Aah ko chahiye ik omer asar hone tak
kon jeeta hai teri zulf ke sir hone tak
daam har moj mai hai, halqa sad kaam-e-neheng
dekhen kya guzre hai qatre pe geher hone tak
Aashiqui sabar talab or tamanna betaab
dil ka kya rang karon khoon.e.jigar hone tak
humne mana keh taghafil na karogay lekin!
khaak hojaingey hum tum ko khabar hone tak
per tu hoor se hai shabnam ko fana ki taleem
mai bhi hon ek enayat ki nazar hone tak
ik nazar pesh nahi fursat.e.hasti ghafil
garmi bazam hai ik raqs.e.sharar hone tak
ghum.e.hasti ka Asad kis se ho juz marg.e.elaj
shama har rang mai jalti hai seher hone tak...
3 comments:
BEST POETRY
please upload more poetry like this
Visit Our Web Mirza ghalib,And other New 2020 write
Post a Comment