Showing posts with label Heart Touching Poetry. Show all posts
Showing posts with label Heart Touching Poetry. Show all posts

Monday, 8 May 2023

Mai Logo se mulaqaton ke lamhe yad rakhta hun, Main Batain bhool bhi jaon tu Lehjay yad rakhta hun, Best Urdu Ghazal, Best urdu poetry, Heart Touching Potery,

 


Mai Logo se mulaqaton ke lamhe yad rakhta hun
Main Batain bhool bhi jaon tu Lehjay yad rakhta hun


Sar-e-Mehfil nigahein mujhpe jin logon ki parti hain

Nigahon ke maaini se wo chahray yad rakhta hun


Zara hat ke Chalta hun Zamanay ki rawayat se

Keh Jin pe Bojh main daalon wo kandhay yad rakhta hun


Mai yun to bhool jata hun Kharashein talkh baton ki

Magar jo Zakham gehre dein wo rawaye yad rakhta hun

Saturday, 3 April 2021

Zindagi se lamhe chura kar batway mai rakhta raha, Fursat se kharchoonga, bas yehi sochta raha, SAD URDU GHAZAL, HEART TOUCHING POETRY, BEST URDU POETRY,

Zindagi se lamhe chura kar batway mai rakhta raha
Fursat se kharchoonga, bas yehi sochta raha


udharti rahi jaib, karta raha turpai,

Phisalti rahi khushiyaan, karta raha kamai


aik din fursat jo paai, tu socha khud ko Aaj rijhaaon main

barson se jo joray thay, wo lamhe kharch kar aaon main


khola jo batwa, tu lamhenaa thay

jane kahan beet gai,


Main ne to kharchay naa thay

jane kese beet gai


Fursat mili tu socha, khud se he mill aaon main

Aainay mai dekha jo pehchan he na paon


dehan se dekha tu, balon main chandni ka rang charha tha

tha tu mujh jesa, jane kon khara tha

Thursday, 28 January 2021

Yaad Aaon to bas itni c inayat karna, Apne badle hue lehjay ki wazahat karna, herat toucing urdu ghazal, poetry, best urdu poetry, sad urdu poetry, urdu shayri

 


Yaad Aaon to bas itni c inayat karna
Apne badle hue lehjay ki wazahat karna


Tum to chahat ka shahkaar hua karte thay
Kis se seekha hai ulfhat mai milawat karna

Hum sazaaon ke haq daar bane hain kab se
Tum he keh do keh jurm hai kya Mohabbat karna?

Teri furqat mai ye aankhein abhi tak num hain
kabhi aana meri ankhon ki ziyarat karna

Wednesday, 2 December 2020

Libas Tan Se Utaar Dena, Kisi Ko Bahon K Haar Dena, Phir Us K Jazbon Ko Maar Dena, Agar yehi mohabbat hai jana, tu Mujhe mavf karna, Urdu youtube ghazal, best ghazal, heart touching poetry, top most ghazal


 

Libas Tan Se Utaar Dena,

Kisi Ko Bahon K Haar Dena,

Phir Us K Jazbon Ko Maar Dena,


AGAR YEHI MUHABBAT HAI JANA ?

TO MUAF KARNA MUJHE NAHI HAI…..


Gunah Karne Ka Soch Lena,

Haseen Pariyan Daboch Lena,

Phir Uski Ankhen Hi Noch Lena,


AGAR YEHI MUHABBAT HAI JANA ?

TO MUAF KARNA MUJHE NAHI HAI…..


Kisi Ko Lafzon K Jaal Dena,

Kisi Ko Jazbon Ki Dhaal Dena,

Phir Uski IZZAT Uchhal Dena,


AGAR YEHI MUHABBAT HAI JANA ?

TO MUAF KARNA MUJHE NAHI HAI…..


Andaer Nagri Main Chalty Jana,

Haseen Kaliyan Masalty Jana,

Aur Apni Fitrat Pe Muskrana,


AGAR YEHI MUHABBAT HAI JANA ?

TO MUAF KARNA MUJHE NAHI HAI…..


Sajja Raha Hai Har EK Diwana,

Khyal-e-husan-o -Jamal Jana,

Khyal Kia Hain Hawas Ka Tana,


AGAR YEHI MUHABBAT HAI JANA ?

TO MUAF KARNA MUJHE NAHI HAi…

Sunday, 12 March 2017

Apne honton pe sajaana chahta hoon, Aa tujhe main gungunaana chahta hoon, love poetry, heart touching poetry, urdu best poetry


Apne honton pe sajaana chahta hoon,
Aa tujhe main gungunaana chahta hoon,


Koi aansuu tere daaman pr giraa kar,
Boond ko moti banaana chahta hoon,

Thak geya main karte karte yaad tujh ko,
Ab tujhe main yaad aana chahta hoon,

Chhaa raha hai sari bassti main andhera,
Roshni ko, ghar jalaana chahta hoon,

Aakhri hichki tere zaanon pe aaye,
Maut bhi main shayerana chahta hoon..

Sunday, 26 June 2016

Wo kehta hai suno Aemin mere dil ki tamanna hai, Keh ab jo Eid mai Aao Pehnna Zard rang jora, Tumhare Husan ko ye zard rang Takmeel bakhshega, Mai kehti hon mere dilbar zara tehro... urdu poetry by Syeda Aemin, best urdu poetry, very heart touching poetry,


Wo kehta hai suno Aeman
mere dil ki tamanna hai

وہ کہتا ہے سنو ایمن
میرے دل کی تمنا ہے 

Keh ab jo Eid mai Aao
Pehnna Zard rang jora
کہ اب جو عید میں آو 
پہننا زرد رنگ جوڑا

Tumhare Husan ko ye zard rang
Takmeel bakhshega..!!
تمہارے حسن کو یہ زرد رنگ
تکمیل بخشے گا!!

Mai kehti hon mere dilbar
zara tehro...
میں کہتی ہوں میرے دلبر 
زرا ٹہرو...

zara socho..
bare he zard chehray,
زرا سوچو ...
بڑے ہی زرد چہرے،

zard ankhein,
mai ne dekhi hain
زرد آنکهیں ،
میں نے دیکهی ہیں..

ye mere mulk mai
aik aisa gosha bhi hai
یہ میرے ملک میں 
ایک ایسا گوشہ بهی ہے 

Keh jis mai...
hazaaron log ghurbat se,
کہ جس میں ...
ہزاروں لوگ غربت سے،

Qehat saali se marte hain...
zara aik pal ko to socho
قحط سالی سے مرتے ہیں...
زرا ایک پل کو تو سوچو

Jahan pr pait ki dozakh ko bharne ko
nawala bhi nahi milta
جہاں پر پیٹ کی دوزخ کو بهرنے کو
نوالہ بهی نہیں ملتا

Jaha pr pyaas ki shiddat se marte
zard chehron ki pokarein
جہاں پر پیاس کی شدت سے مرتے
زرد چہروں کی پکاریں

Naa suni jaain..
waha pr Eid kesi ho?
نا سنی جائیں...
وہاں پر عید کیسی ہو؟

Kai Masoom bache
bhooke boorhe, yaad atay hain...
کئی معصوم بچے،
بهوکے بوڑهے، یاد آتے ہیں...

Mujhe ab zard Aanchal se bara he khof ata hai!!
wo kehta hai chalo choro
مجهے اب زرد آنچل سے بڑا ہی خوف آتا ہے!!
وہ کہتا ہے چلو چهوڑو..

magar itna suno jaanan
tumhari jheel aankhon ke
مگر اتنا سنو جاناں
تمہاری جهیل آنکهوں کے

tasavvar se he pagal hon...
keh ab jb Eid pr aao
تصور سے ہی پاگل ہوں...
کہ اب جب عید پر آو..

to apni bhuri aankhon mai
zara sa kajol laga lena...
تو اپنی بهوری آنکهوں میں
زرا کاجل لگا لینا...

mai chashme badd se darta hon!!
mai kehti hon, suno pagal!!
میں چشم بد سے ڈرتا ہوں!
میں کہتی ہوں سنو پاگل!!

ye darya jheel, nehron se
bari wehshat c hoti hai
یہ دریا،جهیل،نہروں سے
بڑی وحشت سی ہوتی ہے..

ab inka zikar mat karna
keh in mai bhooki maain
اب ان کا زکر مت کرنا...
کہ ان میں بهوکی مائیں،

majboor ho kar kudh jati hain
mai paani ke har aik qatre mai
مجبور ہوکر کود جاتی ہیں...
میں پانی کے ہر اک قطرے میں

inki cheekh sunti hoon
to aisi bhook se majboor maaon ki
ان کی چیخ سنتی ہوں...
تو ایسی بهوک سے مجبور ماوں کی

bhala phir Eid Kesay ho??
بهلا پهر عید کیسے ہو؟

ab unka zikar mat karna
meri aankhon ko ab unse
اب ان کا زکر مت کرنا...
میری آنکهوں کو اب ان سے

kabhi tashbeeh mat dena!!
کبهی تشبیہ مت دینا..!!

wo kehta hai zara surkhi
tum honton pr laga lena..
وہ کہتا ہے زرا سرخی
تم ہونٹوں پر لگا لینا...

Keh meri Eid ko rangeen
karne ka ye zariya hai
کہ میری عید کو رنگین
کرنے کا یہ زریعہ ہے..

mai kehti hon suno janan
tum bharham nahi hona...
میں کہتی ہوں سنو جاناں 
تم برہم نہیں ہونا ...

mere khayalat se
jazbat ko madham nahi karna...
میرے خیالات سے
جزبات کو مدہم نہیں کرنا...

magar meri nighaahon main
abhi bhi qaed hai wo manzar
مگر میری نگاہوں میں 
ابهی بهی قید ہے وہ منظر..

keh bache school ko nikle
kabhi wapis nahi ai...
کہ بچے اسکول کو نکلے..
کبهی واپس نہیں آئے..

wo inka khoon jo
mujasmon se nikla
وہ انکا خون جو 
جسموں سے نکلا،

farsh pr bikhra
wo in ke jism jo
فرش پر بکهرا..
وہ ان کے جسم جو 

liptay hoe thay surkh
maai mai...
لپٹے ہوئے تهے سرخ
مائع میں...

bhala mere ye lab s 
khoon se zyada surkh hain...
بهلا میرے یہ لب اس
خون سے زیادہ سرخ ہیں...؟

ye unki raah taktii maain
bhi kya Eid manati hain??
یہ ان کی راہ تکتی مائیں
بهی کیا عید مناتی ہیں؟

mujhe ab surkh laali se
bari takleef hoti hai
مجهے اب سرخ لالی سے 
بڑی تکلیف ہوتی ہے..

meri aankhon mai inke
khoon ki tasveer ubharti hai!!
میری آنکهوں میں ان کے
خوں کی تصویر ابهرتی ہے...!!

wo kehta hai
tumhe Eid ke tohfe main
وہ کہتا ہے 
تمہیں میں عید کے تحفے میں

ab ke khushbu laa donga
main kehti hoon bhala khushbu
اب کے خوشبو لا دونگا...
میں کہتی ہوں بهلا خوشبو

se mere watan ka bagheecha
phir se khelegaa?
سے میرے وطن کا باغیچہ
پهر سے کهلے گا؟

keh mere bagheechay se
barudh ki badbu ati hai
کہ میرے باغیچے سے
بارود کی بدبو آتی ہے...

nohat se be gunahon ka yaha par
khoon girta hai..
بہت سے بے گناہوں کا یہاں پر
خون گرتا ہے..

wo in ke khoon ki khushbu se
barh kar kya aziyat hai?
وہ ان کے خون کی خوشبو سے
بڑه کر کیا ازیت ہے؟

bhala in ke yateemon ki bhi Eidein
hum c hoti hain?
بهلا ان کے یتیموں کی بهی عیدیں 
ہم سی ہوتی ہیں؟...

wo kehta hai chalo tum kuch nahi karna
magar mehndi laga lena
وہ کہتا ہے چلو تم کچه نہیں کرنا 
مگر مہندئ لگا لینا...

keh meri Eid tumhari mehndi
ke bin adhori hai
کہ میری عید تمہاری مہندی
کے بن ادهوری ہے...

Mai kehti hon
kabhi dekha hai?
میں کہتی ہوں 
کبهی دیکها ہے ؟

us bewa ke haton ko
ke jis ke shohar ne factory main
jalto moat dekhi ho..?
اس بیوہ کے ہاتهوں کو...
کے جس کے شوہر نے فیکٹری میں
جلتی موت دیکهی ہو...؟ 

yaqeen mano mera ab churiyaan
mehndi, mohabat se nahi taaluq
یقین مانو میرا اب چوڑیاں،
مہندی،محبت سے نہیں تعلق..

mere khayalaat main ab bhookey bache
saans lete hain...
میرے خیالات میں اب بهوکے بچے 
سانس لیتے ہیں...

to un khayalaat mai mujhko batao
neend kese ho??
تو ان خیالات میں مجهکو بتاو
نیند کیسے ہو؟

keh in halaat se bezaar dil ki
EID KESE HO
کہ ان حالات سے بیزار دل کی
عید کیسے ہو؟
                                               -(Syeda Aemin)

Tuesday, 29 September 2015

Ek Pal ke liye Socho agar Dost na hote toh Hum kya kya na kr Paate., Nursery mei Gumm hua bottle ka cap kaise dhoondh paatey


Ek Pal ke liye Socho agar Dost na

hote toh
Hum kya
kya na kr Paate....!!
Nursery mei Gumm hua bottle ka
cap kaise
dhoondh paatey


LKG mei A,B,C,D likh kr Gurur kise
batate.... .

UKG me aakar Hum kiski Pencil
uthate.....

1st mei button wala compass
box kise dikhate....


2nd me girr jane par haath kiska
paatey....


3rd me absent hone per copy
kiski laatey....

4th me ladd jaane per daant
kaise khate.....


5th mei fir Hum apna lunch kise
chakhate....


6th mei teacher ki pitaai per
Hum kise chidhate..... .

7th mei khel kud mei Hum kise
haratey.....


8th me Best Friend kehkr Hum
kise milate....


9th me 'Algebric Expression'
Hum kisse solve krvatey.....


10th mei Hum 'Reproduction'
padh kar kise dekh
Muskuratey..... .

11th mei apni wali/apne wale ka
Subject kise bata Paatey.....

12th mei durr hokar Aansu kiske
Kandhe par Giratey....

Fir bahar ki iss duniya mei Hum
kaise kadam uthatey, . .
"Yahi toh Pyaar hai" aise words
kaha se aatey....

Mobile no. se lekar uske bhai
kitne h kaise jaan patey,
Mummy, Papa,Di or Bhaiya ki
kami kaise seh patey.... .

Har roz Copy Pen bhool kr
College kaise jaatey.....

"Arey Batana" Exam mei aisi
awaz kise lagatey.....

Birthday per Cake kya Hum
Khud hi apne chehre per
lagate.....

Bematlab ki baaton per Hum kis
per chillatey.....

Degree milne ki khushi Hum kise
jata Paate....

Aisi hi Anginat Yaadon ko Hum
kaise Jod paatey..... .

Shayad bina Doston k Hum Saans
toh lete
par..... Zindagi na jee paate.

Friday, 13 March 2015

Na jaane kyun mein tujh se kuch zyada rootha karti hoon, Teri doori seh jaaye is ke liye dil ko apne manaya karti hoon, urdu ghazal, heart touching poetry


Na jaane kyun mein tujh se kuch zyada rootha karti hoon,
Teri doori seh jaaye is ke liye dil ko apne manaya karti hoon

Kabhi to tujhe jaise bahut hi bura keh leti hoon per dost jab
Teri dosti ki misaale yad aati hai tujhe duaein diya krti hoon.

Tuesday, 9 September 2014

Wo Husn-e-Mujasim kamal uski ankhen, Sarapa mohabat jamal uski ankhen, Urdu Image Poetry,


Wo Husn-e-Mujasim kamal uski ankhen,
Sarapa mohabat jamal uski ankhen.


Jab bhi main puchun sawal us se koi,
Mujhey roz deti hain taal uski ankhen.

Jo bechay to dono jahan de k le lon,
Wo chehra wo zulfen wo gal, uski ankhen.

Agar koi pochay k dunya men kia hai,
To de ga zamana misal uski ankhen....

Sunday, 7 September 2014

Shehar ujra ho tu abaad karoon! Jo na bhoolay usay kya yaad karoon, Urdu Heart Touching Poetry, Image Poetry


Shehar ujra ho tu abaad karoon!
Jo na bhoolay usay kya yaad karoon


Sari chezain hi badal k reh jain 
Ik hunar aisa ejaad karoon

Meray lafzoon say nikal jaye asar
Koi khawaish jo teray baad karoon

Bheek lanat ha milay ya na milay
Kun main rusawai faryaad karoon

Koi us ankh pa shayad utray
Roz ik khawab ko azaad karoon

Ye tu ha Khel ka Hissa Amjad
Kis liye shikwa be daad karoon

Tuesday, 27 May 2014

Gull-o-Gulzaar Gawahi Dengay, Teri Galiyaan Tere Bazar Gawahi Dengay, Urdu Heart Touching Poetry, Urdu Ghazals, Sad Urdu Poetry


Gull-o-Gulzaar Gawahi Dengay 
Teri Galiyaan Tere Bazar Gawahi Dengay 


Kitne Tarpe Hain Teri Muhabbat Me Hum
Mere Ghar K Dar-o-Deewar Gawahi Dengay 

Mere Jazbon Meri Sochon Pe Musallat Hai To 
Meri Nazmain Mere Ashaar Gawahi Dengay 

Dunya Me Sirf Tum Se Mohabbat Ki Hai 
Es Pe So Baar Mere Yaar Gawahi Dengay 

Tumhein Paany Ki Jahaan Me ne Duayein Maangi 
Wo Masjidain Wo Darbaar Gawahi Dengay...

Monday, 19 May 2014

Har koi dil ki hatheli pe hai sehra rakhe, Kisi ko sairaab kare woh kise pyasa rakhe, Urdu Heart Touching Poetry, Urdu Ghazals, Sad Urdu Poetry


Har koi dil ki hatheli pe hai sehra rakhe, 
Kisi ko sairaab kare woh kise pyasa rakhe 


Umer bhar kaun nibata hai taluk itna 
Ae meri jan ke dushman tujhe allah rakhe, 

Humko acha nahin lagta koi humnam tera, 
Koi tujhsa ho tu phir nam be tujhsa rakhe 

Dil b pagal hai us shaks se wabasta hai, 
Jo kise aur ka na hone de na apna rakhe.

Monday, 12 May 2014

Suna hai log usay aankh bhar ke dekhte hain, Urdu Ghazal Sms, Urdu Image Poetry, dedicated to Sanam jung


Suna hai log usay aankh bhar ke dekhte hain 
So us ke shahar main kuchh din thehr ke dekhte hain 


Suna hai rabt hai us ko kharab halon se 
So apne aap ko barbad kar ke dekhte hain 


Suna hai dard ki gahak hain chashm-e-nazuk us ki 
So ham bhi us ki gali se guzar ke dekhte hain 


Suna hai us ko bhi hai sher-o shayari se shaga 
So ham bhi mojazay apnay hunar ke dekhte hain 


Suna hai bole to baton se phool jharrtay hain 
Ye baat hai to chalo baat kar ke dekhte hain 


Suna hai raat use chand takta rehta hai 
Sitaray baam-e falak se utar kar dekhtay hain 


Suna hai hashAr hain us ki ghazaal si aankhain 
Suna hai us ko hiran dasht bhar ke dekhte hain 


Suna hai din ko usay titliyan satati hain 
Suna hai raat ko jugno thahar ke dekhte hain 


Suna hai rat se barh kar hain kakulan us ki 
Suna hai sham ko saye guzar ke dekhte hain 


Suna hai us ki siyah chashmagi qiyamat hai 
So us ko surma farosh aankh bhar ke dekhte hain

Fasle Simat Gaye, Dua Se Kaam Chal Gaya, Urdu Ghazal Sms, Urdu Image Poetry,


Fasle Simat Gaye, 
Dua Se Kaam Chal Gaya, 


Ashk Phir Nikal Pare, 
Phir Azaab Tal Gaya, 

Kise Yaqeen Aaye Ga, 
Kis Se Ja K Yeh Kahon, 

Ek Bujhe Chiragh Se, 
Mera Haath Jal Gaya, 

Abhi To Meri Aankh Main Neend Bhi Hai Khwab Bhi, 
Sochta Hoon Phir Kabhi To Agar Badal Gaya, 

Ek Udaas Raah Se, 
Nadi K Zard Pair Se, 

Tera Pochta Raha, 
Aur Chand Dhal Gaya, 

Tujhe Bhi Ek Shakhs Ka Faraib Raas Aa Gaya, 
Kisi K Jhoot Mot Se Rizwan Bhi Kuch Behel Gaya

Koi Saaya Sa Dil-e-Beemar Par Hai, Aankh Ka Darya Hai K Raftaar Par Hai, Urdu Ghazal Sms, Urdu Image Poetry,


Koi Saaya Sa Dil-e-Beemar Par Hai, 
Aankh Ka Darya Hai K Raftaar Par Hai, 


Chooriyan Toot Kr Bikhri Hein Sehen Mein, 
Or Kajal Bhi Aankhon Ka Rukhsar Par Hai, 

Ik Ye Rashk K Tum Jeet Gae Ho Ham Se, 
Or Ik Khushi Bhi Tum Se Haar Par Hai, 

Kis Ne Kaat Leen Kaanch Se Nabzen Apni, 
Ye Kis Ka Ishq Ham Se Bhi Raftaar Par Haii, 

WasaL Ki Raat Na Kahin Se Aa Tapke , 
Kawwa Subha Se Cheekhta Deewar Par Hai

Dil maseeha hai samajta hai tabiyat uski Naram guftaar sahi, talkh hai Aadat uski, Urdu Ghazal Sms, Urdu Image Poetry,


Dil maseeha hai samajta hai tabiyat uski
Naram guftaar sahi, talkh hai Aadat uski


Tum zara pyar se pocho K ye qissa kya hai
Q bhala chaand ne orhi hai shabahat uski 

Husan bikne pe jo Aaya to tawaaif ban kar
Ik tamashai ne tay ki thi ye Qismat uski

Log itne B tere sheher K sachay to nahi 
Sun to leni thi zara dair wazahat uski

Dil ye kehta hai K Loat chalen us K nagar
Yaad aati hai sar-e-shaam Rafaqat uski...!

Monday, 28 April 2014

Aey kaash k aisa ho jaye, Jise chaha tum ne har lamha, Heart Touching Poetry, Sad Poetry, Images Poetry,


Aey kaash k aisa ho jaye 
Jise chaha tum ne har lamha 


Jise socha tum ne har lamha 
Wo shakhs tmhara ho jaye 

tum jis se mohabbat karte ho 
Jise dekh k jite marte ho 

Jise kho dene se darte ho 
Wo shakhs tumhara ho jaye 

Wo jis ki yadon main kho kar 
tum waqt guzara karte ho 

Wo jis ki baton main kho kar 
Khud se b kinara karte ho 

In tanha tanha raaton main 
tum jis ko pukara karte ho 

Wo shakhs Tumhara ho jaye 
A kaash k aisa ho jaye.

Sunday, 27 April 2014

Meri Aankhon Ki Taraf Dekh Meri Bat Samajh, Mujh Se Naraz Na Ho, Tu Mere Halaat Samajh, Heart Touching Poetry, Sad Poetry, Images Poetry,


Meri Aankhon Ki Taraf Dekh Meri Bat Samajh
Mujh Se Naraz Na Ho, Tu Mere Halaat Samajh 


Meri Khuwaahish Hai Terey Marmaree'n Rukhsaaron ko 
Main Har Ek Lamha Nigaahon Mein Samaaye Rakhon

Teri Aankhen Meri Aankhon k Maqaabil hi Rahein 
Main Teri Maang Sitaaron se Sajaaye Rakhon

Tujh Se Gham Le k Tujhe De Doon Khushi ki Daulat
Terey Hoonton ko Jila Bakhshey Tabassum Tera

Khoob-Soorat Ho Teri Tarah Meri koi Ghazal 
Merey Ash'aar ko Mil Jaaye Tarannum Tera

Jaanay kiyon phir Mujhe Duniya ka Khayaal Aata Hai 
Jis Mein Farsooda Rawaayaat ki Zanjeeren hain 

Jisam Aazaad Hain Ham Sab k Ba-Zaahir,Lekin 
Qaid Mein Siskiyaan Leti Huwi Taqdeeren Hain 

Tu Hai Masoom, Na Samjhe Gi Zamaaney ka Chalan 
Tujh ko Maloom Nahi Hain Yahaan Waalon k Rawaaj 

Main Bataata Hoon Tujhe, Mujh Se Dam-e-Aakhir tak 
Tujh Ko Milne Nahi De Ga ye Zamaana ye Samaaj

Is Liye Mujh ko Bhula De Yahi Behtar Hoga
Warna Tere Liye Andesha-e-Ruswaai Hai 

Ye Alag Baat Rahoon Ga Main Sukoon se Mahroom
Main Ne Khud Apney Kiye Ki Ye Sazaa Paayi Hai

Thursday, 24 April 2014

Zara see Dair ko Sab Kuch Bhula K Dekh Lety Hain, Tujhe Hum Samne Apne Bitha K Dekh Lety Hain,Urdu Image Poetry, Ghazal collection


Zara see Dair ko Sab Kuch Bhula K Dekh Lety Hain 
Tujhe Hum Samne Apne Bitha K Dekh Lety Hain 


Suna Hy Mad_Bhari Nazren Teri Peene Nahi Detin 
Ijazat Ho To Hum Nazren Mila K Dekh Lety Hen 

Wo Chehry Kesy Hoty Hain K Jin Se Chand Sharmaye 
Tery Rukh Se Siyah Zulfein Hata K Dekh Lety Hen 

Shama K Pas Ja K Kis Tarah Jaltay Hain Parwany 
Zara Hum B Tere Nazdeek Aa K Dekh Lety Hen 

Kahin Betaab Dil Ko is Tarah Se Chain Aa Jaye 
Teri Tasveer Ko Dil Se Laga K Dekh Lety Hen

Monday, 21 April 2014

Kahin Chand Rahon Mein Kho Gaya Kahin Chandni Bhatak Gai, Urdu Image Poetry, Ghazal collection


Kaheen Chaand Raahon Mein Kho Gaya Kaheen Chandni Bhatak Gai 
Main Charagh Woh Bhi Bujha Howa Meri Raat Kaise Chamak Gai, 


Kabhi Ujlaa Ujlaa Saa Naam Hoon, Kabhi Khoya Khoya Kalaam Hoon 
Mujhe Subah Kirno Se Bhar Gai, Mujhe Shaam Phoolon Se Dhak Gai, 

Tujhe Bhool Jaane Ki Koshishain Kabhi Kamyaab Na Ho Sakeen 
Teri Yaad Shaakh-e-Gulaab Hai, Jo Hawaa Chali To Lachak Gai, 

Tere Haath Se Mere Hont Tak Wohi Intizaar Ki Piyaas Hai 
Mere Naam Ki Jo Sharaab Thi Kaheen Raaste Mein Chalak Gai, 

Kabhi Hum Mile Bhi To Kiya Mile Wohi Dooriyaan Wohi Faasle 
Na Kabhi Hamaare Qadam Barhe, Na Kabhi Tumhaari Jhijhak Gai, 

Meri Dastaan Ka Urooj Tha Teri Narm Palkon Ki Chaaon Mein 
Mere Saath Tha TUjhe Jaagna Teri Aankh Kaise Jhapak Gai