Kaha Tha Kis Ne Ke Ahad-E-Wafa Karo Us Se
Jo Yun Kiyaa Hai To Phir Kyun Gila Karo Us Se
Ye Ahal-E-Baz Tunak Hausala Sahi Phir Bhi
Zara Fasana-E-Dil Ibtida Karo Us Se
Ye Kya Ke Tum Hi Gam-E-Hijr Ke Fasane Kaho
Kabhi To Us Ke Bahane Suna Karo Us Se
Naseeb Phir Koi Taqrib-E-Qarb Ho Ke Na Ho
Jo Dil Main Hon Wahi Baatain Kiya Karo Us Se
‘Faraz’ Tark-E-Ta’alluq To Khair Kya Hoga
Yahi Bahut Hai Ke Kam Kam Mila Karo Us Se
No comments:
Post a Comment