Haath Uthe Hain Magar Lab Pe Dua Koi Nahin
Ki Ibaadat Bhi Vo Jis Ki Jaza Koi Nahin
Ye Bhi Waqt Aana Tha Ab To Gosh Har Aawaz Hai
Aur Mere Barbaad-E-Dil Main Sada Koi Nahin
Aa Ke Ab Taslim Kar Le Tu Nahin To Main Sahi
Kaun Maanega Ke Ham Main Bewafa Koi Nahin
Waqt Ne Wo Khaak Udaai Hai Ke Dil Ke Dasht Se
Qaafile Guzare Hain Phir Bhi Naqsh-E-Paa Koi Nahin
Khud Ko Yoon Mahasur Kar Baithaa Hoon Apni Zaat Main
Manzile Chaaron Taraf Hai Raasta Koi Nahin
Kaise Raaston Se Chale Aur Kis Jagah Pahunche ‘Faraz’
Yaa Hujoom-E-Dostaan Tha Saath Ya Koi Nahin
No comments:
Post a Comment