Showing posts with label Bewafa Poetry. Show all posts
Showing posts with label Bewafa Poetry. Show all posts

Friday, 29 July 2016

Khawb ankhon se gaye, neend raton se gayi, Woh geya to ese laga zindagi hathon se gayi, urdu poetry, alone poetry, bewafa poetry


Khawb ankhon se gaye, neend raton se gayi,
Woh geya to ese laga zindagi hathon se gayi,


Sookhay they phool tere janey ke baad,
Ab to khushbuu bhi kitaabon se gayi,

Tere aney se barhti thi jo raftaar dharkan ki,
Ab to rawaani bhi meri saanson se gayi,

Kis daur mein mohabbat ko ilzaam dete ho,
Jis daur mein hayaa bhi hijaabon se gayi..

Sunday, 10 April 2016

Aadat mujhe andheron say darne ki daal kar, Ek shakhs meri zindagi ko raat kar gaya , urdu bewafa poetry, sad urdu poetry,



Aadat mujhe andheron say darne ki daal kar,
Ek shakhs meri zindagi ko raat kar gaya  

Sunday, 31 January 2016

Jane lage tere sheher se to Tujhe Alvida bhi na keh sake,Teri saadgi itni haseen thi keh Tujhe Bewafa bhi na keh sake, bewafa poetry, beat urdu poetry, urdu ghazal,



Jane lage tere sheher se to
Tujhe Alvida bhi na keh sake

Teri saadgi itni haseen thi keh
Tujhe Bewafa bhi na keh sake

Khushi mili hans na sake
Ghum mila Ro na sake

Ek tujhe hi Dil dia kisi ko bata na sake
Zindagi ka yehi Dastor hai

Jise chaha use paa na sake
Jise paya use Chah na sake

Sunday, 6 December 2015

Yaad-e-Maazi Kat gaya wo waqt bhi dhal gai wo raat bhi Aaj wo hain ajnabi jin se tha humko kaam bhi, Urdu sad poetry, heart touching poetry by khizar hayat


Yaad-e-Maazi
Kat gaya wo waqt bhi dhal gai wo raat bhi
Aaj wo hain ajnabi jin se tha humko kaam bhi

Sher ka unwaan wo, har satar ka raaz wo
Mit gaya wo harf bhi rootha raha wo pyaar bhi

ab to be rabti ka ye alam hai na he pouchiye
Lut gaya wo karwaan jis pe tha hum ko naaz bhi

ek dorahay pe aa ke ye musafat bhi khatam
Aqle madi ne kaha manogay naa tum haar bhi

Yad E Maazi kar rahi hai reza reza ab mujhe
Kash mil jata khizar ko bawafa ek yaar bhi


Friday, 11 September 2015

Mujhe Maaf Kar Mere Humsafar Tujhe Chahna Meri Bhool Thi, Kisi Raah Par Jab Uthi Nazar Tujhe Dekhna Meri Bhool Thi, urdu best ghazal, best poetry, urdu poetry,


Mujhe Maaf Kar Mere HumsafarTujhe Chahna Meri Bhool Thi,


Kisi Raah Par Jab Uthi Nazar
Tujhe Dekhna Meri Bhool Thi,

Koi Nazam Ho Ya Koi Gazal
Kahin Raat Ho Ya Kahin Seher,

Wo Gali Gali Wo Sheher Sheher
Tujhe Dhondna Meri Bhool Thi,

Mere Ghum Ki Koi Dawa Nahi
Mujhe Tujhse Koi Gila Nahi,

Tera Koi Mere Siwa Nahi
Yahi Sochna Meri Bhool Thi. 

Zinda thi jiski aas pe Wo bhi rula gaya Bandhan WAFA ke toor ke Sare chala gaya, urdu best poetry, bewafa poetry, urdu poetry, bewafa ghazal


Zinda thi jiski aas pe Wo bhi rula gayaBandhan WAFA ke toor ke Sare chala gaya,


Khud hi to ki thi usne Mohabbat ki ibtedaa
Hathon main Hath de k khud hi chura gaya,

Kardi jiske liye humne Tabah zindagi,
Ulta wo BEWAFA ki Tuhmat laga gaya,

Thursday, 20 August 2015

Bohat tanha hua hoon main palatt ke aa bhi jao tum Ashq kaa dariyaa hua hoon main palat ke aa bhi jao tum, urdu poetry


Bohat tanha hua hoon main palatt ke aa bhi jao tum
Ashq kaa dariyaa hua hoon main palat ke aa bhi jao tum,


Jahan pe hath chhorra tha jahan pe sath chhorra tha
Usi raah pe kharra hoon main palatt ke aa bhi jao tum,

Udaasi ne banaya ghar mere dil k bagheeche mein
Bohat hi ghamzada hoon main palatt ke aa bhi jao tum,

Dar-o-deewar kehte hain mere kaano mein aa aa kar
Kab se veeraan parra hoon main palatt ke aa bhi jao tum,

Kisi ka baa-wafa hona Sajid sabab hai gar judaai ka
Suno! phir be-wafa hoon main palat ke aa bhi jao tum.

Tuesday, 11 August 2015

Jo Bosa Haath Ka Bhi Eid Par Ata Na Kare Kisi Ka Aisa Sanam Ho Kabhi Khuda Na Kare


Jo Bosa Haath Ka Bhi Eid Par Ata Na Kare 
Kisi Ka Aisa Sanam Ho Kabhi Khuda Na Kare

Monday, 3 August 2015

Koi nataa na mohabbat ke barabar nikla Toot kar chaha jisse woh sitamgar nikla, urdu poetry, ghazal, bewafa ghazal


Koi nataa na mohabbat ke barabar nikla
Toot kar chaha jisse woh sitamgar nikla,


Yun to har lehar se thi apni shanasaai bohat
Samjha saahil jisse woh gham ka samandar nikla,

Rooh main jhaanka to yeh mehsuus hua mujhko
Itna zarkhaiz jo lagtaa tha woh banjar nikla,

Narmi hathon main na garmi saanson main magar
Mai ne chu kar ussey dekha to woh pathar nikla,

Sunday, 12 July 2015

Dard Se Hum Ab Khelna Seekh Gaye,Hum Bawafai Ke Saath Jeena Seekh Gaye, urdu poetry


Dard Se Hum Ab Khelna Seekh Gaye,
Hum Bawafai Ke Saath Jeena Seekh Gaye,

 

Kya Batayein Kis Kadar Dil Toota Hai Mera,
Maut Se Pehle, Kafan Aud Ker Sona Seekh Gaye…!!

Friday, 1 May 2015

Jagty ho to jaga kro rat bhar.. Yad_e_jana satay to hum kya kren, urdu image poetry, urdu heart touching poetry.


Jagty ho to jaga kro rat bhar..

Yad_e_jana satay to hum kya kren??


Tum se kis ne kaha tha mohbat kro???
Tum ko nend ab na auy to hum kya kren? ? ?

Hum ne jab b suna tm pareshan ho
ik mohbbat bhara khat rawana kiya!!!

Rasty men agr qasid lut jay
khat pohnchny na paye to hum kya kren???

Thursday, 26 March 2015

Woh khush hai par shayad hum se nahi Woh naraz hai par shayad hum se nahi, urdu ghazal, best urdu poetry


Woh khush hai par shayad hum se nahi
Woh naraz hai par shayad hum se nahi


Kon kehta hai unke dil me mohabbat nahi
Mohabbat to hai par shayad humse nahi.!!

Friday, 13 March 2015

Juda hone ka andesha, juda hone se pehle tha wo mujh se intehai khush, khafa hone se pehle tha, bewafa poetry, urdu bewafa ghazal, best urdu poetry


Juda hone ka andesha, juda hone se pehle tha
wo mujh se intehai khush, khafa hone se pehle tha


Friday, 13 February 2015

Udaas Dil ki Viraniyon Mein Bikher Gaye Hain Khuwab Saray Ye Meri Basti Se Kon Guzra Nikher Gaye Hain Gulaab Saray Na Jane Kitni Shikayatein Then Na Jane Kitne Gilay Thy un Se


Udaas Dil ki Viraniyon Mein
Bikher Gaye Hain Khuwab Saray
Ye Meri Basti Se Kon Guzra
Nikher Gaye Hain Gulaab Saray
Na Jane Kitni Shikayatein Then
Na Jane Kitne Gilay Thy un Se
Jo un ko Dekha To Bhool Betha
Sawaal Saray Jawaab Saray

Thursday, 1 January 2015

Wo rooth gaya hum se is liye k nazrein nahi milai hum ne, bewafa poetry,


Wo rooth gaya hum se is liye k nazrein nahi milai hum ne,,,,!.
Yeh hmari haya thi, Or wo isay hmara ghuroor smajh betha....!! 

Boht Yaad Karta Hai Koi Humein Dil Se Na Jane DiL Se Ye Wehm Q Nahi Jata, urdu image poetry,


Boht Yaad Karta Hai
Koi Humein Dil Se
Na Jane DiL Se
Ye Wehm Q Nahi Jata

Tuesday, 23 December 2014

Kash Kisi Udaas Mausam Mein,,, Hamari Ankhon Pe Woh Hath Rakh Dey Apne, Urdu Image Poetry, Sad Urdu Poetry, Udas Ghazal


Kash Kisi Udaas Mausam Mein,,,
Hamari Ankhon Pe Woh Hath Rakh Dey Apne

Or Hanstey Howe Keh Dey!
Bojh Lo Tu Hum Tumhare,Na Bojho Tu Tum Hamare!

Friday, 19 December 2014

Jisay Khud Se Nahi Fursatain, Na Jisay Khayal Apne Jamal Ka Usay Kya Khabar Mere Shoq Ki Usay Kya Pta Mere Haal Ka


Jisay Khud Se Nahi Fursatain, Na Jisay Khayal Apne Jamal Ka
Usay Kya Khabar Mere Shoq Ki Usay Kya Pta Mere Haal Ka
Zara See Baat Par Tanhaa Chor Jaate Hain
Mohabbat Kar K Logon Se Sambhali kiyon Nahi Jati 

Saturday, 13 December 2014

Aansu Aa Jatay Hain Aankhon Main Per Labon Peh Hansi Lani Parti hai, Yeh Mohabbat Bhi kia Cheez hai, Bewafa Poetry


Aansu Aa Jatay Hain Aankhon Main
Per Labon Peh Hansi Lani Parti hai

Yeh Mohabbat Bhi kia Cheez hai
Jis Sey kertay Ho Usi Say Chupani Parti hey 

Tere Jane Ke Baad Koi Sahara Bi Toh Nahi, Tujhe Kabhi Tanhai Me Pukara Bi Toh Nahi, Bewafa Poetry


Tere Jane Ke Baad Koi Sahara Bi Toh Nahi,
Tujhe Kabhi Tanhai Me Pukara Bi Toh Nahi,

Bewafa Tujhe Hum Aaj Bhi Chahte Hai,
Magar Phir Bi Tu Hmara Toh Nahi