Saturday, 30 November 2013

Khamosh Ho Kyon Daad-E-Jafaa Kyun Nahin Dete Bismil Ho To Qaatil Ko Dua Kyun Nahin Dete, Ahmed Faraz Poetry, Ahmed Faraz Ghazal, Ahmed Faraz Shairi


Khamosh Ho Kyon Daad-E-Jafaa Kyun Nahin Dete
Bismil Ho To Qaatil Ko Dua Kyun Nahin Dete

Wahshat Ka Sabab Ruzan-E-Zindaa To Nahin Hai
Mahar-O-Maah-O-Anjum Ko Bujha Kyun Nahin Dete

Ik Ye Bhi To Andaaz-E-Ilaaj-E-Gham-E-Jaan Hai
Ai Charagaro Dard Badha Kyun Nahin Dete

Munsif Ho Agar Tum To Kab Insaaf Karoge
Mujarim Hai Agar Ham To Saza Kyun Nahin Dete

Rahzan Ho To Haazir Hai Mataa-E-Dil-O-Jaan Bhi
Rahbar Ho To Manzil Ka Pata Kyun Nahin Dete

Kya Bit Gai Ab Ke ‘Faraz’ Ahal-E-Chaman Par
Yaaran-E-Qafas Mujh Ko Sada Kyun Nahin Dete

No comments: