein,
Jo hona kal hai woh sab aaj ho jaye to acha hai,
Kabhi sheher-e-tamana ne kabhi kisi ne phool paaye kya,
Yeh titlee soch kar kaanton per so jaye to acha hai,
Kayi din se mere ghar ke dar-o-deewar hain viraan,
Kisi ke wasl ki baarish jo ho jaye to acha hai,
Jahan par phool khilte they wahan ab khaak urrti hai,
Mere seeney pe jugnu beej bo jaye to acha hai,
Mein pathar ho gaya hoon gham se aesa reh nahin sakta,
Agar barish mera chehera bhigo jaye to acha hai,
Yeh maana hijrtain is gaaon se zaroori hain,
Meri basti mere andar samo’o jaye to acha hai,
Mein ab ke chahta hoon yeh ke is saawan jo barish ho,
Puraney mausmon ke rang dho jaye to acha hai,
Bhanwar se bheek mangey ga? Teri fitrat nahin Sahir,
Tu kashti aap hi apni dabo’o jaye to acha hai…
Saturday 16 August 2014
Usne Door Rehne Ka, Mashwara Bhi Likha Hai Sath Hi Mohabbat Ka, Wasta Bhi Likha Hai, Urdu Image Poetry, Heart Touching Poetry
Usne Door Rehne Ka,
Mashwara Bhi Likha Hai
Sath Hi Mohabbat Ka,
Wasta Bhi Likha Hai
Usne Yeh Bhi Likha Hai,
Mere Ghar Nahin Aana
Saaf-saaf Lafzon Mein,
Raasta Bhi Likha Hai
Kuchh Huroof Likhe Hain,
Zabt Ki Naseehat Mein
Kuchh Huroof Mein Uss Ne,
Haunsla Bhi Likha Hai
Shukria Bhi Likha Hai,
Dil Se Yaad Karne Ka
Dil Se Dil Ka Hai Kitna,
Faasla Bhi Likha Hai
Kya Use Likhain Ae Dost,
Kya Use Kahain Ae Dost
Jisne Kar Ke Be-Jaan,
Phir Jaan-e-Jaan Bhi Likha Hai.
Friday 15 August 2014
Yeh wo jagah hai jis par kabhi Khailay thay hum tum Mil kar sabhi Beeti hoi unn yadon mai, Yaadon mai tu, Urdu Songs Lyrics,
Yeh wo jagah hai jis par kabhi
Khailay thay hum tum
Mil kar sabhi
Beeti hoi unn yadon mai
Pyaari pyaari unn baaton mai
Dhoondhoon tujhe har taraf
Dhoondhoon tujhe apna khwabon mai
Yaadon mai tu
Yaadon mai tu
Yaadon mai tu
Yaadon mai tu
Masoom sae hum khushion bharay
Inn titliyon kae sung urtay chalay
Jaanay kahan yeh sab kho gaey
Ub yeh dua hai
Yoon he rahain hum
Mil kar sabhi
Chutay na ub yeh
Saath kabhi
Iss dosti ki chaoon talay
Sab mushkilon mai hum saath chalay
Ik dosray sae khushi sabhi
Dil yeh kahay ( hoOo )
Yeh wo jagah hai jis par kabhi
Khailay thay hum tum
Mil kar sabhi
Beeti hoi unn yadon mai
Pyaari pyaari unn baaton mai
Dhoondhoon tujhe har taraf
Dhoondhoon tujhe apna khwabon mai
Wednesday 13 August 2014
Ishq Ka Pehla Baab Likhta Hon, Zikar Husan Shabab Likhta Hon, urdu Best Image Poetry, Urdu Romantic Poetry
Ishq Ka Pehla Baab Likhta Hon,
Zikar Husan Shabab Likhta Hon,
Un Ki Nazron K Teer Sehta Hon,
Zakham-E-Dil Ko Gulab Likhta Hon,
Hosh Jate Hein Un Ki Amad Se,
Us Nazar Ko Sharab Likhta Hon,
Mil Ke Bichre Hein Jab Se Wo Mujh Se,
Zakham Sehta Hon Khawab Likhta Hon,
Jab Se Paya Hai Hijar Ka Lamha,
Bekhudi Ka Hisab Likhta Hon,
Raat K Un Udaas Lamhon Mein,
Husan Walon Ka Baab Likhta Hon,
Mein B Pagal Howa Hon SAGaR
Mohhabat Ko Azaab Likhta Hon
Friday 8 August 2014
Jo Hoty Hain faqat chahe jane k Qabil Wo Log nahi hoty bhulaye jane k Qabil, best image poetry
Jo Hoty Hain faqat chahe jane k Qabil
Wo Log nahi hoty bhulaye jane k QabiL
Tera khaloos apni jaga,
meri mjbori b samjh !
Kuch dukh nhi hoty btaye jane k QabiL !
Ay sagar ki Lehro zara dehaan se paltna !
Kuch thikane nahi hoty mitaye jane k QabiL
Jumbish-e-Lab zrori nahi
ankhein bhi keh deti hain
Kuch jazbaat nahi hoty chupaye jane k QabiL
Wo Sooli charh gya ye keh kar
Kuch sir nahi hoty jhukaye jane k Qabil
Mene Haq e Mohabat ada Kiya Na Kabi Kisi se gila Kiya, MuJe aJab isKa sila mila MuJe dil se sb ne bhula dia, urdu image poetry
Mene Haq e Mohabat ada Kiya
Na Kabi Kisi se gila Kiya
MuJe aJab isKa sila mila
MuJe dil se sb ne bhula dia
Mohabaton Ki Kitab Ka
Hr eK warq Jala dia
Wo Jo arzo Ka chragh tha
Use nafraton ne buJha dia
MuJe zakhm phir eK naya dia
MuJe is MOHABAT ne Kya dia
Wo Jo Kehty the Khush raho
Wo Jo Kehty the meri Jan ho
Hr lamha bas tum hansa Kro
MuJe aaJ unhon ne rula dia
Mera nishan taK mita dia
MuJhe Is Mohabbat ne
Thursday 7 August 2014
Mein hoon mashhoor ishq baazi mein Khaasa dard-o-gham majaazi mein, Urdu Best Poetry
Mein hoon mashhoor ishq baazi mein
Khaasa dard-o-gham majaazi mein
Woh meh dey dey, jo pehlay shibli aur mansoor ko di thee
Toh baydam bhi, nisar-e-murshid-e-meh khana ho jaye
Mattab-e-ishq ka dastoor nirala dekha
Uss ko chutti na milli jis nay sabaq yaad kiya
Maqani hoon, maqani hoon, kay azad-e-makaan hoon
Jahan hoon khud saara jahan hoon
Woh apni laa-maqani mein rahain mast
Mujhay itna bata dey mein kahan hoon
Arz-o-sama kahan teri wussat ko paa sakay
Mera hee dil hai jahan tu sama sakay
Yahan hona naa hona hai,
Yahan hona naa hona hai,
Naa hona hai,
Yahan hona naa hona hai,
Yahan hona naa hona hai,
Jissay hona ho kuch khaati darri jaana ho jae
Toh baydam bhi, nisar-e-murshid-e-meh khana ho jaye
Mattab-e-ishq ka dastoor nirala dekha
Uss ko chutti na milli jis nay sabaq yaad kiya
Maqani hoon, maqani hoon, kay azad-e-makaan hoon
Jahan hoon khud saara jahan hoon
Woh apni laa-maqani mein rahain mast
Mujhay itna bata dey mein kahan hoon
Arz-o-sama kahan teri wussat ko paa sakay
Mera hee dil hai jahan tu sama sakay
Yahan hona naa hona hai,
Yahan hona naa hona hai,
Naa hona hai,
Yahan hona naa hona hai,
Yahan hona naa hona hai,
Jissay hona ho kuch khaati darri jaana ho jae
Dayaar-e-dil Ki Raat Mai Chirag Sa Jala Gaya Mila Nahi Toh Kya Hua ? Woh Shakal Toh Dikha Gaya, Urdu Image Poetry
Dayaar-e-dil Ki Raat Mai Chirag Sa Jala Gaya
Mila Nahi Toh Kya Hua ? Woh Shakal Toh Dikha Gaya
Judaiyon Kay Zakhamou-dard Zindagi Nay Bhar Diyee
Usay Bhi Neend Aa Gai , Mujhey Bhi Sabar Aa Gaya
Woh Dosti Toh Khair Ab Naseeb Dushmana Hui
Woh Choti Choti Ranjishon Ka Lutf Bhi Chala Gaya
Pukaarti Hain Fursatain, Kahan Gayin Wo Sohbatain
Zameen Nigal Gai Unhain, Keh Asmaan Kha Gaya ?
Yeh Subah Ki Safaidiyan, Yeh Dopeher Ki Zardiyan
Mai Aainay Mai Dhoondhta Hun, Mai Kahan Chala Gaya ?
Yeh Kis Khushi Kay Rait Par Ghamon Ko Neend Aa Gai
Woh Leher Kis Taraf Gai ? Yeh Mai Kahan Sama Gaya ?
Jo Aur Kuch Nahi Toh Koi Taaza Dard Hi Milay
Mai Aik Hi Tarhan Ki Zindagi Say Tang Aa Gaya.
Tuesday 5 August 2014
Itna Sa Yaad Rakh Mujhey, Jaisey Kisi Kitab Mein, Beetay Dino K Dost Ka, Ek Khat Para Milay, urdu image poetry,
Itna Sa Yaad Rakh Mujhey,
Jaisey Kisi Kitab Mein,
Beetay Dino K Dost Ka,
Ek Khat Para Milay,
Lafz Mity Mity Se Hon,
Rang Ura Ura Sa Ho,
Lekin Ajnabi Na Ho,
Bholey Huway Tamam Dukh,
Guzray Huway Tamam Sukh,
Beety Dino Ka Sab Kuch,
Tujh Sey Kahey Or Ro Pary,
Bas Itna Sa Yaad Rakh Mujhe,
K Jab Kabhi Baat-Be-Baat,
Yaad Humari Aa Jae,
Tu Thora Sa Muskura Lena,
Aur Dil Ko Ye Samjha Lena,
Nadan Sa Tha Par Acha Tha,
Ik Dost Humara Sacha Tha
Saturday 2 August 2014
Ajnabi Shahar kay ajnabi rastay, meri tanhaayi per muskuraty rahay, urdu image poetry, sad ghazal
Ajnabi Shahar kay ajnabi rastay,
meri tanhaayi per muskuraty rahay,
Mai bohut dair tak yunhi chalta raha
tum bohut dair tak yaad aatay rahay.
tum bohut dair tak yaad aatay rahay.
Zahar milta raha Zahar peetay rahay.
roz martay rahay roz jeetay rahay.
roz martay rahay roz jeetay rahay.
Zindagee bhi hamain azmaatee rahi.
aur hum bhi ussay aazmatay rahay.
aur hum bhi ussay aazmatay rahay.
Ajnabi Shahar kay ajnabi rastay,
meri tanhaayi per muskuraty rahay.
meri tanhaayi per muskuraty rahay.
Zakham jub bhi koi zehan-o-dil per laga...
zindagi ki taraf ik dareecha khulla...
zindagi ki taraf ik dareecha khulla...
Hum bhi goya kissi saaz kay taar hain.
chot khatay rahay muskuratay rahay...
chot khatay rahay muskuratay rahay...
Ajnabi Shahar kay ajnabi rastay,
meri tanhaayi per muskuraty rahay..
meri tanhaayi per muskuraty rahay..
kal kuch aisa hua mai bohut thuk gaya.
is liye sun kay bhi unsuni kar gaya.
is liye sun kay bhi unsuni kar gaya.
kitni yaadon kay bhatkay huy kaarvan
dil key zakhmon kay dar khatkhtaaty rahay.
dil key zakhmon kay dar khatkhtaaty rahay.
Ajnabi Shahar kay ajnabi rastay....,
meri tanhaayi per muskuraty rahay...
meri tanhaayi per muskuraty rahay...
Tujhe zindagi ka shaoor tha, tera kya bana Tu khamosh kyun hai mujhe bata, tera kya bana, urdu sad poetry
Tujhe zindagi ka shaoor tha, tera kya bana
Tu khamosh kyun hai mujhe bata, tera kya bana
تجھے زندگی کا شعور تھا، تیرا کیا بنا؟
تُو خاموش کیوں ہے مجھے بتا، تیرا کیا بنا؟
تُو خاموش کیوں ہے مجھے بتا، تیرا کیا بنا؟
نئی منزلوں کی تلاش تھی سو تُو بچھڑ گیا
میں بچھڑ کے تجھ سے بھٹک گیا، تیرا کیا بنا؟
مجھے علم تھا کہ شکست میرا نصیب ہے
تُو امیدوار تھا جیت کا، تیرا کیا بنا؟
میں مقابلے میں شریک تھا فقط اس لئے
کوئی آتا مجھ سے یہ پُوچھتا، تیرا کیا بنا؟
جو نصیب سے میری جنگ تھی وہ تیری بھی تھی
میں تو کامیاب نہ ہو سکا، تیرا کیا بنا؟
تجھے دیکھ کر تو مجھے لگا کہ خوش ہے تُو
تیرے بولنے سے پتہ چلا، تیرا کیا بنا؟
میں الگ تھا اس لئے مجھے سزا ملی
تُو بھی دوسروں سے تھا کچھ جُدا، تیرا کیا بنا؟
Agar wo meherban hota, To meri ankhon mein na jhilmilati ye nami hoti, best urdu poetry, urdu ghazal
Agar wo meherban hota,
To meri ankhon mein na jhilmilati ye nami hoti,
Na mere dil ki wadi mai khizaan ka qaafla rukta,
Agar woh meherbaan hota,
Meri be-noor ankhon main,
sitarey qaed ker deta,
Meri zakhmi hatheli par wo koi phool rakh deta,
Mere hathon ko apne hathon main le kar wo ye kehta,
"Mohabat roshni hai,rang hai,khushbu,sitara hai,
Qasam mujhko mohabbat ki,
Mujhe tu sab se pyara hai"
Magar aisa woh tab kehta
Agar woh meherban hota..
Toottay girtay hoe ghar nahi dekhe jate, Baddua jese ye manzar nahi dekhe jate, Urdu Poetry
Toottay girtay hoe ghar nahi dekhe jate
Baddua jese ye manzar nahi dekhe jate
ٹوٹتے گرتے ہوئے گھر نہیں دیکھے جاتے
بددعا جیسے یہ منظر نہیں دیکھے جاتے
پھول چہروں پر یہ کھنڈر نہیں دیکھے جاتے
آنکھ سے خوف کے پیکر نہیں دیکھے جاتے
گِرگئی دستِ دعا گنبد و مینار کے ساتھ
خاک ہوتے ہوئے منبر نہیں دیکھے جاتے
زندگی رلتی رہی کیسی قضا کے ہاتھوں
اور احوال ستم گر نہیں دیکھے جاتے
قہر برستی ہے چشم فلک روتی ہے
جو بھی ہے اس کے تیور نہیں دیکھے جاتے
برفباری کا جہنم بھی چلا آتا ہے
منجمند ہوتے مقدر نہیں دیکھے جاتے
دیکھتے دیکھتے آنکھوں میں اتر آتے ہیں
اور غم کے سمندر نہیں دیکھے جاتے
دیکھتے رہتے ہیں ہر حال میں پھر بھی حیدر
اگرچہ ٹی وی کے مناظر نہیں دیکھے جاتے
بددعا جیسے یہ منظر نہیں دیکھے جاتے
پھول چہروں پر یہ کھنڈر نہیں دیکھے جاتے
آنکھ سے خوف کے پیکر نہیں دیکھے جاتے
گِرگئی دستِ دعا گنبد و مینار کے ساتھ
خاک ہوتے ہوئے منبر نہیں دیکھے جاتے
زندگی رلتی رہی کیسی قضا کے ہاتھوں
اور احوال ستم گر نہیں دیکھے جاتے
قہر برستی ہے چشم فلک روتی ہے
جو بھی ہے اس کے تیور نہیں دیکھے جاتے
برفباری کا جہنم بھی چلا آتا ہے
منجمند ہوتے مقدر نہیں دیکھے جاتے
دیکھتے دیکھتے آنکھوں میں اتر آتے ہیں
اور غم کے سمندر نہیں دیکھے جاتے
دیکھتے رہتے ہیں ہر حال میں پھر بھی حیدر
اگرچہ ٹی وی کے مناظر نہیں دیکھے جاتے
Subscribe to:
Posts (Atom)