Dost Ban Kar Bhi Nahi Saath Nibhaane Wala
Wahi Andaaz Hai Zaalim Ka Zamaane Wala
Ab Ise Log Samajhte Hain Giraftaar Mera
Sakht Nadim Hai Mujhe Daam Main Lane Waala
Kya Kahe Kitne Maraasim The Hamaare Is Se
Wo Jo Ik Shakhs Hai Muunh Pher Ke Jaane Waala
Tere Hote Hue Aa Jaati Thi Saari Duniya
Aaj Tanha Hoon To Koi Nahi Aane Waala
Muntazir Kis Ka Hoon Tuuti Hui Dahliz Pe Main
Kaun Aayega Yaha Kaun Hai Aane Waala
Main Ne Dekha Hai Bahaaron Main Chaman Ko Jalate
Hai Koi Khwaab Ki Taabir Bataane Waala
Kya Khabar Thi Jo Meri Jaan Main Ghula Hai Itana
Hai Vahi Mujh Ko Sar-E-Daar Bhi Laane Waala
Tum Takalluf Ko Bhi Ikhlaas Samajhte Ho ‘Faraz’
Dost Hota Nahi Har Haath Milaane Waala
No comments:
Post a Comment