Ishq ko mohabat ko be amman nahi karte
Dil se nikli chahat ko Raiga nahi karte
Ik zara hararat se wo to pighal jate hain
Moom ke darichon ko aashia-n nahi karte
Aaj jal ke dekhain ge sach ke jalte suraj main
Aaj uske daman ko Saiba nahi karte
Jane kia aziyat he khod main jalte rehne ki
Kis tarah wo jalte hain jo dhuwa-n nahi karte
Kia hua jo sach na hoe khuab to hamare hain
Khaub gar adhore hon youn zia-n nahi karte
Ye to apni qismat he kis lie tumhain gham he
Dukh hamare jalne ka jan-e-jaa-n nahi karte
Mera sath mat chaho main to khod hi tanha hon
Ik lute musafir ko karwa-n nahi karte
No comments:
Post a Comment