Saturday, 30 November 2013

Hui Hai Shaam To Aankhon Main Bas Gaya Phir Tu, Kahan Gaya Hai Mere Shahar Ke Musafir Tu, Ahmed Faraz Poetry, Ahmed Faraz Ghazal, Ahmed Faraz Shairi


Hui Hai Shaam To Aankhon Main Bas Gaya Phir Tu
Kahaan Gaya Hai Mere Shahar Ke Musafir Tu

Bohat Udaas Hai Ik Shakhs Tere Jaane Se
Jo Ho Sake To Chala Aa Usi Ki Khaatir Tu

Meri Misaal Ki Ik Nakhl-E-Khushk-E-Saharaa Hoon
Tera Khayaal Ki Shaakh-E-Chaman Ka Taair Tu

Main Jaanta Hoon Ke Duniya Tujhe Badal Degi
Main Maanta Hoon Ke Aisa Nahin Bazaahir Tu

Hansi Khushi Se Bichad Ja Agar Bichadana Hai
Ye Har Maqaam Pe Kya Sochta Hai Aakhir Tu

‘Faraz’ Tune Use Mushkilon Main Daal Diya
Zamaana Saahib-E-Zar Aur Sirf Shaayar Tu

No comments: