Mohabbat Ki Tabiyat Main
Ye Kaisa Bachpana Qudrat Ne Rakha Hai
Ke Jitni Purani Jitni Bhi Mazbut Ho Jaaye
Ise Taaid-E-Taza Ki Zaruurat Phir Bhi Rahti Hai
Yaqeen Ki Aakhri Had Tak Dilon Main Lahlahati Ho
Nigaahon Se Tapakti Ho Lahu Main Jagmagaati Ho
Hazaaron Tarah Se Dilkash Haseen Haale Banaati Ho
Use Izhaar Ke Lafzon Ki Haajat Phir Bhi Rahti Hai
Mohabbat Maangti Hai Yun Gavaahi Apne Hone Ki
Ke Jaise Tifl-E-Saada Shaam Ko Ik Beej Boye
Aur Shab Main Baura Uthe
Zameen Ko Khod Kar Dekhe
Ke Paudha Ab Kahaan Tak Hai
Mohabbat Ki Tabiyat Main Ajab Takraar Ki Khu Hai
Ke Ye Iqraar Ke Lafzon Ko Sunane Se Nahin Thakati
Bichadne Ki Ghadi Ho Ya Koi Milne Ki Saat Ho
Ise Bas Ek Hi Dhun Hai
Kaho Mujh Se Mohabbat Hai
Kaho Mujh Se Mohabbat Hai
Kuchh Aisi Besakuni Hai Wafa Ki Sarzamino Main
Ke Jo Ahal-E-Mohabbat Ko Sadaa Bechain Rakhti Hai
Ke Jaise Phool Main Khushboo Ke Jaise Haath Main Taara
Ke Jaise Shaam Ka Taara
Mohabbat Karne Waalon Ki Sahar Raaton Main Rahti Hai
Gumnaam Ke Shaakhchon Main Aashiyaan Banata Hai Ulfat Ka
Ye Ain Visaal Main Bhi Hijr Ke Khadshon Main Rahti Hai
Mohabbat Ke Musaafir Zindegi Jab Kaat Chukate Hain
Thakan Ki Karachiyaan Chunte Wafa Ki Ajrake Pahne
Samay Ki Rahguzar Ki Aakhiri Sarhad Pe Rukte Hain
To Koi Dubti Saanson Ki Dori Thaam Ker
Dheere Se Kahta Hai
Ke Ye Sach Hai Na
Hamari Zindegi Ik Dusre Ke Naam Likhi Thi
Dhundhalakaa Sa Jo Aankho Ke Qareeb-O-Dur Phaila Hai
Isi Ka Naam Chahat Hai
Tumhe Mujh Se Mohabbat Thi
Tumhe Mujh Se Mohabbat Hai
Mohabbat Ki Tabiyat Main
Ye Kaisa Bachpana Qudrat Ne Rakha Hai
No comments:
Post a Comment