Tuesday, 1 December 2020

Piyaas lagi thi ghazab ki, Magar pani nahi zeher tha Peetay tu marr jate, aur naa peetaytu bhi marr jate, sad poetry, udas shayri

 


Piyaas lagi thi ghazab ki, Magar pani nahi zeher tha
Peetay tu marr jate, aur naa peetaytu bhi marr jate


Bus yehi do maslayzindagi bhar hal na hoe
Naa neend pori hoi, naa khwaab mukamal hoe

Waqt ne kaha, Kaash thora aur sabar hota
Sabar ne kaha, kaash thora aur waqt hota

Subha subha uthna parta hai kamanay ke liye sahab
Araam kamanay nikalta hon araam chor kar

Hunar sarko par tamasha karta hai
aur qismat mohallon per raaj karti hai

Shikayat to bohat hai tujh se Aey zindagi, par chup isliye hn
keh jo diya tu ne wo bhi bohaton ko naseeb nahi hota

Dolat ki bhook aise lagi keh kamanay nikal gai
Jab dolat mili to haat se rishte nikal gai

Bachon ke sath rehne ki fursat na mil saki
fursat mili to bache khud kamay nikal gai

No comments: