Zaahir ki nazar se to yaha har koi dekhe ,
andar ke Jahaan ke bhi manzar koi dekhe,
kya Us ko nazar aaye juz asnam gari ke ,
ayena e Hasti se jo hat kar koi to dekhe ,
mujh par hi Khile us rukh mehtab ke parde,
mere siwa us chehre Ko kyu kar koi dekhe ,
qaatil ka bayaan or hai shahid ka bayaan or ,
maqtool ki ankho se bhi to manZar koi dekhe ,
ik soch Hai gar yun na hua to kya hoga ,
ik aas hai shayad Mujhe murh kar koi dekhe,
is haal main hai essa aqsa rooh e Afshan ,
Ae khama e bismil tere tewar koi dekhe ,
naadan Kisi sher ki gehrayi ko pana essa hai ,
esse Hai hai ke qatre main samundar koi dekhe...
No comments:
Post a Comment