Friday, 29 November 2013

Zindagi Ke Mele Main, Khwahisho Ke Rele Main, Amjad Islam Amjad, Azad Nazm, Amjad Islam Amjad Poetry, urdu poetry, Images Poetry, Poetry with Images, Urdu Heart Touching Poetry,


Zindegi Ke Mele Main
Khwahisho Ke Rele Main

Tum Se Kya Kahe Jaana
Is Qadar Jhamele Main

Waqt Ki Ravaani Hai
Bakht Ki Giraani Hai

Sakht Bezamini Hai
Sakht Laamakaani Hai

Hijr Ke Samandar Main
Takht Aur Takhte Ki

Ek Hi Kahani Hai
Tum Ko Jo Sunaani Hai

Baat Go Zara Si Hai
Baat Umr Bhar Ki Hai

Umr Bhar Ki Baate Kab
Do Ghadi Main Hoti Hain

Dard Ke Samandar Main
Anginat Jazeere Hain

Beshumaar Moti Hain
Aankh Ke Dariche Main

Tum Ne Jo Sajaaya Tha
Baat Us Diye Ki Hai

Baat Us Gile Ki Hai
Jo Lahu Ki Khilvat Main

Chor Ban Ke Aata Hai
Lafz Ke Fasilon Par

Tut Tut Jaata Hai
Zindegi Se Lambi Hai

Baat Rat Jage Ki Hai
Raaste Main Kaise Ho

Baat Takhliye Ki Hai
Takhliye Ki Baaton Main

Guftgu Izaafi Hai
Pyaar Karne Vaalon Ko

Ik Nigaah Kaafi Hai
Ho Sake To Sun Jaao

Ek Din Akele Main
Tum Se Kya Kahe Jaanaan

Is Qadar Jhamele Main...

No comments: