Karun Na Yaad Agar Kis Tarah Bhulaoon Use
Ghazal Bahana Karoon Aur Gungunaoon Use
Wo Khaar-Khaar Hai Shaakh-E-Gulaab Ki Maanind
Main Zakhm-Zakhm Hoon Phir Bhi Gale Lagaoon Use
Ye Log Tazkare Karte Hain Apane Logon Se
Main Kaise Baat Karoon Aur Kahan Se Laaoon Use
Magar Wo Zood Faraamosh Zuud Ranj Bhi Hai
Ke Rooth Jaaye Agar Yaad Kuchh Dilaoon Use
Wahi Jo Daulat-E-Dil Hai Vahi Jo Raahat-E-Jaan
Tumhari Baat Pe Ai Naasiho Ganvaoon Use
Jo Ham Safar Sar-E-Manzil Bichad Raha Hai ‘Faraz’
Ajab Nahin Ki Agar Yaad Bhi Na Aaoon Use
No comments:
Post a Comment