Saturday 2 August 2014

Ajnabi Shahar kay ajnabi rastay, meri tanhaayi per muskuraty rahay, urdu image poetry, sad ghazal



Ajnabi Shahar kay ajnabi rastay,

meri tanhaayi per muskuraty rahay,


Mai bohut dair tak yunhi chalta raha
tum bohut dair tak yaad aatay rahay.
Zahar milta raha Zahar peetay rahay.
roz martay rahay roz jeetay rahay.
Zindagee bhi hamain azmaatee rahi.
aur hum bhi ussay aazmatay rahay.
Ajnabi Shahar kay ajnabi rastay,
meri tanhaayi per muskuraty rahay.
Zakham jub bhi koi zehan-o-dil per laga...
zindagi ki taraf ik dareecha khulla...
 
Hum bhi goya kissi saaz kay taar hain.
chot khatay rahay muskuratay rahay...
Ajnabi Shahar kay ajnabi rastay,
meri tanhaayi per muskuraty rahay..
kal kuch aisa hua mai bohut thuk gaya.
is liye sun kay bhi unsuni kar gaya.
kitni yaadon kay bhatkay huy kaarvan
dil key zakhmon kay dar khatkhtaaty rahay.
Ajnabi Shahar kay ajnabi rastay....,
meri tanhaayi per muskuraty rahay...

No comments: